Gold riski hy lekin
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gold riski hy lekin
    Dear members seniors sy swal hy k currency pairs per juniors trad karty hein lekin us sy profit slowly ata hy ziyada loss ho jaye to recover bhi mushkil sy hota hy currency pairs sy isi liye koya juniors ko gold per trad karni chahiye kiyon k gold havey movment per mushtamil hy aur profit aur loss juldi hota hy is mein kiya is reson ki wja sy gold per trad lgana sahi hy
    Removed by moderator.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Brother gold ke trading main bht saari wajuhaat hain jiss ke wajha say aapko loss zaida hota hai aur specially jo new traders gold par trading karty hain un kay liey gold loss ka sabab banta hai aur loss gold ma zaida hota hai.
    Gold main new traders kay liey loss ke pehli wajha jo hoti hai wo sahi lot ka istemaal na krna hai. Jo log new gold par trading start karty hain un ko sahi gold ke movement ka aur lot size ka andaaza nahi hota ha jiss ke wajha say wo bari lot laga bethty hain aur loss ka saamna karna parta ha. Ess kay baad jo dossri cheez hai wo aapko sahi trades ka manage na karna ha jis ke wajha say loss hota hy. Trade manage karney say muraad ye hai kay trade laga kar jab wo loss ma chalti rahi to usko chalney dena aur jesy he profit ma aay to foran close kar dena. Aapko jo trade loss wali ho us ko jaldi close karna chahey jabb kay profit wali trades ko lamby time tak aur maximum profit par close karna chahey. Essky elawa gold ma movement ko pips main sahi tarha count kiya jaay aur ye bht zaida zaroori ha. Kun kay gold pips main takreeban daily 1000 say zaida movement karta hai.
    • #3 Collapse

      Gold ko me be bahot zeyda risky samjta hon magar jo pair risky hota hay sab se zeyda profit be hamy esa hi pair me ho sakta hay ye understand karny ki bat hay key agar ham Gold ki market ko analysis karny me hamy kesi be kisam ki ghalti nahi karni chaye aur proper analysis kar key agar ham gold ki market me entry karen gey to hamara har trade hi profit de sakta hay, other pairs me etna profit nahi ho sakta hay jetna gold ki market se earn kia ja sakta hay, Gold ki movement asani se samaj to nahi ati magar hardworking kar key hamy gold ki market ko samjna bahot hi zarori hay.
      • #4 Collapse

        g han bhai apki bat shai hai forex trading main gold aik aysa pair hai jsi main risk zeda hai or trador gold main he zeyda trading karty hain es ki yah wajah hai k gold ki price daily change hoti hai or es main sub se bari changing gold ki pracice hai or jub tyah change hota hai tu gold ki moving bhi boht fast hoti hai es ki wajah se hmain loss or profot bhi boht fast main hota hai es liye es ko risky akaha jat hai or boht se trador gold main trading k aacha expiernce rakhty hain jis ki wajh se un ko acha profot he milta hai es liye aghr ap gold main trading karty hain tu achi tarh se nalsye kar k trading karen market k according trade lgaen kbhi bhi market k aginst main na jaen yah sub se bari wajah hai loss hony ki
        • #5 Collapse

          Forex trading business mein gold ki trading sab se ziada mushkil aur risky hy is ki waja ye hy k gold ki movement buht fast hoti hy aur gold ko samjhna mushkil hy aur gold ki movement ko samjhne k liye knewledge aur experience ki zaroorat hoti hy kiok gold ki movement ka kuch pata nhi hota k kab kis waqt kis tarf ko move kar jaye aur is movement ko samjhne k liye knewledge aur experience cahaiye Jo k new trader ko nhi hota aur agr knewledge aur experience k baghair trading karain gay tu lazmi hy loss hi ho ga aur loss karne se behtaar hy k new trader currency pair par trading karain is se ho ga k kuch na kuch profit rarn kar saktay han account k wash hone se behtaar hy k kuch profit hasil kiya jaye aur new trader currency pair par trading kar k profit earn kar saktay han aur gold ki trading k liye ziada se ziada practice karain aur gold ki movement ka experience hasil karain tab gold par trading karain tu profit earn kar saktay han baghair knewledge aur experience k gold par trading se account wash ho ga js ka koi faida nhi hy is learning knewledge aur experience hasil kar k gold par trading karain tab hi profit earn kar saktay han
          • #6 Collapse

            G ha dear ais mai ye hai k hum ko pata hai k gold par risk zayda hai magar ais mai ye hai k hum ko jab ais mai profit hota hai to wo bhi kafi zayda hota hai agar hum ais mai kaam karty hai to hum ko chaye k hum ne ais mai aisy kaam karna hai k hum ko agar ais mai loss ho raha ho to hum ne ais mai trade hedge kar leni hai kun k gold jab retracment leta hai to hum ko aus time moka deta hai k hum ais mai se apna loss kam kar k trade se exit ho jaye kun k ais mai range ban jati hia aor gold jab bhi range banata hai to aus ko atni asani se ni torta aor aus time agar hum ais mai trade laga k account ki recovery karty hai to hum ko ais mai ye faida hota hai k hum ais mai apna loss khatam kar sakty hai.
            • #7 Collapse

