Cruid oil gold silver ya currency pairs kis main trade kerna zyada profitable hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cruid oil gold silver ya currency pairs kis main trade kerna zyada profitable hai?
    Spread sab main different hai aur movement bhi tou hamain in main sy kis per trading ko priority deni chahiay good cruid oil silver ya currency pairs?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Trading Crude oil par ho ya currency pair par ho uski malomaat hona bht zaroori hai. Lekin crude oil aur currencies ke trading main jo main farak hai wo trend ka hai. Currency kunkay country ke economic situations kay hawaly say bht zaida un par depend karti hai aur kise country ke economic position sy aapko long term main trend ka andaza ho sakta hai kay currency kis janib jaany wali hai. Economic indicators aapko currency kay future ka pata btaty hain. Aur us say prediction ke ja sakti hai jab kay crude oil main mainly oil ke demand aur supply par trading ke jaati hai. Oil ke trading main ye dekhna hota hai kay middle east ki sortehaal kiya chal rahi ha aur oil production karny walon kay mulkon ma kiya halaat chal rahy hain. Jesy kay aj kal iran par sanctions ke wajha say oil ke keetin up hain esi tarha say baki cheezon par dhiyan rakhna hota ha. Trading chahey currency par karin ya commodity par us kay baary ma saari malomaat zaroori hai.
    • #3 Collapse

      Dear Forex trading members according to me new members Ke Liye Main Yahan Pe discuss karunga new member ko currency pairs trading Karni chahiye Jaise Jaise aap senior Hote Jate Ho aapko instruments change karne chahiye demo account pay trading practical work karna chahiye demo account pe Silver Gold crude oil in instruments pe aapko trading karna chahiye market Mein gold crude oil silver major risky instrument se jo aapka account Ek ghante Mein wash kar sakti hai agar market fast wo dear members trading my management Chikni chahiye uske baad Forex trading start Karni chahiye crude oil silver or gold ki support and resistance aasani se samajh nahi aati gold yearly band main move karta hai isliye isko analyse karna difficult hai Shuru shuru main aapko currency pairs pe trading Karni chahiye
      • #4 Collapse

        some traders samjty hey key gold, silver ya currency pairs me zeyda profit ho sakta hay aur me be samjta hon key agar zeyda risk leya jaye aur ham market ko analysis karny me be expert hoty hey to all pairs me hamy bahot zeyda profit ho sakta hay magar jaha tak mera expernice hay sab se zeyda profit crude oil me ho sakta hay agar ham zeyda risk nahi be lety tab be crude oil ki big movement hamy bahot zeyda profit de sakti hay, crude oil ki trading bahot hi zeyda profitable hony key sath sath safe trading pair be hay.
        • #5 Collapse

          forex trading main yah 3 pair ayse hain jin main aghr hmara expiernce acha ho tu hum boht achi trading kar skty hain or en tinu pairs main boht profitable tading ki ja skti hain en main trading kafi risky hoti hai maghr es main aghr achi trah se naalsye kar k trading karen tu hum boht achi trah se trading kar skty hain or acha profit earn kar skty hain es liye hmain aghr en pairs main trading karni ho tu es k liye mahnt karni boht zarori hai or en pairs main trading k liye apko achi tarhs e analsye karty howe order lagan cahhye ta k apko loss nan ho or ap acha profot earn kar skaen es ilwa jub hum market ko achi trah se follow karen tu hum har pairs main tading kar k acha profit eran akr skty hain
          • #6 Collapse

            Slaam to all forum members....dosto phli baat to ya bonus account ha is main app ka pass atna capital nahi hota ur na he hum atni der sbr kr skta hain ka app 300 $ tak bonus aktha kro phir us sa gold ya oil ke trading lagio agr app gold par 0.01 ke bhe trade lgata ho to app ko har pip par 30 cent ka loss ya profit hota ha isi waja sa app ka pass acha capital hona zarori ha is ke nisbit oil ka spread kam hota ha is lyi meri first recommendation yahi ha ka app bonus account pr gold ya oil trade mat krin agr krni ha to kam sa kam 300 $ tak ka capital aktha kr ka trad lgin nahi to normal stander account ilg sa bnyia us main 500 $ sa 1000 $ tak investment kijyia phir normal leverages ka sath oil pr zyida bhtr ha trading gold ke nisbat baqi har kisi ke apni strategy ha jiss par app ko lgta ha app bhtr trading kr skta hain app usi main krin phir wo chaha gold ho ya kush bhe ho...
            • #7 Collapse

