News wale time trade lagana chaheye ya nahe ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    News wale time trade lagana chaheye ya nahe ?
    Jahan tak maire experience hai mai samajta hun k news k time par bilkul trade nahe lagana chaheye q k os time market buhot zyada sharp movement karta hai aor ik ghalat trade be buhot nuqsaan deh ho sakta hai es leye slow market movement he behtar hota hai trading k leye aap kya samajte hai es bare mai


    IF YOU LIKE MY POST THEN PLEASE CLICK ON LIKE AND THANKS BUTTON
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    news time pe bilkul trade nhe lgani chaey kun k is se apko loss ho sakta hy lakin agr ap ko news mili hy sham ko 6 bje gold up jaey ga to phr ap kam se kam aik ghanta pehle trade lga den or aik point pe take profit lga den
    • #3 Collapse

      dear news time par app ko ye clear nahi hota key market ki position next kia ho gi, behtar yahi hay key jab news ajati hay or app ko market ki position be clear ho jati hay us key bad app trades open agar karty be ho to es me loss key chances kam hon gey.
      • #4 Collapse

        Bhai aap ko mere khayal mein tor news star time se kuch dair pahele hai apni strattegy kay mutabiq hi trade laga deni chahyea kyun kay jab news ka time hoti hay tou aksar dekha gaya hai kay market froun se shoot kar jati hai aur uss waqt agar trade lagi ho tou zabardast hai
        • #5 Collapse

          ain us waqt jab new a rhi hon to trade bilkul ni lagani chahye, because us waqt market kay trend ka pta ni hota kay market kis traf move kary ge. jab tmam news a jaen to us kay aadhy ghanty bad market trend ko dekhty hoy trades open karni chahye.
          • #6 Collapse

            Bhai jahan tak mera khayal ha tu news time kafi faida bhi hota ha aur agar loss ho tu wo bhi zayada hota ha is liye behtar ha news time trad mat lagayn han jab news aa jaye aur us k bad jab trend clear ho jaye us time ap trad open kar lyn
            • #7 Collapse

              Forex trading Mein kaam karne ke liye aapko news reminder usuru use karna chahiye jo aapko yeah remind karta hai ki konsi news Aane Wali Hai Kyunki market Mein Forex news bahut jyada impact karti hai aur Market ke Trend ko change karne ki power rakhti hai isliye aapko market Mein kaam karne ke liye Forex news ko remind karna bahut jyada important hai kaam karne ke liye
              • #8 Collapse

                dear mere khiyal main to News time hi asal main profit earn karne ka acha time hota hai jsi main market bahot ziyada harkat main ajati hai aur bahot kam time main hum ziyada se ziyada profit earn kar sakte hain per is time agar apne wrong trade dall di to phir app ka Allah hi hafiz hoga aur lose se nahen bach saken gay
                • #9 Collapse

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: Zaibjan پيغام ديکھيے
                  Jahan tak maire experience hai mai samajta hun k news k time par bilkul trade nahe lagana chaheye q k os time market buhot zyada sharp movement karta hai aor ik ghalat trade be buhot nuqsaan deh ho sakta hai es leye slow market movement he behtar hota hai trading k leye aap kya samajte hai es bare mai


                  IF YOU LIKE MY POST THEN PLEASE CLICK ON LIKE AND THANKS BUTTON
                  Agar aap news ke time pe trade karna chahte hain toh uske liye aapke paas bahut sara knowledge or experience hona chahiye Kyunki US time market Mein movement bahut jyada hoti hai aur traders ko Kafi loss ho sakta hai
                  FRD 07 TRADING JOURNAL
                  • #10 Collapse

                    Mera point of view aap se different hai mery khayal mai news k baad hi to hum ko trend ka andaza hota hai. Jab marker quickly move kerti hai to hum ko chahiye k small profits ko accept Kerty jayen aur lambi trade ka wait na kerain iss terha daily hum 10$ tak aasani se earn ker sakty hain
                    • #11 Collapse

                      main to dost ap ko mashwara nahe doon ga k news k time trading kerni chahy ya nahe koin k news main jo bhe trade kerta hai to us ka account wash ho jta hai koin k humera knowledge us main kum hota hai
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Bhai gee news time py bhi humen trading krni chue lkn forex trading ky leay humen zeyada sy zeyada knowledge aor experience hona chue pending order lga len ya news ki familiar ky hisab sy trade open krn aor take profit stoploss zaror set kren
                        Acha kaam achy daam

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X