              ye baat to saaf wazeh hay kay forex market mn gold sab say ziada risky cheez hay trading kay liye but aap ko is cheez ka bhi idraak hona chahye kay risky hony kay sath sath gold he aisi cheez hy kay jo sab say ziada munafa deny wali cheez bhi hay. Waisy to pury ka pura forex ka business he risky hay but gold kuch ziada he risky hy. professional aur senior traders jin mn hosly, sabar aur jazbaat py qaboo pany ke taqat hoti hay wo to aksar gold pay he trading karty hay aur khoob munafa kamaty hn. magar wo ziada lalchi ni hoty aur aik he raat mn ameer hony kay khawab ni dekhty
              • #8 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: Rishi پيغام ديکھيے
                Dear members seniors sy swal hy k currency pairs per juniors trad karty hein lekin us sy profit slowly ata hy ziyada loss ho jaye to recover bhi mushkil sy hota hy currency pairs sy isi liye koya juniors ko gold per trad karni chahiye kiyon k gold havey movment per mushtamil hy aur profit aur loss juldi hota hy is mein kiya is reson ki wja sy gold per trad lgana sahi hy
                Yes dear gold kay bare ma jo kuch ap ne likha ha wo sahi ha gold risky hai aur gold par trading daikh sun kar karne chahey kun k gold ma achi kahsi movement hoti ha aur uska apko nuqsan hona ka darr ho sakta ha. Gold ke ooper trade karne waste pips main calculation ke jate ha k gold main ap kitne pips ka stop loss ur take profit rakhna chahty hain. Kal he ke baat ha gold main takreeban 2000 Pips ke movement hui to agar aise movement hoti ha to esmain apko nuqsan hona yakeeni ho jata hai kun kay insan ke adat ye hote h k loss wali trade open rehti ha aur us main account wash ho jaata hai jis ka aapko baad ma azala bhughtana parhhta ha.
                • #9 Collapse

                  Kuch Log Yahan Par gold mein kis wajah se kam nahi karte hain Kyunki iski movement Kafi Tej Hoti Hai Jab Woh log isme investment karte hain uski Kisi bhi time par direction change Ho Jati Hai Jiski wajah se wo bahut jyada nuksaan coface karte hain isliye in ko chahiye ke woh Jyada Se Jyada acche se iska Pehle technical analysis nikal ne phir se kam kare
                  • #10 Collapse

                    G han jnb aap nain bht achi bt ki hai gold bht riskh hai trading is pr karnan bht easy bhi hai bht rusky bhi hai q k is main market thora sa move karaygi to acha khasa loss ya profit hota hai aur iski markewt movement bhi tezz hai is liye is main risky trading kaha jar to behtar hai
                    Lakin bht sray lig is k bawajod hold and oil pr trading kartay hain ayr acha kahsa profit kak rahay hain is k zariye aur aap bhi kamyb ho saktay hain aur agar aap kamyab hona chahtay hain to aapko chaye k aap gold k related fundamental aur technicall donon qisam k analysis kar lain aur gold main agar trading karnan chahtay hain to usd ka bhi khaas khiyal rakhain...
                    • #11 Collapse

                      G hannnbaap nain bilkul sahi kaha hai gold bht risky hai air is k sath sath oilbhi bht risky hai lakin abhi sub kuch paat honain k bawajod bhi bht Sara log in PR trading kartay hain in ki main wajahuat yeah hain k Jo scalping k aadi hoti hai air woh Jo fundamental analysis ko tarjih detay hain in k liye gold beat hai qk fundamental ysis PR yeahbht depondkarta hai ayr isko mivement bhi bht rzz hoti hai us ki wajah say scalping waay bhi isko tarjih detay hain aap bhi agar achay trader ya scalper banana chali movement ko samajhnain ki koushish karain air is PR trading ko tarjih dain baai curuncy ki nisbat
                      • #12 Collapse

                        Gold ki movement market ma bhot hi Taz hoti ha is leya him log ko bhot hi zayada dayan sy trading krna hoti ha jib him logo ko acha profit banana ho to is leya Socha smj ky trading kre gold ma wrna account bi wash ho skta ha is ma mhnat bi Zayada lgti ha
                        • #13 Collapse

                          Gold ke trading kafi risky hai aur yeh baat sahi b hai . Lakin forex market mai jin markets mai risk ziada hota hai wahan per reward b ziada hota hai . iss lye jo traders chaty hain ke woh trading mai beshak risk ziada b lay lain lakin in ko reward jaldi aur ziada milty tu woh gold ke market mai trading karnay ko tarjee daite hain.
                          Gold ke Market baqi markets ke nisbat kafi ziada un predictable hai iss liye jin traders ka experience kam hota hai in ko start mai gold ke trading sirf demo per he karne chaiye warna loss honay ka chance ziada hota hai. experienced traders albata iss mai achi trading Karin tu Gold ke market bohot he ziada rewarding market hai.
                          • #14 Collapse

                            bhai gold ma market kafi taz move krte ha is ma him logo ko kafi acha profit bi mil skta ha or him logo ko nuksan bi ho skta ha is leay him logo ko dakh kr trading krni chaya ta ky hmara account bi wash na ho or him logo ko acha profit bi mil jae
                            Removed by Moderator.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Agar Hum Yaar Hain working karte hain toh Mein sabse Pehle Ye dekhna hota hai ki market ki Speed ke sath Hoti Hai all Keemat ke sath sath movement karna Hoti Hai unko pata karna chahiye ki maa ki aaj kal kya chal rahi hai aur Market ki action ke sath investment Kar Le Jayenge toh kabhi gussa nahi hoga paramhans a long time ke liye working kar sakte hain Hamare Paas capital investment Hoga Humse kuch aur Bhi Jyada working kar sakte hai aur Kis Ko samajh bhi sakte hain learning bhi kar sakte hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X