Market ko kysy analyze kiya jae??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market ko kysy analyze kiya jae??
    Slam dear friends kysy hy sab friends main aap sy ye pochna chata hn k ham market ko kysy analyza kar sakty hyn kiu k ye ek bhout he mushkil kaam hy aap ki trading ka sara daromadaar is py he hota hy agar aap ko market ko analyze na karna aata ho to aap k liye ye kaam mushkil hy or aap trading k duraan koi bara loss karwa sakty hyn is liye khaas tor py newbies k liye ye zruri hy or wo is k baghair trading main kabhe kamyabe hasil nhe kar sakty or is tarha sy aap ka account bhout jald he wash ho jata hy or aap ka account jitna bhe bary sy bara ho aap ko kuch bhe nhe mil sakta aap loogo sy meri guzarish hy k please mjhe is k bary main thora bta dyn k knsa bhetar tareeqa hy k ham us sy market ko ziada achy sy analyze karyn or ye bhe bta dyn k market ko knsa bhetar method hy k ham us ko easily samhaj lyn or is tarha ham trading main thora easaly kaam kar sakyn
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

    brother market ko analyse karnay kay bohat say tarikay hai or aap konsa tarika choose kartay hain yeh aap ki trading strategy kay oper depend karta hay sab say zyaada acha or most commonly used method yeh hay kay aap simple bull or bear candle kay uper work kerain yaani candle stick pattern ko use kerna seekha lain toh best hay secondly aap VSA yaani Volume Spread Analysis seekh lain toh aap ko aasani rehay gi lekin ager market main aap nay general trade kerni hay toh aap simple Moving averages kay oper work ker sektay haain aap generally Moving Average 10 , 15 ,40 use ker lain yah to phir aap Moving Average 50 , 200 ka combo use kerain uss kay elaawa MA exponential bhi use kee jaa sekti hay.
    • #3 Collapse

      Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

      Market ko analysis karny key ley best result deny waly trading system par depend karna chaye, bahot se esy trading methods hey jes ko use karny se market ko analysis karna asaan se asaan tar ho jata hay, sab se pehly support and resistance levels ko as a trading tool samaj kar trading me take profit aur stop loss targets create karny chaye es key bad price action method key mutabeq trend key strong ya week hony ka andaza lagana chaye sab se best ye hay key news ko be time to time follow kia hay es se trading ka result mazeed behtar ho sakta hay.
      • #4 Collapse

        Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

        Market analysis:
        Market ko sahi treeqy sy smjhna dekhna or andaza karna k market kitna move kary gi or kis simmat move kary gi.
        Analysis kesy kiye jaye:
        Agar ap analysis karna chahty hai to apko market me tools smjhny hon gy analysis k liye kai treeqy or tools hai agar ap trend ko smjna chahty hai to moving average sb sy best hai or RSI indicator b kafi helplful hai trading ko smjhny k liye or agar ap us pair ki jis par analysis kar rahy hai to overall movement b dekhy k pehly kesy move karta tha or ab kesy or kis country ki news wagera is pair par effect karti hai agar ap ye sab kary gy to ap ko us pair ki movement k bary me pata chal jaye ga or ap next movement ko samjh jaye gy.
        • #5 Collapse

          Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

          bhai hum sub kheriat se hain tu bai ap ny market ko analysis karny ki ahmiyat ka jio hmary sath share kiya hai tu bhai market ko analysis karny k boht se tariky hain jis main har trador he apny hisab se market ko analysis karny k bad trading karta hai forex trading main achi traha trading karny k liye jub tak ap market ko achi traha se analysis nahi karty tab tak ap apni trading ko bhi profitable nahi bna skty hain market ko analysis karny ka aqsad yah hota hai k hum market main jo trend chal raha hai osk k bary main pta ckar skaen jis k liye hum techniacal analysis kar skty hain jis main hum market ko judge kar k trend ko dekh skty hain or es main hum price action se apni trading ko kar skty hain or dekh skty hain k market main ab hmain sell krna hai k buy or kis ko karna hai or yah sub hmary analysis se he hmain pta chlta hai
          • #6 Collapse

            Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

            hum market ko analysis kerna jab tak siekhty nahe hai tab tak us main main hum ache earning nahe ker pain gay analysis kernay mushkil nahe hain app koi bhe aik method chahy wo price action ho ya volume spread analysis method ho siekh lain to pher app forex main kam ker k us say ache earning asani k sath ker sagty hain newbies ko loss hota hia koin k wo learn ker k nahe atay hain ager wo forex ko siekh k ain to pher dosto us main wo bhe acha profit karien our us main un ko ache kamyaabi milay app koe aik method siekhian us ko phelay demo practice kereian our pher he jab live account main trade ker k app acha profit bna sagty hain koi bhe kaam namumkin nahe hai bus mehnat ki zarorat hoti hai
            • #7 Collapse

              Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

              je market ko analyse karna hi sab se ahm kam ha q k jo trader market ko ashay se analyse karta ha wohi is ma kamyab ho sakta ha, to market ko analyse karny k lye bhi bht sary tools aur strategy ka use karna padta ha like
              1. Resistance aur Support ko check karna k market kis level pe ha,
              2. Pivot line ko draw karna k agar market ma price line pivot line k oper ha to market up trend ma ha aur agar market ma price line pivot k neechay ha to market sell trend ma ho gi
              3. Market k trend ko analyse karnay ky D1 k time frame ko use karna chaye os se asani se market k trend ka andazah ho jata ha
              4. Candlestick chart ko ashi tarah samajhna chahhe q k candle khud trend ka signal deti hain
              5. Moving averages k use se trend ka pata chal jata h
              6. Parabolic SAR k use se market k trend ka pata chal jata ha
              to trade karnay se pehlay market ko ashay se analyse karna chaye tab hi ham trade ma loss se bach saktay hian.
              • #8 Collapse

                Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                Je market ko analyze kiye bina koi bhi trader success hasil ni kar sakta is liye trading start karny se pehly market k analysis k diffrent tareeqy seekh lyn aur analysis 2 tarha k hoty hain technical analysis aur fundamental analysis jab.k ham fundamental analysis news se hasil karty hain jis p news trading ki.jati ha aur technical analysis market mein.chart bana k kiye jaty hain chart mein diffrent indicators use kar sakry hain ham.market ko analyze karny k liye aur moving avrage laga k bhi ham market ki next movement ka andaza laga sakty hain aur is k ilawa resiatance aur support ko bhi nazar rakhna chahye aur is k ilawa bhi bht sary tareeqy hain jo use kar k ap market ko analyze kar sakty hain aur chart p diffrent time frame mein ap market ko check kar sakty hain
                • #9 Collapse

                  Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                  Dear ais market mai bahot sary tareeky hai jin se hum ais market mai analysis kar sakty hai aus k liay hum ko ais market mai pata chata hai k hum ne ais mai kaisy trade lagani hai magar jab hum ais market mai analysis karny k liay pattern dhondty hai to aus time ap ko ye pata hona chaye k ap ais mai kitna risk ley gay.
                  jaisy agar ap ne account par 2% risk lena hai to ap ne ais mai beshak choti si bhi trade lagani hai to aus mai ap ne risk reward k hisab se target set karna hai.
                  Analysis karny k liay behtar hai k ap price action par kaam kary jab ap price action ko dekhy gay to ap ko market ki samjh aa jaye gi aor ap ais par asani se kaam kar sakty hai kun k ais par ap ko kafi achi achi trades mil jati hai.
                  ais k sath agar ap trend lines draw karty hai to aus par bhi ap trade laga sakty hai jaisy ap trend line break out par trade laga sakty hai aor ais k sath trned line k oper se bhi trade laga sakty hia.
                  chart patteren ko dekh k bhi ap ais market mai trade laga sakty hai ais mai ap ko confromation candle par hi trade lagani hoti hai tab ja k ap ko acha profit hota hai agar phly laga ley gay to ho sakta hai k wo pattern bany hi na.
                  • #10 Collapse

                    Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                    Market ko analyse kernay kay teen tarikay hain.

                    Fundamental analysis
                    Technical analysis
                    Sentimental analysis

                    Fundamental analysis :

                    Is main jis currency ko trade kia jata hay us currency kay related tamam bunyadi chezon per nazar rakhi jati hay jesa kay us mulk main logo ka rehn sehn kaisa hay. kitnay log job kertay hain. aur kitnay be rozgar hain. us mulk ki daramdat aur baramdat kitni zayda hoe ay kam hoe waghaira waghira.

                    Technical analysis :

                    Is main trader sirft chart per kuch indicator kay istamal say ay chart ko study ker kay kisi bhi technical knowledge kay mutabiq apni aik raye bana leta hay kay ye currency mazboot ho gi ya kamzoor ho gi. is knowledge ko technical knowledge kehtay hain aur boht say log ye knowledge analysis kay liye istamal kertay hain.

                    Sentimental analysis :

                    Is main ye andaza lagaya jata hay kay logo kay dil main kisi currency ya pair kay baray main kia hay. wo pair ki selling main ya buying main kis cheez main interested hain. un ki raye pair ki haq main hay ay nahi. Sentimental analysis kisi dosray ananlysis kay sath istamal hotay hain. is ka istamal boht kam hay.
                    • #11 Collapse

