Forex main simple strategy kia hoti hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex main simple strategy kia hoti hai?
    mery dost main nay kafi indicator diekhy hain jes main diekha hy k us main boht he hard hai jin ko samhna main app k sath aik simple strategy share kerti hoon our app log bhe btain k kia honi chahy mazeed kitna simple kai jeay
    Main simple stochastic Oscillator indicator use kerti hon jes main do level hain aik 20 ka our aik 80 ka hai main jab 80 cross hota hai to minimum lot sy sell kerna us pair ko start kerti hoon our us ko 30 pips against move pay mazeed lot bharha k sell kerti jati hoon jab wo wapisi ata hai to acha profit 50 % move pay mil jata hai our same buy main bhe yahi kerti hoon
    app log apni apni simple strategy share kerean
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear main nay bhe aik dost ko aik RSI ki boht he simple divergence ki strategy bain kee hai our Mt4 k jo standar indicator hian un k sath app ache trading boht he simple way main ker sagty hain jes k aik inidcator bolinger band hai us mian app us ki 3 line hoti hain jab lower ko touch karey to app buy kreain our jab oper line ko candle touch ker rhi hoon to pher sell karean gay to ap ko us main asani k sath simpel strategy hain acha profit earn ho jeay ga jab Bolinger Band ki center line pay market ho to no trade karein our time frame k mutabik apna stop loss our take profit must dain
    • #3 Collapse

      Traders ki simple trading strategies bahot si hey jes ka ham jaiza len gey jo key beginners ko use karny bahot zarori hey, kesi 1 trading strategy ko trading me apply karna beginners ko kamyabi ki taraf le kar ja sakta hay, day trading strategy beginners key ley complicated ho sakti hay es ley day trading expernice hasil karny key bad ki strategy honi chaye beginners stage me nahi, trend line ko follow karna sab se best aur simple trading strategy hay jo key beginners ko strong support ya resistance level key break hony key bad follow karna profitable ho sakta hay.
      • #4 Collapse

        Well meray khayal men forex trading men jo sb say simple indicator aur stragty ha wo ha RSI (Relative Strength Index) jo k new members k samjhna bahut asan ha kyun k new banda jo trading ki abc tak nai janta agr wo start say he mushkil indicators k chakron men pray ga to usko samkh nai ay gi ulta confused ho ga so meray khayal men agr RSI ko samjha jaye to yeh sb say simple ha aur commnon bhi ha. New trader MT4 pay jb account login kray to baqi indicators ki selection khatam kr k sirf RSI ko slect kr lay aur RSI ko live market men daikhnay ka simple tareeqa ha k jb bhi RSI 20 say necahy a jaye to iska mtlb ha market bahut ziyada oversold ho gae ha aur ab mazid market k nechay janay k chance kam hain aur market ab up jaye gi so buy ki trade wahan put krnay say aksar profit ata ha. Same jb RSI 80 say oper chali jaye to yeh zahir krti ha market overbought ho gae ha aur sell ki trade lganay say profit ata ha lehaza meray khayal men RSI sb say simple indicator ha
        • #5 Collapse

          Mery khayal me simple trading strategy wo ho sakti hay jo key newbies asani se jes ka use trading me kar saken, esi bahot si simple trading strategies hey jes key base par trading easy be ho sakti hay aur asani se traders es strategies ko use kar sakty hey, sab se pehly support and resistance level ki simple strategy hay 2nd range trading esi tarha day trading be simple trading strategy hi hay, jo traders strategy traders ko easy lagy aur jes me profit key mawaky be zeyda ho esi ko ham simple aur easy strategy keh sakty hey.
          • #6 Collapse

            apki bat shia hai or ap ny jo simpe starrtgy hmary sath share ki hai wo aik trah se achi hai q k yah apka apna expiernce hai jis se ap trading kar k 50% tak profot eran kar rahi hai es liye mera khyal hai k hmain aghr indicators ko use karna hai tu itna os par trust nahi krna chahye q k har trador yah bat janata hai k jitna bi koi acha indicators ho wo 100% hmain target nahi deta hai es liye hmain aghr indicators par trdaing karni hai tu hmain ahtiayt k stah trdauing karni chahye ta k hmain loss na ho mera khyal hai k aghr hum apni trdaing main trend line par trade lgaen tu bhi hum achi trading kar skty hain jis se hmain acha profot milny k bhi chances hoty hain baki trading main hmain boht se trading strtgy mil jati hain jis se hum apni trading main limited profit bhi eran kar skty hain baki main akhunga k har trador apny expiernce k hisab se trading karna pasnd karta hai
            • #7 Collapse

              dear members apko maloom hona chye ky forex trading ma expert bnana zaroori hai tukky lgany sy apko profit bhi ho jata hai lkn apko is py koi surety nhi hoti na he kch apko confirm hota hai na he apka mind clear hota hai simply strategy yeh use kren ky daily moving average qor support and resistance find out kren aor usky bad trading start kren apko bahot profit ho ga
              apko economic calendar ky sath update rehna cbye aor news time aor news ko follow krna chye apko maloom hona chye ky news ki previous read kia thi aor forcast kia hai aor release hony ky bad news ki reading kya hai leahaza in sub ky bad apko just market ka technical data ka bhi ilm hona chye apko clear hona chye ky market ajkal kesy behave kr rahi hai etc phr aoki management perfect honi chye jumble up aor bundles of indicators ko ghapl ghus kr ky trading krny ka koi faid anhi hai
              • #8 Collapse

                jee han aap nain bilkul theek kaha hai market main boht sy indicators hai likin un ko use karna ana chahyee aor RSI aik acha indecator hai jis ko ager 20 ana 80 ky darmiyab set ka liye jayee to aap ais main short term trading main faida lay sakty hai aor aap ais main thoora thoora kar ky choti lot size ko use karty hoeey apna capital bara kar sakty hia aor aap nai bilkul theek kaha hai jab wo 80 cross kar jayee aor wapis moorny lagy to wo time acha hoota hai sell ky liye aor aisi tarha jab wo 20 ko touch kar ky ya cross kar ky moorny lagy to wo time acha hoota hia buy ka aor ais tarah market main profit earn kiya ja sakta hai likin phir bi indicators py depend karny ky bajay apna analysis bohat zaroori hai
                • #9 Collapse

