Trade kartay howe hamin emotional nahi hona chahiye
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trade kartay howe hamin emotional nahi hona chahiye
    Brothers jab trading kartay howe trade loss main jaati hay ham loss ko recover karnay kay liye emotional ho jatay hein aur loss recover karnay kay liye lot size ko bara kar daite hein is say hamin maazeed loss ho jata hay aur hamara account tak wash ho jata hay mera to tamam new traders ko mashwara hay kay agar aysa ho jaye to bilkul new trade na lagain bus market kay stable hone ha wait karin aur kisi achy point se phir enter hon..
    THANKS
    THKS
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    G brother , Ap ka suggestion bohot he acha hai , trading kay time per trading mai sab say ziada loss emotion control na honay ke waja say he hota hi . traders ager apny emotion per control karne ke try karin aur emotions ko control mai rakh kar proper analsis ke base per trading karin aur emotion ke base per trading na karin tu bohot achy result milin gaay.
    • #3 Collapse

      Dear bother aap ne bahut achi tios de hain aur bar bar forum per yehi baat ki jati hai kay during trading apnay emotions ko control mein rakhain lakin log suni unsuni kar detay hain aur result kya nikalta hai loss ya account wash
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: mtkpak پيغام ديکھيے
        Brothers jab trading kartay howe trade loss main jaati hay ham loss ko recover karnay kay liye emotional ho jatay hein aur loss recover karnay kay liye lot size ko bara kar daite hein is say hamin maazeed loss ho jata hay aur hamara account tak wash ho jata hay mera to tamam new traders ko mashwara hay kay agar aysa ho jaye to bilkul new trade na lagain bus market kay stable hone ha wait karin aur kisi achy point se phir enter hon..
        THANKS
        g bhai hamian trading krty hoy kabhi bhi emotional nahi hona chaye is sy hamain nuksan hoga or ham achi trading nahi kr skain gy or hamian loss ho jai ga
        • #5 Collapse

          Aapne bilkul sahe kaha hai bahi jan. Agar aap trading ma emotions ly kay aaty ho to phr aapko profit hona mushkil hota hai ya phir bht ham profit hota hai. Es ly jab bhe trading ke jaay aik proper target kay sath kee jay aur jab tak target achieve nahi ho jaata usko jazbaati ho kar zayda loss ya thory profit main close nahi karna chahey
          • #6 Collapse

            Apki bat 100 percent thek ha lekin masla yeh ha k hum in chezo pay amal nai krtay. Agr trading banda emotional ho k kray to baz dfa faida bhi ho jata ha lekin ziyada chance nuqsan k hain so me yeh samjhta hun k trading hmaesha fresh mind k sath aur relax mind k sath krni chaheay
            • #7 Collapse

              haan g dosto ye to sab say major factor hai jes ko trading main control kerna hota hai jes main app ka fear our greed ataay hain to app ko un ko control ker k work kerna ho ga pher he us main app ko acha profit earn ho ga
              • #8 Collapse

                jee bhai Asia he hota hai jb loss hota hai to hmara mind thek trah work nhi krta or hum khod ko control nhi krty is waja sy hum zuada sy zuada trade open kr laty hain loss jo recover krny k luy kbi to loss recover ho Jata hai is trah krny sy or kbi phir account he wash hota hai
                • #9 Collapse

                  bhai apne ye baat to afi achi ki hn apko emotion pr kafi control rakhna chaiye jo apne baat btao hn 70% tk trader yehi krtey hn aur onko sukoon jab parhta hn jab onka account washed ho jata hn halakey onko 1 week ka rest le kr again shuru krna chaiye :)
                  • #10 Collapse

                    Trading me emotions ki koi jaga ni. Its totally based on our knowledge and experience of trading. Emotion se kaam ni chalta. Emotion se ziada nuqsan he hota hai.
                    • #11 Collapse

                      Forex trading business mein kabhi bhi emotional ho kar trading nhi karni cahaiye aur jab loss hota hy tu loss ki recovery k liye baghair analysis kiye emotional ho kar trade open kartay han aur ziada risk se ziada lot size se trade open kartay han tu is traha profit ki bajaye account ki wash ho jata hy is liye market ko dekh kar aur emotions ko control kar k trading karni cahaiye
                      • #12 Collapse

                        Ji bilkul theek baat ap ne kahi hai trading ke doran kabhi bhi emotional nahi hona chahye forex trading main hamaisha patience se kaam laina chahye warna loss hote dair nahi lagti
                        • #13 Collapse

                          trading karnay k lye ap ko sab say phalay ap ko yyahan say apnay wlaa experience ko gain karna ho ga yahans ay daily base par increase karna ho ga jis say ap ko kafi zayda support ho skti ha jis say p ko kafi adventage mill skta ha jis say
                          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                          • #14 Collapse

                            dear freind ap ki bat sy mn agree krta hon k hamein trade krty waqt emotional nahi hona chaheye Q k agar hum emotional ho kr trade krty hn to hamein is soorat mn loss hota ha Q k jb hum emotiona l hoty hn to hamara mind fully kam nahi kr raha hota aur hum sahi faisla nahi kr paty jis ki waja sy loss ho jata ha .

                            اب آن لائن

                            Working...
                            X