Gold trading mein risk ziyada kiyon
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gold trading mein risk ziyada kiyon
    Members mera swal hy k gold trading mein havy risk kiyon hy aur dusri bat k gold mein pips ki miqdar bhi ziyada kiyon hy hum new trader agar gold mein trad karein to humein loss kiyon hota hy isi traha sy profit to ho sagta hy na
    Removed by moderator.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Gold ke market ziada risk ha iss baat mai shak wali baat bilkul b nai hai
    Gold ke market mai traders ko baqi markets ke nisbats ziada risk ka samna karna parhta hai . iss ke main reason tu yeh hai Gold ke market mai price movement bohot he tiaze ke sath hoti hai aur yeh prices bohot he unpredictable tareeqay say move karti hain

    Iss liye traders kay liye Gold ke market mai price ko predict karna bohot he mushkil ho jata hai . iss kay elawa Gold ke market khabi khabi aik din mai bohot he ziada taize kay sath kafi ziada points move kar jate ha jis say b traders ky liye Gold ke market mai trading karna mushkil ho jata hai, aur iss mai stop loss aur take profit ka decision b muskil ho jata hai.
    • #3 Collapse

      Gold mein trading:
      Gold main trading agar aap karna chahte hain to us kay liey aapko kuch cheezin mind main rakhna hon ge. Alsar new aany waly gold par loss he karty hain aur gold par loss honey ke asaal wajha ye hoti hain kay gold par trading karne k liey jo zaroori malomaat hoti hai wo aapko pata nahi hoti. Lehaza apko thori see cheezin zehan nasheen karna honge jin say apko gold ma trading ke samjh aay ge.
      Gold main pips count: Aksar logon ko gold main pips counting ka pata nahi hota aur wo gold ke value dollars main dekhty hain aur wo 1 dollar value change hony ko shyed aik pip samjhty hain. Magar gold main value 1 dollar change hoti ha to eska matlab hai 100 pips movement hui hai. Aur rozana ke bases par gold main takreeban 1000 pips average movement hoti hai. Esi tarha agar us chez ka pata na hony say aap bari lot lagaty hain to in seconds ya minutes aapka account wash ho sakta hai aur aapko loss ho sakta hai.
      Dollar aur gold ka tauluq: Dollar ke value jo show ho rahi hoti hai wo per ounce ke hoti hai aur aik ounce ke keemat kitney dollar ha ye apko market bata rahi hoti hai. Aur jab dollar ma apko gold ke value show hoti hai to eska matlab ha dollar up ya down jaay ga to gold par bhe asar pary ga. Aur enka asar ulta hota ha. Jab dollar up jaay to gold down jata ha aur jab dollar down jaay to gold up jata hai.
      • #4 Collapse

        Gold ki market ki movement me hi etni fast hoti hay key agar ham kam risk be len gey to be ya hamary ley bahot risky ho sakta hay, es ki waja gold aur USD ka relation hay USD currency ka up down gold par effect karta hay jes ki waja se gold ki market me be teezi ajati hay, agar trader ka account balance zeyda ho per to traders ko gold ki market me risk le lena chaye aur agar small equity ho to gold me trading ki ghalti kabi be nahi karni chaye, kam lot size laga kar be ham gold me risk factor ko kam nahi kar sakty hey es ki waja gold market ki fast movement hay.
        • #5 Collapse

          Dear ais market mai ap koi bhi pair le ley aus mai ap ko risk to lena parta hai aor jaha tak baat hai gold ki to ye commodities mai aata hai aor ain mai ap ko profit aor loss zayda hota hai magar ain mai ye faida hai k market atna zayda move ni karti jis se ap ko bahot zayda loss ho.

          Gold par trade
          dear agar ap ye chaty hai k ap gold par trade kary to ais k liay jab bhi gold aik range mai move start karta hai to aus k baad ap ne ais mai enter hona hai aor aus range mai se paisa kamana hai aus mai ye hai k ap ko kafi zayda profit ho jata hai aor aus mai sab se achi baat ye hai k ap ka aus mai sl bahot kam hota hai aor aus mai tp kafi zayda hota hai ais liay jab bhi gold range mai ho aus par trade karni chaye.
          • #6 Collapse

            Gold care trend easily find nahi hota Godbole remove Karta Hai Uska friend ka pata karna bahut Mushkil Ho Jata Hai Kiska trend Hum Kaise nikale market correction Amit kaise mil sakti hai isliye Hame chahiye kya Hum Kisi technical analysis Koi use kare aur uske hisab Kitab bhi kam Kare Tumse kabhi bhi nuksaan nahi hoga aur Army answer is live profit generate kar sakte hain
            • #7 Collapse

              Gold trading mein mery experience se risk isss ly hai k iss ko samjhna itna easy nahi hota aur gold mein dosri baat ye hai k movemnt bi kafi fast hi hoti haui. Jis ki wajha sy us ko handle karna itna easy nahi hota hai. Jo start mein forex market ko joiin kar rahe hoty haein unhain purany trader yehi mashware dety hein k gold par bhool ker bi trading na karna qk iss mein loss k chances utney hote hein k aap ko loss bardasht hi nai hon sagta hai. aur pir start mein capital b itna thora hota hai k us mein se jbb loss hona start ho jay to us mein margin baki nai rehta aur account stuck ho kaer reh jata hai.
              • #8 Collapse

