Forex business main success ratio kitnay percent hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex business main success ratio kitnay percent hay?
    Dear forum friends main ap say pochna chhta hon kah forex business main successful trader ki kitni percentage hay qion kah main nay kafi dakha hay kah peoples kah rahay hoty hain kah 10% traders forex main successful hotay hian aor kuch kia kah rhay hoty hain is tarah mara mind aik faisala na kar pa raha hay agr dakha jay 10% success ratio hay phr yah bhut kam hay phr people qion forex business ko join kartay hain mare hisab say to yah percent jo kah 10% wali hay is ki koi sadaqat ya haqeeqat nhi hay ap apny knowledge say share kar dain kah haqeeqat kia hay aor kitny percent traders forex business main successful hotay hain?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Forex Trading main success Ratio:
    Dear Forex Trading main jo 10% successful ratio ap ke knowledge main hai ye kisi had tak main samja hon ke thik ha ku ke Forex trading main bohat se log Trading ke liye ate hian, Maximum Traders jo main ne note kiya hai wo bara risk lete hian or unki profit ki percentage bi chahe Daily base pe, Weekly base pe ho ya Monthly base pe ho unka target bohat high hota hai like 20% ya is se bi above to ye cheez sab se zyda dangerous hai jis se bohat km ratio hai Successful logo ki.
    10% logo ke Successful hone ki waja : jo 10% log hain jo successful hote hain Forex ki market main wo Forex Trading ko bohat hi complete money management ko follow karte hue karte hain or apna risk reward jo hai wo minimum rakhte hai jis se wo long time ke liye market main rehtre hain.
    • #3 Collapse

      g han bhai apki bat shai hai or main apki bat se agree hun forex trading main kamybhi ki jo ratio aj kal count ho rahi hai otni nahi hai es se kahen zeda hain q k boht se trador boht achi trading kar rahy hain or acha profit eran kar rahy hain es liye sub hmain forex main kamyb hony ki ratio main izafa karna chahye or jo bhi forex main fail ho rahy hain un ko kbhi bhi har nahi manni chahye or apni koshsih jari rakhni chahye jis se yah ho ga k kamybhi main izafa ho jay ga or ratio main kafi parecent increamnt ho jay ga es liye forex main har trador ko best trading karny k liye kosish karni chahye ta k wo bhi kamyb ho saken
      • #4 Collapse

        dear jaisy ap ne baat ki to ais mai aisy traders bhi hai jo aik month mai 50% tak asani se earn kar rahy hai agar banda aun ki trading dekhy to banda heran ho jata hai k ye log entry kaisy lety hai aor ain mai kitna sabar hai mean wo jab bhi koi trade lagaty hai to aus ko kafi time tak hold rakhty hai aor kai dafa to ye hota hai k sath trailing stop laga dety hai aor aun ki trade trend mai lagi hoti hai aor jab tak trailing stop hit na ho wo trade ko close ni karty magar aun logo ne ais market mai mehnat ki hai agar ap ki bhi trading strategy achi hai to ap bhi ais market mai se acha profit bana sakty hai kun k ais market mai se paisa kamana atna muskil bhi ni hai jitna log kehty hai k ais market mai se paisa kamana muskil hai.
        • #5 Collapse

          Forex my working karne ke liye Hame success Kaho na Lagti Hai Yahan Par success ratio bahut kaam hai iske liye Mare Paas extra type key skills ka hona lazmi hai jitni Jyada Hamare Paas extra skills of Management Hogi kaam ko samajhne ki acche wale samajh Hogi Phir Hum yahan se Aage Ki Taraf kar sakte hai market Mein management ke liye working kar sakte hain aur unke Saath kaam kar sakte hain
           
          • #6 Collapse

            Forex Main Success Ratio

            Ye baat kafi had tak drust hai aur mane bhe bahut saari jagha parha hai kay forex trading main 90% say zaida log loss karty hain aur unko nakaami ka samna karna parta hai. Agar aap apny janny walon ko daikh lain ya apny jo colleagues hain un ka andaaza laga lain k wo kitna aur kis had tak es buisness main kamyaab hain to aapko overall ka bhe idea ho jaay ga. Ess kaam main success aise nahe kay 1 din ya phir 1 month main aapne acha profit bnaaya to phir aap kamyaab ho gy. Success ye hai kay aap mustakil yahan say munafa kamaao aur aap lamby arsy tak es ma kamyaab raho to phir aapka ka shumaar kamyaab traders main kiya jaay ga.
            Aik jagha mane ye bhe read kiya hai Overall 50% say zaida trades profit main close hoti hain lekin phir bhe 90% log nakaam hain.

