jaiza : forex trading ma humen hony wala profit market pay krti hai ya broker?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    jaiza : forex trading ma humen hony wala profit market pay krti hai ya broker?
    dear forex trading members Assalamualaikum
    mera ap sub sy yeh question hai ky forex trading ma jo humen profit hota hai wo humen direct market pay krti hai ya humen broker pay krta hai.?
    dear members yeh bhi ap sy pochna hai ko jo loss humen hota hai wo aik member sy dosry ko dy dea jata hai ya market itself bhi is sy profit utha rahi hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear Forex business me hamy jetna be profit hota hay ye broker pay nahi karta ye profit ham market me khud earn karty hey aur market hi hamy es ki payment karti hay, Broker hamy MT 4 platform ki sahulat deta hay jes ki waja se hamari trading easy ho jati hay es key sath tools ki sahulat se be inkar nahi kia ja sakta, Forex market me without broker key trading karna namumken si bat hay hamari investment Forex market me asani se trading key ley ready ho jati aur ye broker ki madad ki waja se hi hamary ley trading karna bahot hi asaan ho gia hay.
    • #3 Collapse

      app ko aik baat btata chaloun k forex main jo bhe app ko profit hota hai wo market pay ker rahi hoti hai us main app nay suna to ho ga k forex main 90% traders apni money loose kerty hain oru jo 10% successful us time ho rahy hoty hain profit un k pass ho raha hoti hai to looser ki money un k account main ja rahi hoti hai market main koi apni traf say money nahe peda ho rahe hoti hai us mian bus app ko trade main mehnat kerna ho gee ta k app bhe un successful traders main shamil ho sagain jo k kama rahy hain our ye tab he possible ho ga jab app k pas knowledge our trading experience ho ga
      • #4 Collapse

        G w/slam dear forex members. I hope you wil be good. Jaisa k ap k sawaal k mutaabik ham yahee kahna chahty hain k ham ager jo bhi proffit earns karty hain wo hamain kabhi broker nahi da sakkra wo hamain .markeet hi daiti hay. R rhi loss ki baat k ham ko jo loss ata hy wo markeet laiti hy ya kisi r traders ko prroffit ki soorat main milta hy to is ka jawab bhi main apko btata chalta hoon k jo looser hoty hain mattlab k jo loss kar rhy hotty hain un ka lose un traders k pass jata hy jo k prroffit earn kar rhy hoty hain. Na k un ka loss markeet laiti hy.
        • #5 Collapse

          Dear broekr ap ko koi profit pay ni karta agar ap ki trade market mai lagi ho to, jaisy ap ko pata hai k 2 tarha k broker hai.

          1. Dealing Desk: Aisy broker mai jab ap koi bhi trade lagaty hai to ais mai ap ki trade broker apny pass rakhta hai aor ais mai agar ap ko loss ho jaye to broekr apny pass rakh leta hai aor agar ap ko profit ho jaye to broker ap ko profit apny pass se deta hai magar ais mai kaam ni karna chaye ais mai stoploss huting hoti hai.

          2. Non Dealing Desk: Ain broker mai ap jo bhi trade lagaty hai wo ap ki trade market mai lagwa dety hai aor aus k baad befikar ho jaty hai wo ap se sirf spread lety hai aor aus k baad aun k kaam khatam ho jata hai ap ko jitna bhi profit ho raha hota hai wo ap ko market deti hai ais mai broker ko koi loss ni hota ap ais mai jitna marzi ho profit banaye.
          • #6 Collapse

            Dosto yahan app jantay hian k forex main 90% traders looser hain our 10% earning ker rahy hain to us main earning to app ko market say hota hai lekin withdraw app ko broker pay kerta hai to mera point of view hai k broker pay kerta hai likn ye baat confirm nahe hai koin k broker sirf humeri register honay ka our services provide kernay ka zareaya hain koin k us main sirf hum to kaam nahe ker rahy hain us main our bhe log hai members hian to itne payment ager broker kerna start ker day to impossible hoo ga koin k professional traders ka withdraw thousands main per day hota hai to ye basically market he pay kerte hai app ko profit hota hai to other side pay dosarey traders ko loss hota hai jo k app k account main transfer hota hai
            to dosto app ko un successful traders main shamil hona hai jin ko profit hota hai our market ap ko jin traders ka loss hota hai un ki payment pay kerti hai our wo us say payment lety hain
            • #7 Collapse