                Assalamualaikum their market gold Mein Bataye Jaise Main Karti hai isliye Hum logon ko bahut Dhyaan se gold pet rating karna hoti hai agar Hum Log Gold Palace chlate Hai To Hum Logon Ko Main Bhi Jyada Karni hoti hai aur hum logo ko profit Bhi Jyada Milta Hai
                • #9 Collapse

                  Gold PR trading intihayi risky hai main aapko BT say bilkul agree karta hun isko do main wajuhat hain aik to market main isko movements bohut tezz hain is liye jub bhi gold PR trading kar nain lagain to achi tarah analysis kar main air pips count zadoor kar main air sahi jagha PR entry maaraik air jub aapka account sahi entry point say koi bhi trade layga to yeah grow hi hoga loss k chances bht kam hain Ayr doosra iska direct relation USD k sath hai agar USD strong hota to yeah abhi strong hoga agar USD week hoga to yeah abhi week hoga lehaza koshish karain agar aap gold PR trading karni hai to gold k sath sath USD ki movement ko bhi daikhain..
                  • #10 Collapse

                    ji bilkul theek kaha apne gold ki trading bht tough haii gold ki learning kiye baghair hum kabhi bhi kamiyab nahi ho sakte iss liye hamain chahiye kyy hum kisi forex ky referal se information leni chaiye orr gold ki market ki movements ka ache se pata chal jata hai orr gold ki trading ki movement bhi bht ziada hoti hai issi liye hamain chaiye ky humm forex mai SKILLS OR EXPEREINCE KO SATH LY KAR CHALEN..
                    • #11 Collapse

                      bhai gold ma market ki movement bhot zayda hoti ha gold kabi bhot hi zayada up chla jata ha or kbi bhot hi zayada nechy is ma trading krna bhot hi risky kam ha is leya him logo ko gold ma trading ni krni chaya
                      Removed by Moderator.
                      • #12 Collapse

                        forex trading main gold ki trading risky mani jati hai or aysa q kiya jata hai q k gold ki market boht fast hoti hai or hum kisi aik point ko follow karty hain or trading kar lety hain jub k market ki achanak moving se apko loss ho jata hai es liye market taizi main hoti hai tab he trading se loss hota hai or rahi bat gold ki trading main loss q hota hai tu loss hony ki boht se wajohat ho ksti hain es liye main sirf itna he akhunga k jis pair main trading karna thora nazuk marhala hota hai osko achi trah se expiernce hasil karny k bad os main trading karen ta k ap os pair main acha profit eran kar saken mera khyal hai k jitna loss hota hai gold ki trading main proft os se bhi kahen zeyda milta hai jub hum soch smjh kar or achi trah se analys kar k trading karen tu
                        • #13 Collapse

                          Yeh toh perfect baat hai jo Log Yaha par gold Mein commodity Mein kaam karte hain unko nuksaan bahut jyada ho jata hai kam karne ki speed Hum logo ki bahut kam hoti hai market direction ke sabse kam investment bhi Karle to market kabhi kisi bhi time par apni interaction change kar Deti Hai Jiski wajah se Malish investment market Mein kharab ho jati hai nuksaan hone ke bahut ho Jate Hain isliye Hame chahiye kya main kaam Soch kar Samajh Kar technical analysis se karna chahiye
                          • #14 Collapse

                            Re: Gold trading mein risk ziyada kiyon

                            Dear gold per cl per trading bahut mushkil hai. Aik to gold mein spread bahut ziyada hai. Dosra ye ky is ki movement ka koi pata nahi chalta. Kabhi kabhar to ye bahut ziyada teezi se move kerti hai. Aur kabhi kabhar kai kai dinoon tak aik jsga per swing mein rehti hai.
                            Wasy maximum is ki move ka inhesar dollar ky up and down movement per hota hai. Ager dollar up jaye to ye nechy move kerty hai. Aur ager dollar down aye to ye up move kerti hai.
                            Kafi achy experience trader gold per trading kerty hain. Un ka experience ziyada hota hai is liye wo is se kafi acha profit bhi hasil ker laty hain.
                            Choty taders ky liye to yahi mashwara hai ky gold per risk na lein. Han aik baat hai ky is per short time ky liye scalping ki ja sakti hai. Is ap thora bahut profit hasil ker sakty hain.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Gold trading mein risk ziyada kiyon

                              Gold ek metal hay aur puri dunya main sab sy ziada sale hony wale metal hay. Is metal say ornaments banaye jaty hain jo ke ladies ke favourite ornaments hoty hain.Gold ek aisa trading instrument hay jis py heavy trading hoti hay aur is ke trading ka volume doosry instruments ke nisbat ziada hota hay. chon kay is metals py puri dunya ke tmam senior aur professional traders trading karty hain is liye gold ke movement forex market main doosry trading istruments ke nisbat taiz hoti hay is liye ye boht ziada risk hota hay. magar gold kay risky hona ka ek boht bara fayda ye bhi hota hay ky yeh jitna ziada risky hy utna he ziada profit deta hay. meri tamam new traders ko ye appeal hay ky wo gold py kbhi bhi trading na karen warna apna qeemti sarmaya kho betho gy. currency pairs he naye traders kay liye theek hain.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X