Cruid oil inventory kia cheez hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cruid oil inventory kia cheez hai?
    Weekly basis per Cruid oil sy related news Cruid oil inventory ki ati hai tou yeh inventory kia cheez hai aur market ko kesy effect kerti hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    crude oil inventories USA ki inventories hain jo oil production ma apna part ada krti hai oil inventory report weekly bases py report hoti hai aor isi base py crude oil ki prices control hoti hain agr crude oil inventories ki weekly production increase ho jay ya inventories increase ho jain to oil ki demand kam ho jati hai aor oil ki prices gir jati hain aor agr same time py oil inventories decrease ho jain aor in ki production bhi decrease ho jay to oil prices brh jati hain ya high ho jati hain aor oil ki demand bhi brh jati hai
    abi jesa ky thundr storm warning ki waja sy inventories kam hui hain to oil ki prices day by day increase hoti ja rahi hain
    • #3 Collapse

      Crude Oil Inventories

      Crude oil inventories oil market main demand aur supply ke sharah ko zahir karte hain. Demand aur supply ke wajha say oil ke kematon main izzafa ya kami wakia hoti hai. Ye aik bunyaadi asool ha muaashiyaat ka kay jiss cheez ke demaand barhti hai us cheez ke keemat main izzafa hota hai aur demand ma kami ke wajha say us cheez ke keematon ma bhe kami aa jati hai. Esi tarha jab kise cheez ke supply market main demand say zayda ho jay to us ke keemat kam jab kay supply demand sy kam hojay to uski keemat zaida hoti ha.

      Crude Oil Inventories News:
      United State main haftawaar Energy Information Administration department ke taraf say Crude Oil pe update de jaati hai kay crude oil ke demand kia rahi aur uski supply kia hai. Jab ye news aati hai to us kay baad oil ke keemton main kami ya izafa aksar dekhny ko milta hai. Inventories update sy pehly analyst andaza lagaty hain kay oil kitne demad aur supply ka fark ho sakta ha. Jab news aati ha to uskay baad actual figure agar us andaazy sy kam ya zaida ho to oil ke keemton ma bhe usi tarha izaafa ya kami hoti ha.

      News Ko Samjhna:
      Jab crude oil inventories ke news main Inventories zaida hoti hain to es ka matlab ha demand kam hui hai aur supply zaida hui ha To us time par traders apni postions ko sell karty hain. Aur jab Inventories kam ho jati hain to eska matlab hai demand zaida aur supply kam hui ha. Jiskay baad traders apni postions ko buy karty hain.
      Last edited by ; 25-09-2018, 04:03 AM.
      • #4 Collapse

        Crude Oil Inventories (stockpiled)
        Dear members of forex trading forum
        Crude oil Inventories ko stockpile bhi kehty hain aik unrefined shape of petroleum jis sy phr refinery sy bake petrol diseal matti ka teel aor baki oil ki types bnai jati hain investors inventories ki weekly report ko bht importance dety hain aor bht tawajo sy analysis
        krty hain oil ki demand ky hisab sy aor inventories ky barhny ya kam hony sy oil prices up down jati hain forex market ma crude oil ko black gold bhi kaha jata hai aor usa ki major market bhi hai oil ki. Crude oil prices inventories ky hisab sy aor OPEC NON OPEC countries ki oil production global oil producers ky itrhad ki waja sy bht matter krti aor control hoti hai
        • #5 Collapse

          Crude oil Inventory

          Crude oil stockpiles (zakhrera) jo key inventory key name se jana jata hay, crude oil ko numbers of barrel key sath measure kia jata hay, unrefined petroleum jo key barrel me hota hay koch crude oil government use kar leta hay, supply and demand levels hi crude oil ki international market me effect kar sakty hey, crude oil inventory levels par jo supply and demand key elawa effected hoti hey wo ye hey (OPEC production, political and economic events), crude oil traders ko inventory levels key sath supply and demand news par be nazar rakni chaye.
          • #6 Collapse