            Main Reason:
            Jesa kay mane ooper zikar kia kay 50% say zaida trades profit main close hoti hain lekin traders phir bhe kamyaab nahe ho paaty us ke main wajha Profit wali trades ko jaldi close karna aur loss wali ko chalty rehnay dena hai. Jab hamain kise bhe trade ma profit hota ha to us ka poora faida nahe uthaaty ham usko jaldi close kar dety hain. Magar jab hamko loss ho raha hota hai to usko ham chalny dety hain aur usko close nahe karty jiske wajha say loss barhta jaata hai. To agar ham es issue ko he solve kar lain to kafi zaida farq parh sakta hai.
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: faraz786 پيغام ديکھيے
              Dear forum friends main ap say pochna chhta hon kah forex business main successful trader ki kitni percentage hay qion kah main nay kafi dakha hay kah peoples kah rahay hoty hain kah 10% traders forex main successful hotay hian aor kuch kia kah rhay hoty hain is tarah mara mind aik faisala na kar pa raha hay agr dakha jay 10% success ratio hay phr yah bhut kam hay phr people qion forex business ko join kartay hain mare hisab say to yah percent jo kah 10% wali hay is ki koi sadaqat ya haqeeqat nhi hay ap apny knowledge say share kar dain kah haqeeqat kia hay aor kitny percent traders forex business main successful hotay hain?

              Bhai AP ny bhot hi acha question poucha ha Mary khayal ma forex ma success ratio bhot hi Kam ha is ma 10% logo ko hi profit hota ha kau ky wo log mhnat krty ha or zayada mhnat krty ha or 90% logo ko forex trading ma loss hota ha Kay ky akser logo ko forex ka knowledge nhi hota or akser log lalach krty ha jis ki waja sy loss hota ha or akser log planning nhi krty ha jis ki waja sy loss ky chances zayada ho jaty ha
              • #8 Collapse

                Jnb aap nain aik bht achi baat share ki hai PR main aap ko batata chalon k unfortunately trading main successful logon ki tadaad bht kam hai AUT bht kam log kamyab hotay hain air maximum nakam ho jatay hain lakin is main forex ya forum walon ki koi ghalti ni hoti log apni wajah say nakaam hotay hain q kmaximum log is ko tukkay baazi k tour PR letay hain air samjhta hain k tukka lag gaya to kamyab warnan loss lakin main batata chalon k yeah aik complete knowledge hai air aik education hai yeha koi tukka sport ya jua ni hai is ko seekhnain air kamyabi k liye zaroori hai k eefort ki jayen air in PR effort kar k isko smajha jaye tb trading ki jaye ...
                • #9 Collapse

                  dear forex business me successful ratio kam hay magar traders ki apni hi mistakes hoti hey jes ki waja se success ratio reduce ho gia hay, agar forex business me education hasil ki jaye to success ratio 99% ho sakti hay magar forex me jes tarha tezi se profit hota hay es ne traders ko greedy bana dia hay yahi waja hay key traders professionally trading nahi karty aur scalping trading karny ki koshish karty hey jes ko me bahot zeyda risky samjta hon, long term trading expernice key sath agar ki jaye to har trader hi kamyab ho sakta hay aur success ratio increase ho sakta hay.
                  • #10 Collapse