                  Dear jaha tak baat hai strategy ki to bahot sari simple strategies ha jin par log kaam kar rahy hai aor ais market mai se acha profit bana rahy hai agar hum ne ais market mai kaam karna hai to hum ko koi bhi aik strategy par practice kar leni chyae aor aus mai take profit aor stop loss k sath kaam start kar dena chyae kun k ais mai ye hai k ap k kuch trade mai profit ho ga aor kuch trades ho gi jin par ap ko loss ho ga ais mai ye hai k ap ki jo trades profit mai ho gi wo risk reward ratio k hisab se agar close hoi to ap ko kabi bhi ais market mai loss ni ho sakta ais mai ye hai k ap ki jo trades loss mai jaye gi wo atna loss ni dy gi aor profit wali kafi zayda profit dy gi ap aus par kaam kary to ap ko kafi faida ho jata hai.
                  • #10 Collapse

                    Agar Hum logo ko forex market Mein kamyabi Hasil karni hai to pura Hum Logon Ko demo account Se Jyada Se Jyada practice karne chahiye Par Hum logo ko Apne experience to increase Karke training Karni chahiye Phir Hum logo ko is Mein kamyabi Milti Hai Aur Hum Log Ka fayda Hota Hai
                    • #11 Collapse

                      Pehlay main forex ki trading strategy ko clear ker don kay ye hoti kia hay. que kay kafi dost trading strategy ko shyd aik software ya special tool samjatay hain. Trading strategy asal main aik idea hay jo koe bhi trader kisi bhi cheez say lay sakta hay. jesay aik trader 20SMA draw kerta hay aur jab candles us ko cross ker leti hain to wo buy ya sell kerta hay ye is ki trading strategy hay. ye aik simple tarding strategy hay kuch log is ko mazeed athentic kernay kay liye aik aur indicator use kertay hain jo us kay entry order ki confirmation kerti hay. isi trah aur bhi boht achi achi strategies hain. Hamesha apnay knowledge kay mutabiq behter trading strategy choose kerni chahye ayr demo account per test ker kay try kerni chahaye.
                      • #12 Collapse

                        Assalamualaikum main aapko Uske baare mein advisor Dena Chahta Hoon Ke Humko chahiye kya Hum Uske baare mein bahut acchi study kare aur uske baare mein Hame Itni information Hogi Hum usko itne acche tarike se Karenge aur iske liye bahut zaroori hai ke hum jab din Kare to bahut acchi planning k saath kare
                        Removed by Moderator.
                        • #13 Collapse

                          Re: Forex main simple strategy kia hoti hai?

                          Forex trading World ka sabse bada business hai aur Forex trading main daily 7 plus ki trading ki Jati Hai Yahi Wajah Hai Ke Forex trading day by day sabse bada business Banta ja raha hai aur iski popularity Mein izafa Hota ja raha hai
                          • #14 Collapse

                            Re: Forex main simple strategy kia hoti hai?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: Hania3239 پيغام ديکھيے
                            mery dost main nay kafi indicator diekhy hain jes main diekha hy k us main boht he hard hai jin ko samhna main app k sath aik simple strategy share kerti hoon our app log bhe btain k kia honi chahy mazeed kitna simple kai jeay
                            Main simple stochastic Oscillator indicator use kerti hon jes main do level hain aik 20 ka our aik 80 ka hai main jab 80 cross hota hai to minimum lot sy sell kerna us pair ko start kerti hoon our us ko 30 pips against move pay mazeed lot bharha k sell kerti jati hoon jab wo wapisi ata hai to acha profit 50 % move pay mil jata hai our same buy main bhe yahi kerti hoon
                            app log apni apni simple strategy share kerean
                            Asalam o alikum dear ap ny bilkal tek kaha ha forex trading main hum different indicator use Kar k ache trading kar sakty han jasa k ap ny btaya ha stochastic oscillator indicator 20 or 80 do level han Jin pe ap buy or sell karty han or mazid agy jany pe or buy ya sell karty han to is sy wapisi pe or ziada profit hota ha isi tahra humary pass RSI indicator ha jis main do level han 30 or 70 parcentage Han Jin pe ap buy or sell Kar k ache trading kar sakty han or agr value mazed agy jay to wahan sy ap dobra value laga sakty han jis sy ap ko ziada sy ziada profit ho sakta ha
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Forex main simple strategy kia hoti hai?

                              forex mai stretegys ke bohat ahmeyat hain hamy ache strategy banane ho ge or hamy isy test karna ho ga pher he hum kam kar ky paisa kama saky gy forex kabe be band na hony wala business hain hum is mai simple strategy bana kar use kar ky be kamyab ho sakty hain forex aik international business hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain hum is mai agar greedy ban jald baze mai kam kary gy to hamy loss ho jy ga is mai market ka balm nahi hota forex mai hum apny boss kud ap he hoty hain hum gar mai bath kar is mai kam kar sakty hain is mai kam karny ky liye hamy kise be office mai jany ke zarorat nahi hote

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X