              Bhai him logo ko oil or silver ma trad nhi lgani Chaya kau is ma hmra account wash ho skta him logo ko currency ma trading krni Chaya phir him logo ko bahut fayda hota hai or hmra account wash nahi hota Aur Hum Log kamyabi Hasil kar sakte hain
              • #8 Collapse

                Currency metals aur baqi commodities mai sab mai he acha profit hasil kiya ja sakta hai . Traders kay pas jis market ka acha knowledge hoga woh iss market mai acha perform b Karin gaay aur in ko profit earning b ziada ho ge.

                Profitable trading kay liye sirf yahi daikhna kafi nai hota ke kon c market ziada move karty hai. balkay iss kay sath sath traders ko yeh b consider karna hota hai ke daily movement kay sath sath kon c market mai risk ka factor kam hai . inn dono factor ka jaiza lay kar he yeh decide kiya ja sakta hai ke trading ke liye profitable market kon c ho ge aur kon sa trading pair trading kay liye best rahy ga.
                • #9 Collapse

                  Ap ka sawal hai k oil gold ya kisi bhi matel ya kis currency per trade ki jai. Jahan tak sawal currency ka to jis mulk ki currency per trade lagani hai. Ap ko us k halat ka pata hona chaye. K wahan k halat kasy hain. Wahan ki crunccy kis taraf ja sakti hai. Phir us hisaab se trade lagani hoti hai.
                  Aur ois aur matal per jo trading hai wo thori currency se mukhtalif hai. Oil aur matal mein currency ki nesbat move kam hoti hai. Lakin ye itni jaldi wapis bhi nai ati. Ager ap k pas experience hai aur ap confidance hain to oil per trading best hai.
                  • #10 Collapse

                    Crude oil, Gold, Silver ye commodities hain aur pairs usually currency k hotay hain. Currencies aur pairs ki trading mein thora farq ha. Commodities ka spread ziyada hota ha aur ye daily bohot move kartay hain, matlab commodities ki volatility high hoti ha. In par lot size big require hoti ha, jis ka matlab big account ki zarurat ha aur in ki trading se short time mein big profit ho sakta ha. Currency pairs ka spread kam hota ha magar currency pairs ki movement zara kam hoti ha, ye aik din mein few 100 pips hi move kartay hain. In par lot size small bhi kafi hoti ha aur in k liye trading margin bhi kam require hota ha. Currency pairs commodities k muqablay mein kam profitable hoti hain.
                    • #11 Collapse

                      bhai mary khayal ma ma silver or gold ma trading krna bhot hi riski kam ha kau ky gold or silver or metal ma trading bhot krny sy him logo ko loss ho skta ha is leya him logo ko is ma trading nhi krni chay or hmra account bi wash ho skta ha
                      Removed by Moderator.
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Re: Cruid oil gold silver ya currency pairs kis main trade kerna zyada profitable hai

                        Forex trading mai her trader apnay account ki capacity aur apnay experience kay mutabiq he trading kerta Hai. Agar Ziada profitable trading ki baat ki jaey tou gold aur crude oil sub say ziada profitable hain laikin inn mai trading kernay kay liye kuch cheezoo ka khayaal rakhna bhi bohat zaruri hai. Gold aur crude oil. Mai trading iss liye ziada profitable hai kay inn ki movement ziada hoti hain. Inn dono kay spreads ziada hain aur in ki prices bhi ziada hai. Laikin iss baat ka khayaal zarur rakhna chaiye kay gold ya crude oil pay trading kay liye account balance bohat acha hona chaiye kiyu kay gold ho ya crude oil in ki movement kaafi tez aur kaafi ziada honay ki wajah say Agar koi trade loss mai chali jaey tou woh aik he trade minimum lot size kay saath bhi account ko wash kerwa daiti hai.

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X