Trading main Spread kise kahte hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading main Spread kise kahte hai?
    me ye puchna chahta hu k spread kya hai or is ko dekhty huwy trading kesy krty hai? ya ye trading pr kesy asar andaz hota hai?:confused:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bahi spread Jo fark kisi currency ko khareedny aur bechny kay rate main hota hay us ko forex ke zubaan main spread kehty hain. Normal currency exchange pe bhe aap jao to wahan aap ko currency leny aur bechny k time mukhtalif rate milty hain. Maslan aap kherdo gay 10 rupy lagy gain aur becho gy to 9 rupy. Ab ye jo 1 rupiya ka fark hai es ko spread kehty hain aur ye 1 rupiya currency exchange wala apni service charge leta hay.
    Online Forex market main bhe yehi yehi asool lago hota hay aur broker aapko mukhtalif currencies main mukhtalif spread milty hain jo kay broker ko uska faida milta hay aur esi se broker apna rozgaar bnaaty hain. Jis currency main spread kam hota hay un currencies ke liquidity zayda hoti hay. Aur jin currencies ka spread zayda hota hai un ke liquidity kam hoti hay.
    • #3 Collapse

      dear lgta hai app new hain spread aik tra ka broker ka commition hota hai jab ham trade open karty hain tu hamri trade ju negitive say shuru hoti hai wo belnce sedha broker ko chla jata hai aur wo he spread hota hai ye ham broker choose karny say pehly daikhty hain k iss broker ka spread kitna ham ko kam say kam spread waly broker k sath kam karna chheay utna he ham ko faida hoga.
      • #4 Collapse

        Humera pass jesa k forex main different piars hain to dear un ki aik bid price hoti hy our aik ask price hoti hai dono prices k dermian main jo difference hota hy us ko hum spread khety hain usi spread value k oper broker customer say commission charge kerta hy to better hota hy k low spread waly piars main trade ki jaey ta k kum loss say trade start ho our jald acha profit mil jaey
        • #5 Collapse

          salam dosto forex ka apny zaban mein saparad yani money exchange jo money bachta hai kareda ta hai is ko saparad kahtay hai kio agar 1 rupay par apko 6 rupay meljaty hai tu ya eka rupey jo hai na sapared hai kahlata hai ya money exchange jo money exchange k zaban ka lafaz hai saparad
          • #6 Collapse

            Dear currency pair main jo darmiyan main fasla hota hai os ko hum spread bolte hein ise kuch currency main kam spread hota hai ur kuch main zada gold main 60 ka spread hai
            • #7 Collapse

              Forex main spread kisi bhe pair ki aik lower value or aik uper value hoti hy us main differene ko khwty hain our ye her pair ka dosarwy say difference bhe ho sagta hy our differ bhe ker sagta hy to humean kum spread waly lairs main trade kerni chahy chahy pher he hum us main kum risk lay k thora profit but secure earning ker sagty hain
              • #8 Collapse

                Dear spreed broker ka commission hota ha jo pair k darmeyan currency ka farq hota ha jb hm trade lagaty hain to wo commission khud ba khud broker k hisy me chala jata ha is trha broker hm se fee charge krta ha
                • #9 Collapse

                  bid or ask kay darman farak ko spread kehtay hain
                  jub hum kisi exhanger kay pass money exchange karwanay kay liey jatay hain to wo kuch rakam hum se comition kay toor par wasool karta ha
                  isi tara jub hum aik order open kartay hain to broker comition kay toor par soread ki sorat me hum se comition wasool karta ha
                  har broker ka spread mukhtalif hota ha
                  kuch broker fixed spread b daty hain just like instaforex
                  kuch broker spread ki mad me cheating b kar letay hain
                  but jo fixed spread hota ha os me cheating kay chances 0% hain
                  instaforex is good broker ha jo fixed spread deta ha apnay client ko
                  • #10 Collapse

                    Re: Trading main Spread kise kahte hai?

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: Hashim Nawaz پيغام ديکھيے
                    Dear spreed broker ka commission hota ha jo pair k darmeyan currency ka farq hota ha jb hm trade lagaty hain to wo commission khud ba khud broker k hisy me chala jata ha is trha broker hm se fee charge krta ha
                    Dear Bahi nay jo trhead ki hai us mai Spread ka bataya hai matlub spread ap ka jo trading pair hai like eurusd ko lain lay in dunu ki jo price mai difference hota hai us ko spread bola jata hai. or eurusd mai kam se kam spread ap ko mily ga or kuch account ap ko aisy be provide hoty hai jin ka spread 0 hota hai or ap jab trade open karty han tu wo us ka commission pehlay kaat liya jata hai.
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: Trading main Spread kise kahte hai?

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: abcd2 پيغام ديکھيے
                      me ye puchna chahta hu k spread kya hai or is ko dekhty huwy trading kesy krty hai? ya ye trading pr kesy asar andaz hota hai?:confused:
                      Dear koi be pair ap lay lain aik pair mai 2 currencies ap ko milain gi jo dunu currencies hogi un dunu kay jo gap hai us fark ko spread kaha jata hai. ap es ko minus kar kay be check kar sakty hain. major pairs ka trader use karty hain aik tu us mai spread be kam hota hai or 2nd ap un ko behtreen tareeqay sy samaj be sakty hain.esleye koshish karain kay kam spread walay major pair ka use karain.

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X