Jaiza: Tradin styles.
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza: Tradin styles.
    Forex trading ki aik bari khoobi ye ha kay traders ko ye azaadi hasil hoti ha kay wo jesay chahain trading karain. Trading kay bohot se styles hain jesay kay, Position trading, Day trading, Scalping, Trend trading, News ya fundamental trading, Range trading, Technical trading etc.

    Position Trading:
    Position trading ka matlab ye ha kay aik trader kisi specific position ko (buy/sell) ko lambay arsay tak, even weeks ya months tak, open rakhay. Is ko long term trading bhi kehtay hain.
    Day trading:
    Day ya Intraday trading ka matlab ye ha kay trader aik hi din mein trades open aur close kar day. ye usually short term trades hoti hain aur trader aik din mein kai trades open aur close kar sakta ha.
    Scalping:
    Scalping bhi intraday trading ki aik qisam ha, jis mein trader M-1 se M-10 time frames mein trading karta ha. Ye trades bohot small time kay liye open ki jati hain.
    Trend trading:
    Trend trading kay name se hi zahir ha kay trader trend ko find karnay kay baad trend kay sath hi trading karta ha. Trend trading forex mein sab se achi aur profitable strategy ha.
    News ya fundamental trading:
    Is trading style mein trader mukhtalif sources se forex ki news aur un ka specific currency ya commodities par possible effect analyse karta ha aur news kay anay se pehlay, doran ya baad mein trades open karta ha.
    Range trading:
    Kai dafa market mein kisi bhi currency ya commodity ki price strong resistance aur support kay darmiyan trap ho jati ha, jis ko Range kehtay hain. Ye profit earn karnay ka acha moqa hota ha, aisay traders jo range mein trades karain un ko range traders kaha jata ha.
    Technical trading:
    Is mein traders technical analysis, specially Price Action Trading, ko istemal karray huay trading kartay hain. Ye trading ka sab se mushkil lekin sab se reliable aur profitable style ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Ehsan ullah khan پيغام ديکھيے

    Forex trading mein bahut shade types K trading ke jati hai kuch traders Aise Hote Hain Jo Ek Aur Ke style pe trading karte hain kuch traders scalping karna Pasand Karte Hain kuch traders in short term trading karte hain aur jo experienced or knowledge wale traders hote hain woh long term trading karna Pasand Karte Hain aur us apni Ek trade pe Kafi profit Bana Lete Hain
    FRD 07 TRADING JOURNAL
    • #3 Collapse

      Kuch log kaam karne ke liye technical trading train par rehte hain wo Kisi acche price funny action trading ko Hamesha ke liye use karte Lete Hain Yeh trading Sabko hasane ki taraf Le Jati Hai
       
      • #4 Collapse

        JAIZA : TRADING STYLES

        Forex trading ka business woh world ka wahid business he jes mein trader apne free style se apne bhtreen setup aur bhtreen planing se apne trading kr ke acha profit hasil krne mein kamyab hota he aur forex trading mein jo bhtreen trading style hein woh ap ne bta die hein aur in ke tafseel mazeed mein bhe ap ko yahan bta dete hon.

        1. POSITION TRADING :
        Position trading ka mtlb yeh he keh es position mein trader aik apne sahih market ke position jo keh mojoda us ko smjh mein a rhe hote he us ko follow kr ke apne order lagate he es mein lazme nhe hota he keh woh short term istemal kre ya phr long term donon terms mein trader jb aik market ke position ko smjh leta he phr woh apne trading se acha profit hasil leta he.

        2. DAY TRADING :
        Day trading ka mtlb yeh he keh es trader aik he din mein apne order open krta he aur aik he din mein close krta he aur trader day trading mein us din ke market ke price movement ko smjh kr apne trades open krta he aur kuch profit hasil kr ke apne trades ko close kr deta he yeh bhe aik acha trading ka style he.

        3. SCALPING TRADING :
        Scalping trading mein traders short time frame mein zyada high risky trades open krte hien aur short time frame mein he apne order se acha profit hasil kr leta he aur aise trading style ko acha nhe smjh jata kion keh es trading style mein trader high risk istemal krta he aur boht bar trader ko trading mein huge losses face krna pr jate hien.

        4. TREND TRADING :
        Trend trading aik bhtreen tareeqa he trading ka es trading mein trader ache trah se market ke trend ko smjhte howe apne trading market mein order place krta he aur jb trader expert hota he aur market ke sahih trend ko follow krta he phr trader ko boht acha profit trading se hasil ho jata he.

