China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?
    ajkal big trwnd chla hua hai market jub bhi fast hoti hai ajata hai China USA trade war tension ki waja sy market sensitive hai...
    yeh waisy china USA trade war actually hai kya aor iska humen kesy pta chlta hai ky ab market ma tension bn skti hai
    ta ky hum bhi planning kr ky is tension ya war sy faida utha sken
    aj IMF ka bhi beyaan aya tha ky trump ka policy ki waja sy yeh tension bn rahi hai jo pori dunia ky leay problems create kr rahi hai maeshat ma kami ka samna hai sub ko...
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Duniya par is waqt 2 powers ka control ha. Economic power China ha jab kay super power America ha. Last few months mein jab America na announce kiya kay wo China se import ki gai har cheez par tariff ya duty ziyada kar rahay hain, to China na bhi American imports par tariff ziyada kar diya. Is se products ki qeematain bohot barh gai aur jesa kay duniya mein sab se ziyada products China se ati hain, aur China USA ko sab se ziyada cheezain import karta ha, to is inflation ki waja se dono mulkon ki economy ko nuqsan hua.
    Forex mein dekha jaye to USA aur China dono ki currencies bohot value rakhti hain. Economies kay weak honay se in ki currencies bhi weak hui aur respected pairs kay sath in ki prices mein bohot kami ai.
    • #3 Collapse

      Yes dear jaisy ap ne baat ki hai k market sensetive hai ais mai ye hai k jab bhi market mai koi aisa issue chal raha hota hai to aus mai ye hai k hum ko thora khyal rakhna chaye kun k aus time market ki moment kisi bhi taraf ho sakti hai aor aus time ye ni pata hota k market ne kis time kitna move kar jana hai agar ap ye dekhty hai k market mai aisa koi bara issue chal raha hai to hum ko aus k hisab se market mai kaam karna chaye aor jaisy hi koi aus se releted news aaye to hum ko foran market se nikal jana chaye kun k aus mai market kafi zayda move kar jati hai jaisy abi kuch dino se brexit ka issue chal raha hai aor aus ki waja se kafi zayda masla aata hai k market foran move kar jati hai.
      • #4 Collapse

        Yes brother aj pher trump ka bean aeya hy k shut down jare rahy ga twit hy to us say humean loss ya profit ho sagta hy humean forex maen apni trade maen kise barey loss say bachnay k leay stop loss ka use kerna chahy kooin k Geo political tension ki wja say jo k China our USA k dermain trade war ki wja say barh rahe hay kabhe market pay bad effect dal sagte hy jo k ap nay last week maen market k kafe pairs maen uncetain move deikhe jes maen kisi pair main 500 pips our kisi maen 700 pips plus ki move sorf 15 mint say bhe kum time maen hoe to easi soraat maen jinhoun nay stop loss use nahe keay hoon gay our jin k account maen bare bare lots ki trade theen to wo wash ho gaey hooon gay market to wapis apany point pay aa gae the
        To dosto maen isi leay her thread our post maen yahe advice kerta hoon k stop loss our take profit must use apni her trade maen karesn
        • #5 Collapse

          bhai forex trading main jub hum trading karty hain tu hmain har molk k halat ko bhi madhe nazar rakhna hota hai trading main market main jub bhi effect prahta hai kisi bhi molk ki bari sort e hal ki wjahs e bhi ho jta hai or aghr hum war ki bat karen tu kisi bhi molk main koi chaning yah koi leader ki speach wagera hoti hai tu forex main bhi kafi asar anadaz hota hai es liye hmain apni trading main fundamental analysis k sath trading karen q k es main hmain kisib bhi molk ki syisi moashi or iqtasadi halat ko madhe nazar rkhty howe trading karen q k yah sub he points se trading main bhi boht asar parhta hai or trend change ho jaty hain es liye trading main banks bhi kafi effct karty hain
          • #6 Collapse

            Hum Log demo account Pe Jitne Jyada practice Karenge Itna Hai Zyada Hum Logo Ko fayda Hoga Aur Hum Log Itna Hai Zyada profit hassil kar sakte hain aur hum Logo Ko Itna Hai Zyada Hamare experience Mein izafa Hoga isliye Hum logo ko chahiye Ke Hum Log Jyada Se Jyada demo account pay practice kare
            • #7 Collapse

              ​ Assalamualaikum Apne bahut accha Sawaal kiya hai aur Main aapko aapne bahut accha Sawal kiya hai aur Main aapko Yeh Kehna Chahta Hoon ke mujhe lagta hai ke market K China kasrat padhte hai
              Removed by Moderator.
              • #8 Collapse

                Forex market per usa aur china kay war kay affect kafi zyada ho rahay hain. hamen is bat say idea ho jana chahaye kay pori world ki economy main ajkal china ka bara hath hay. aur china ki roz broz barhti hoe economy ki waja say wo boht mazboot mulk banta ja raha hay. ab bhi jab china ki koe new data ya news ati hain to boht say log ki nazar china kay news data kay oper hoti hay. china nay apni product ko pori duna main un kay standard ka mutabiq bana dia hay ager koe susti cheez lena chahta hay to hay aur ager koe mehngi aur achi cheez lena chahta hay to wo bhi us kay liye mayyasar hoti hay. mughy to aisa lagta hay kay kuch saloon bad usa bhi china kay mehrbani per ho ga aur forex ka maximum daromadar china per ho jaye ga.
                • #9 Collapse

                  Re: China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?

