Basic Step New Traders ky Leye
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Basic Step New Traders ky Leye
    Asslamoalikum

    Har New Trader k leye zarori hai ky Forex start karny k bad basic step ko samaj lain ky unko problem na Aye.

    1-Forex ky leye achy Broker ko chose karna
    02-Forex ky leye Demo ka Use Karna
    03 MT4 K har tools ka use karna
    04- Apny upar depend karna
    05- Signal, Robot se Door Rehna
    06- Woh Amount Investment Karain Nuqsan ho tu ap ki life pay Effect na ho
    07- Greed Se Door Rehna
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Wa Alaikum Assalam!
    bhai boht hi ala information apne share ki he Allah apko is trah ki info dene ki or ziada taqat ata kre.
    mje is me se jo sb se acha point lga he wo 4 or 7 h. Greed is curse boht sare log sirf lalech ki wja se nkaam ho jate hen q k unko qder nhi hoti jitna mil gia he uspe guzara kr lo phr jitna uper jate hen utna nichr ate hen. is liy harr kisi ko chy k kamm lelo mgr acha lelo.
    Excess of everything is bad
    • #3 Collapse

      Yes dear main b ap ki bat se agree hoon aur mara b yahi khyal hay k aik new trader ko Forex main work start kerne k lie is k basic steps ko semjna bohat he zroori hay phir he wo is business main successful ho sekta hay aur is se earning ker sekta hay aur ap ne jo batain btai hain ager trader in ko follow krain to wo is business se faida hasil ker sektay hain.
      • #4 Collapse

        Thanks brother apnay buht Achi aur informative post ki hay jis se her new traders ko faida hooga aur agr sab New traders isi ko follow up kareen to wo aik achay traders ban saktay hain aur Achi planning aur Achi earnings hoo sakti hay thanks so much
        • #5 Collapse

          Trader k leye basic step mai se aik step yeh b hai k trader ko pata hona cheye k woh jis pair pay trade kar raha hai us ki current news kiya chal rahi hai analysis ki base kiya hai or money management k sath trade ho rahi hai ya nahi yeh sub batain jab ap ko pata hogi tu ap ko idea hoga ap ko knowledge or experience hoga k kis tarha trade ki jaye.
           
          • #6 Collapse

            new trader kay liye sab say main basic step to ye hai k wo sab say pehlay to forex trading ko professionals level pay seekh lein uskay baad demo account pay kuch arsay kay liye trding karay takay uska experience b bharay our dusri baat ye k uski money management best ho jaye our dusra broker ko choose karty waqt ye khyal rehna chahaye k kahin broker market maker to nai hai
            • #7 Collapse

              New Trader k leye zarori hai k woh apni learning ko proper karain. Learning mai behtar planing kary k kis tarha trade karni hai or jis pair pay trade karni hai us ko achi tarha learn karay. Apni mistakes ko ignore nahi karay. Behtar money management karay or achy tareeqay se trade jab woh kary ga experience ki base pay tu woh kamyab hoga.
               
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Basic Step New Traders ky Leye

                New trader es bat ka kiyal rahkain kay Forex business hai es ko business ki tarha deal karain .es ko learn karian, study karain, analysis karain or phir practice us ki base pay kar kay experience ki madad se earning karian tu ap kamyab hai. ager ap ko yeh lagta hai kay a just es mai earning nahi karna chahty hain or ap guess karain gy tu aik bar zaida earning a jaye gi tu aisa nahi hota hai. es surat mai ap ko loss ka samna karna parh jata hai .

                اب آن لائن

                Working...
                X