        5. NEWS YA FUNDAMENTAL TRADING :
        New trading jes ko fundamental trading bhe kehte hien yeh bhe trader ko boht faida deta he agr es trading style mein trader forex market ke hr news aur update ko follow krte howe apne trading krta he to trader apne trading se khatir khah acha profit hasil krne mein kamyab ho jata he.

        6. TECHNICAL TRADING :
        Technical trading krna boht he ahm he aur es trading style mein trader forex market ko ache trah se analysis kr skta he aur es technical trading mein trader technical tools ka istemal krta he jo keh indicators chart patterns candle stick waghara ka istemal kr ke trader forex market ke kse bhe trading pair ka sahih trend smjh kr apne order lagata he aur apne trading sahih kr ke acha profitable trading krne mein kamayb ho jata he.

        to yeh boht he ahm aur ache trading style hein woh ap ko smjha die hien umeed he keh ap ko in ke smjh a gae ho ge agr aur koi bat mere zhn mein trading styles ke bare mein ae ge to zaroor share kr don ge.
        • #5 Collapse

          jaiza on trading style
          forex me anay walay har trader ko apni personality kay hisab se trading style ko choose karna chahiey
          jo part time trader hai pakistan me un kay liey usa session bohat acha session ha trading karnay kay liey chunkay usa session shaam ko open hota ha or os wakt sub apnayoffice se wapis b ajaty hain wo trader amrican session me scalping trading b kar saktay hain ji kay pass airf 2 se 3 hours hotay hain trading kay liey
          agr ap news trading me meharat rekhtay haor news event ko read karna janty hain to news trading kay liey usa session sub se best session ha
          mera manna yehi ha forex ko apni personality kay hisab se karay is se ap par izafi booj b nehi paray ga or ap stress b feel nehi karay gay
          yeh sub batainy isi liey hain kay forex aik risky business ha or is me 90% trader money loss kartay hain
          • #6 Collapse

            jab b ap ka kaam kar layen ya ap ka kaam yahan say compleat h jaye tu ap ko chahiye k ap market ka compleat jaiza layen or phr yahan par market may invest karyen jis say ap ki working phalay say buhat auchy walai ho skti ha or ap ko kaam ka maza b aa skta ha
            • #7 Collapse

              Trafing karnay k lye ap k pass ak long time investment ka ak auchy walay standard business ka hona lazmi ha jitna aucha ap ka standard wala buskness ho ga ap ko kafi zayada yahan say working b ho skti ha or earning b ap loog yahan say generate kr skty han kaam k sath sath
               
              • #8 Collapse

                Trading style har trader ka hi different hota hay sab se best trading style me samjta hon key key fundamental analyzing hota hay jes me traders market ko analysis kar key 100% profit earn kar sakty hey, scalping trading sab se risky trading samji jati hay es ki main waja ye hoti hay key scalping trading market key swing position me ajany se traders zeyda profit key lalach me up down trend key mutabeq many trades short time me open aur close karty rehty hey jes me market agar one side jaye to esy traders ko big loss be bardashat karna pard sakta hay.
                • #9 Collapse

                  Upper market Mein working karne ke liye sabse Pehle Apna trading style maintain rakhle kitne acche se aap trading style Mein working Karenge aap ko market Mein kaam karne ka acche se confidence generate Ho Jayega aap apne mind cool and fresh Rakhe kam Kare market Mein confidence Jyada increase Kare Jitna aap kaha par confidence increase Hota Jayega aapko A pass information please Yaad Aati Jayegi
                   
                  • #10 Collapse

                    assalamu alaikum bhai aapne bilkul thik baat ki hai agar Hum Logo Forex ma mhnat Karni chahiye jitni Jyada Hum Log Mohanat Karenge Hum Logo Ko Itna hi Milega Aur Hum Log Kitni Yaad earning kar sakt
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: Jaiza: Tradin styles.

                      forex aik online business hain hum is mai live or sada urdu mai trading karty hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain hum is mai kam kar ky ache earning hasial kar sakty hain or apne zarorto ko pura kar sakty hain forex aik asa business hain jo hamy learning ky sat earning be deta hain is mai hamara koi boss nahi hain hum is mai bager pasiao ky account bana kar be kam kar sakty hain forex aik aam business ke nisbat bohat acha business han hum is mai agar kam karty howe lalch kary gy to hamy loss ky siwa kuch be hasial nahi ho ga

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X