                  Ye baat aap ki bilkul theek hai tere ko chahiye kya ek time Mein Ek Hi trade Karen aur Jyada trade se ek time Ne open na Karen Kyunki Agar Aate time mein jyada 456 Karenge to loss ke chances bahut jyada increase ho jayenge Kis Liye Ek time Mein Ek Hi trade open Karen
                  • #10 Collapse

                    Re: China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?

                    Dear members ye aik bohat acha topic hai or bohat useful thread hai. Aksar members USA or China ki trade war kay barey mai suntay or parhtay rehtay hain magar unhain ziada knowledge or information nahi hai kay ye hai kia.

                    Usa or China trade war asal mai Usa kay president ki taraf say china ki Imports jo usa mai ati hain un pay tax laganay say shuru hui thi. Usa mai government mai president he sub kuch hota hai kiyu kay waha saadaarti nizaam hai. President he policy banata or uss pay amal kerwata hai. Usa pay president ki thinking ye thi kay china ka bohat ziada samaan usa mai araha hai jiss ki wajah say america ki industry band hoti jaa rahi hai or bey rozgaari barh rahi hai, Isay control kernay kay liye president nay tax lagaey thay takay prices barh jaengi to china ki imports kamm hongi or usa mai usa made cheezoo ki market achi ho jaey gi. Magar china nay jawaab mai usa ki china mai imports pay tax laga dia. Jo ab taqrebun aik saal say bohat ziada barh chuka hai. China ko ziada nuqsaan nahi hain kiyu kay china ka samaan poori duniya mai bohat ziada import ho raha hai magar america ko nuqsaan ho raha hai kiyu kay usa industry pehlay he zawaal ka shikaar thi ab tax ki wajah say or ziada masaail ka shikaar ho chuki hai.

                    Usa aur china ki isi tax ki larai ka asar international business mai nazar ata hai. Usd ki prices, gold ki prices, sliver or crude oil sub ki qeemat us dollar say juri hui hai. Ab usd weak hoga to inn sub pay yaqeenun asar parey ga. Hum sub traders ko ye planning kerni chaiye kay hum trade kertay huay international news or khaas tore pay china or usa ki koi bhi aisi news achi tarah daikha or parha karain takay kisi nuqsaan say bach sakain or profit mai hissa lay sakain
                    • #11 Collapse

                      Re: China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?

                      Dear friend ap ny bilkal sahe kaha ha USA or china donu k darmiyan jo aaj kal tensn chal rehe h is ki waja sy market kisi bi waqat movement change kar sakti ha or humy ziada loss ho sakta ha jab tak China or USA k darmiyan mamlat sahe ni hoty han humy proper money management or risk management sy trading karni hon ge or proper stop loss istamal karna ho ga ta k humy koi bara losa na ho or hum acha profit hasil kar sakeny forex trading main main market in ki waja sy both sensitive ha jab koi bayan data ha to market fast movement karti ha jis sy humy loss ho sakta ha is ley forex trading main loss ho sakta ha is ley hum management sy trading karni chae ha
                      • #12 Collapse

                        Re: China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?

                        US Vs China trade war ho to es ka bahot zeyda asaar Forex market par ho sakta hay ye effect positive be ho sakta hay aur negative be ho sakta hay, recently US aur China trade war ki waja se market par es ka effect be bahot zeyda howa hay magar hamari koshish ye honi chaye key ham es trade war ko apny ley trading me profit ka reason bana len aur ye esi condition me mumken ho sakta hay jab ham market news updates hasil karny ki koshish karen gey, trade war ki waja se koch be ho sakta hay US ki economy par es ka positive asaar be ho sakta hay aur ye be possible ho sakta hay key China koch esy decision le ley jes ki waja se US ki economy par negative effect ho es condition me Forex market par be es ka negative effect ho sakta hay.
                        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                        • #13 Collapse

                          Re: China USA trade war ky forex trading market py kya asraat muratab hoty hain?

                          ji Bhai aapane bahut achcha sawal Kiya forex trading mein jab Ham trading karte Hain to ham har mulk ke halat ko bhi madine ke kam karte hain trading main market mein jab bhi effect padta hai to kisi Malik ke halat ki vajah se padta hai uske kam ki vajah se padta hai to Ham kisi bhi Mila ki baat karenge China USA ki baat karen to iske leader ki speed Ho Gaya hoti hai to forex mein kafi nazarinkabhi China ke halat batra jaate Hain aur uski currency upar jati hai kabhi USA upar a jata hai to hamen donon to market to analyse Kar ke chalna chahie jitna Ham daily basis per iski market ko analyse karenge utna hamen pata chal jaega ki hamen China currency per lagani hai ya FIR USA per kis per hamen jyada profit hoga ek successful trader hamesha market analyse Kar ke chalta hai

                          اب آن لائن

                          Working...
                          X