              Dear forex business ho ya koi aur financial market investors ko trading me hi profit ho sakta hay broker kabi be apni taraf se traders aur investors ko profit pay nahi kar sakta hay, broker apni fees charge karty hey aur investors key ley trading platform ki sahoolat key sath market se payment procedure ko asaan bana deta hay, investors ki investment market me hi invest hony ki waja se profit ya loss market ki trading ki waja se ho sakta hay, investors ki payment brokers key platform me tab tak mehfooz rehti hay jab tak us ko trading me loss nahi ho jata otherwise agar loss ho jaye to be ye payment financial market me others key hath me chalti jati hay.
              • #8 Collapse

                Logo ko market Mein Jogi profit Hota Hai Isko Hum logo ko market ki movement ki wajah se hota hai agar Hum logo ko Maar cute ki movement Ka Pata Chal Jaye To Phir Hum Log Kafi accha profit bana sakte hain
                • #9 Collapse

                  Re: jaiza : forex trading ma humen hony wala profit market pay krti hai ya broker?

                  Salaam Walekum bhai aapne bahut accha question Kiya Hai Mujhe Yeh Jahan Tak iss ke baare me knowledge I think Hume profit market Ek Aati Hai Jise Hum Apni main uske sath banate hain Phir Hame market profit Deti Hai
                  Removed by Moderator.
                  • #10 Collapse

                    Re: jaiza : forex trading ma humen hony wala profit market pay krti hai ya broker?

                    Forex trading kay barey mai bohat say traders iss confusion ka shikaar rehtay Hain kay forex market mai tardung business kertay huay traders ko profit koun daita hai aur loss kaha Jata hai. Agar ye baat samajhnay say pehlay traders iss baat ko samajh lain kay forex market aik mandi ki Tarah hain jaha commission agents commissions pay kaam kertay hain aur brokers yaha woh commissions agent hain. Mandi mai aik apni goods baichta hai aur dusra khateedta hai aur teesray ko baichta hai aur iss Tarah profit aur loss ki chain banti aur chalti rehti hain. Commission agent ka profit loss say koi taaluq nahi hota na he goods say koi taaluq hota hai woh profit aur loss dono sooratoo mai apna commission lay raha hota hai. Ab forex market aik mandi, broker companies commission agents aur good baichnay aur khareednay walay traders hotay hain aur aik ka loss dusray ka profit hota hai.

                    Forex market mai tardung kertay huay Tarders ka he paisa aik taraf say Dusri taraf jaata hai jaha aik trader ko loss hota hai wahi dusray trader ko profit hota hai. Aur aik ka paisa dusray phir teesray kay paas ata Jata rehta hai aur ye cycle chalta rehta hai
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: jaiza : forex trading ma humen hony wala profit market pay krti hai ya broker?

                      forex market main ju ap ko bhi ap profit ya loss hoti ha wo forex market ki jaob main he jata hai ju broker ko milta hai wo apka spread ka commition hota hai jiss main broker wo charge karta hai aur uss ky badly main broker ham mo services daita hai aur forex market say hamri deals karwata hai aur hamra profit withdraw krwa kar daita hai jis say ham forex market main trade karny ky kabil banty hain broker ki waja say he hamri online trading asan bani hai jiss ki wjaa say aj ham ghar bet h kar he es business main success ho sakty hain es lea ju bhi ap ko profit milta hai tu wo forex market pay akrti hai aur ju ap ko loss hota hai tu wo forex market ki jaib main jata hai es lea forex main ap ko broker profit ya loss nahi daita hai.

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X