                    ​ dear Forex trading members Forex trading mai success ratio unknown hai Hamare Paas market ka data completely available nahi hota lekin ek lekin ek Andaz ke mutabik market Mein success ratio minor hai big traders investors successful hai Jab Ke chote traders 90% loss mein hai market mein Chota trader scalping or short term trading karta hai Jism a fake moves bahut zyada hoti hai ki wajah se hum log apna account bahut jald was karwa Lete Hain members Forex trading proper learning experience or practical demo work Ke Baad start Lena chahiye real trading mein mistake ki koi gunjaish Siri se nahi isliye yahan pe aapko step by step chalna hai with proper guidance proper knowledge proper planning or perfect market analysis bahut important hai
                    • #11 Collapse

                      Paragraph working Karenge Hum Log Yahan Par bahut kam log investment Karte Hain Jab investment Karte Hain To Inko apurbo Jada nuksan ho jata hai mere to 10% profit generate Karte Hain aur Aage Ki Tarah Leke Jaate Arijit ki wajah se aapki investment be safe mode mein rehti ho aap ka kaam bhi acche se main so jata hai ki aapne Yaad se kya karna hai
                       
                      • #12 Collapse

                        Forex trading is time peak per chal raha hai is per har banda work karna chahta hai lakin log kehtay hein kay is per work karna chahiye shahid wo jantay nahi hein kay success ka kia ratio chal raha hai. Overall dekha jaye to forex trading main har dusra banda loss main hota hai. agar dekha jaye to is kay bohat saray reason hein jaisay kay kuch logon kay pas knowledge he nai hota forex main work karne ka aor na he koi experience hota hai kay work kaisay karna ha forex per. yeh bohat big reason ho saktay hein loss kay.
                        • #13 Collapse

                          Re: Forex business main success ratio kitnay percent hay?

                          forex business main 100 fisad kamyabi ky chans hain agr koe banda mehnut or dil lagi sy is ko karny wala ho jo chiz bhi is dunyan main pae jati hy to woh sub kuch insan ky ikhteyar main allah pak ny dy di hy har kam ko karny ki allah pak ny taqat di hy insan jo kam karna chahy jes waqt karna chahy kar sakta hy yeh sub kuch karny ki taqat us ko allah pak ny di hy or forex aik teijarat hy or hukam hy keh teijarat karo is main allah pak ny 70 fisad rpzi rakhi hy or baqi 30 feisad mulazmut main rozi hy or allah ky peiyary mahboob ny bhi teijarat farmae hy or sahaba ny bhi karobar keiy hain or aj ky dwr main awlya bhi teijarat kar rahy hain aik chiz shariat main bhi jaez hy or insan us ko mehnut kysath kary bhi sahi forex ky tmam qwanin ko samny rakhty howe to mujhy umid hy keh is forex main 100 feisad kam yab ho ga shwq mehnut or lagn ki wjjah sy
                          • #14 Collapse

                            Re: Forex business main success ratio kitnay percent hay?

                            Asalam o alikum dear ap n bilkal tek kaha ha main ap sy agree karta hon forex trading main successful hony ki ratio both kam ha q k hum log forex trading ko seekty ni han or trading start kar laty han jab k humary pass knowledge or experience both kam hota ha or hum log risk ziada laty han isi chaker main humara loss ho jata ha both kam log Han jo pehly ache learning karty Han us k bad trading start karty han or uny loss k chance both kam hoty han or easily successful ho jaty han isi waja sy successful hony ki ratio both kam ha isi ley successful hony k ley knowledge or experience hasil kr k trading Karny
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Forex business main success ratio kitnay percent hay?

                              Ji bhai jan ap nay boht hi acha sawal kia hay kForex business main success ratio kitnay % hay? To bat yeh hay keh Forex business aik mukamal aor long business hay jo kuch thora bohat tough yehni mushkil hay is ko sekhnay aor jannay kay liay bohat time lagta hay jab keh aksar balkeh 90% log Forex ka knowledge jany baghar aor Forex learn kiay baghair trading karna shuru kar datay han jis say Forex business main bohat si mistakes kar jatsy hsn jis say loss ho jata hay is liay Forex business main kamyabi ka tanasab bohat kam hota hay maslan 10% log forex main kamyab hotay han aor 90% log Forex main nakam hotay han. Lehaza is tanasab ko mazeed barhaia ja sakta hay aor is kay liay foex ka poori tran knowledge hona boht zarori hay is kay baghair success mumkin nahen hay.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X