            forex trading main cruide oil aik pair hai jis main hum traing karty hain or cruid oil invester se murad yah hai k es ki market main up or down kis reason se hota hai tu oil ki market main boht bari changing ka jo bais bnta hai wo demand and supply hota hai kisi bhi molk main kisi chez ki demand barhti hai tu oski qemat bhi bhar jati hai or jub demand kam ho jati hai tu qeemat main bhi kami a jati hai es k ilwa hum crud oil ki news ko united states ki news se dekj skty hain jahan se hmain oil se related main boht se news mil jati hain or es ki price k bary main jitny bhi ups down hoty hain wo bhi show ho jaty hain es trah se hum en awamal ko use karty howe trading kar skty hain jesa k sub janty hain k oil ki trading risky hoti hai es liye hmain oil ki market ko cahi trah se analsye karty howe trading kare ta k hmain loss na ho
            • #7 Collapse

              Yahan Par 4 explain working karne ke liye aapko crude oil copy working kar sakte hain crude oil Ko Hum black gold the kehte hain jaise Jaise Ye move Karta Hai Iski movement ki speed bhi Itni Jyada Speed ke saath Tej Ho Jati Hai market Mein Woh Jaadu upside par nikal Jata Hai Kabhi bahut jyada downside paya jata Hai Is par kaam karna bahut isliye bhi hota hai aur bol Mushkil bhi ho jata hai
              • #8 Collapse

                Crude oil Ko Hum Sab Log Yaha par black gold ka naam Deti Hai Jiski movement aaj kal bahut jyada Speed ke saath ho rahi hai type ka oil Hota Hai Jo keh petrol Banane mein rehta help provide Karta Hai ispe log bahut kam aajkal investment kar rahe hai Kyuki uski direction change ho rahi hai yeh Bojhena Neeche ki taraf aa raha hai isme investment Karenge toh main apne account course table Rakhna Rakhna Bhoj time ke sath Mushkil Ho Jayega isliye Mai chahiye kis pe Thodi investment karna chahiye
                • #9 Collapse

                  Assalamu alaikum bhai oil name movement bahut jyada Hoti Hai is leya logo ko logo Samajh Kar trading karne chahiye Kyunki Hum Logo Forex trading Mein loss bi ho skta ha or Amar account wash bi ho skta ha isliye Hum logo ko currency trading Karni chahiye
                  • #10 Collapse

                    oil ma market bhot tazi sy move krti ha is leya him logo ko is ma trading nhi krni chaya bilky him logo ko currency ma trading krni chaya ager him logo ny acha profit bnana ha to phir him log kamyab trader ban skty ha or acha profit bna skty ha or achy trader bna skty ha
                    Removed by Moderator.
                    • #11 Collapse

                      Dear jab oil par kaam karty hai to ais k bary mai hum ko pata hona chaye k ais ki demand kitni hai aor ais ki supply kitni hai kun k oil jab bhi up ya down jata hai demand aor supply ki waja se jata hai ais mai ye ni hai k Usd ne move ki hai to aus k sath oil bhi move karta hai aor her week mai oil ki inventory aati hai jis mai ye bataya jata hai k oil ki demand aor supply kitni hai jaisy ap ko agar pata ho k ais ki jo ye news aati hai aus mai agar supply zayda ho to green close mai figure aata hai aor agar ais ki demand zayda ho to aus time ais ki jo news aati hai wo red color mai aati hai aus se ye hai k market up jati hai ais liay ais mai agar trade karni hai to hum ko weekly ais ki inventory check karni chaye.
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Crude oil inventories ya stockpile unrefined petroleum k barrels ki tadad ko kehtay hain. Oil inventories ko oil ki supply aur demand ko fulfill karnay k liye use kiya jata ha. Inventories ki tadad se oil ki price par effet parta ha, agar inventories ki tadad ziyada hogi to oil ki prices kam ho jain gi aur agar inventories ki tadad kam ho to oil ki prices ziyada ho jati hain. Inventories ki tadad Opec k decisions, government policies, economic conditions etc se kam ya ziyada hoti hain. Crude oil inventory ka data economical calendar par available hota ha aur ye weekly release hota ha.

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X