                      Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: Naqashali پيغام ديکھيے
                      Slam dear friends kysy hy sab friends main aap sy ye pochna chata hn k ham market ko kysy analyza kar sakty hyn kiu k ye ek bhout he mushkil kaam hy aap ki trading ka sara daromadaar is py he hota hy agar aap ko market ko analyze na karna aata ho to aap k liye ye kaam mushkil hy or aap trading k duraan koi bara loss karwa sakty hyn is liye khaas tor py newbies k liye ye zruri hy or wo is k baghair trading main kabhe kamyabe hasil nhe kar sakty or is tarha sy aap ka account bhout jald he wash ho jata hy or aap ka account jitna bhe bary sy bara ho aap ko kuch bhe nhe mil sakta aap loogo sy meri guzarish hy k please mjhe is k bary main thora bta dyn k knsa bhetar tareeqa hy k ham us sy market ko ziada achy sy analyze karyn or ye bhe bta dyn k market ko knsa bhetar method hy k ham us ko easily samhaj lyn or is tarha ham trading main thora easaly kaam kar sakyn
                      acchi trading karne ke liye Mar Khud Ko analyse karna bahut jyada important hota hai aur yeh ek bahut important cheez hai agar Hum market ko analyse karna chahte hai to Hame chahiye ke sabse Pehle market se related news Aane Wali Hai unko Dekhe market wavewatch karne ke baad traders ko chahiye ke woh market ke trend ko samajhne ki koshish Kare aur Market mein jo indicators maujood Hai Unse bhi achi trading karne mein help me to traders better trading kar Sakenge
                      FRD 07 TRADING JOURNAL
                      • #12 Collapse

                        Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                        Assalam-u-Alaikum Bhai! Umeed hai ap SB thk hon gay actually main ubhi new user hun main khud nahi janti k market ko kia tqrha say analyze kr skte hn lekin main itna zroor janti hun k humay kisi bhi business ko shuru krne say pehle ye achi trha pta hona chaiye k market ko kia tarha say analyze kia jaata hai kiun k AGR humay ye bat nahi maloom ho GI k market ko kse analyze krna hai to mjhe lgta hai hum kbhi b achay business man nahi bn sken ge umeed hai ap bhi meri bat say muttafiq hon gay
                        Shukriya Fee Amanillah
                         
                        • #13 Collapse

                          Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                          Assalam-u-Alaikum brother! Alhamdulillah main thk umeed hai ap kheriyat se hon gay.Brother actually mjhe bhi ubhi nahi maloom k market ko kse analyze krte Lekin main itna Zroor janti hun k Hume market ko analyze krna ana chaiye q k AGR him koi bhi business shuru krne lgen to hmare liye sbse pehle ye janna zroori hoga k market ko kse analyze kiya jata hai AGR Hume ye SB maloomat nahi ho GI to mjhe yaqeen hai k him kbhi bhi ek acgay business man nahi bn sken ge Mjhe umeed hai k ap meri bat kse muttafi hon ge shukriya
                          Fee Amanillah
                           
                          • #14 Collapse

                            Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                            forex trading main sub se jo main point hota hai wo market he hoti hai jis main hum rahty howe kam karty hain or market ko analysis karny k boht se sources hoty hain jis main ap apni trading ko kar skty hain or market ko analysis karny k liye jo common analysis hain un main
                            1: technical analysis
                            2: fundamntal analysis
                            3: sentimental analysis hain
                            en 3 analysis se hum market ko judge kar k apni trading kar skty hain es liye hmain apni trading main aghr tchnicala anlysis ko use krna hai tu hmain aik frame work ko slect krna hota hai jis main hum price ki harkat ko folow karty hain rs main chart ka bhi use kiya jata hai jis main market ko dekh jata hai k market paly kahana thi or ab kahan tak ay gi es k bad fundamntal analysis hoty hain jis main hum molki halat se bakhbar rahty howe trading karty hain jis main siyasi moashi or iqtsadi or molki currency ko madhe nazar rakhty howe trading karty hain tu yah do analysis hoty hain jis main hym apni trading karty hain es liye hmain apni trdaing ko bahtr bnany k liye analysis ka knowledge gain krna chahye ta k apko acha profit mil saky
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Market ko kysy analyze kiya jae??

                              اصل پيغام ارسال کردہ از: Naqashali پيغام ديکھيے
                              Slam dear friends kysy hy sab friends main aap sy ye pochna chata hn k ham market ko kysy analyza kar sakty hyn kiu k ye ek bhout he mushkil kaam hy aap ki trading ka sara daromadaar is py he hota hy agar aap ko market ko analyze na karna aata ho to aap k liye ye kaam mushkil hy or aap trading k duraan koi bara loss karwa sakty hyn is liye khaas tor py newbies k liye ye zruri hy or wo is k baghair trading main kabhe kamyabe hasil nhe kar sakty or is tarha sy aap ka account bhout jald he wash ho jata hy or aap ka account jitna bhe bary sy bara ho aap ko kuch bhe nhe mil sakta aap loogo sy meri guzarish hy k please mjhe is k bary main thora bta dyn k knsa bhetar tareeqa hy k ham us sy market ko ziada achy sy analyze karyn or ye bhe bta dyn k market ko knsa bhetar method hy k ham us ko easily samhaj lyn or is tarha ham trading main thora easaly kaam kar sakyn
                              Agar aap market ko analyse karna chahte hain to uske liye zaroori hai ki aap market ke baare mein information Le aur Market ke trend ko samajhne ki koshish Kare agar aap trading karne ke liye hardworking nahi karte to market ke analysis achi Tarah Se nahi kar Sakenge Jab aap Bahar Katke analysis acchi Tarah Karenge toh aap successful trading kar Sakenge

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X