Resistance, Support aur pivot point.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Resistance, Support aur pivot point.
    Dosto, yeh teen chezay bohat importance rakhti hain, agar hum ghor say is cheez ka jaiza lain to pata chalta hay keh technical analysis may market inhi teen chezo par move karti hay, lakin jab fundamental news ati hay to phir market ka behavior hi kuch aur hota hay.

    Yaha par may yeh samjhana chahta ho keh resistance, support aur pivot point kia hota hay. Agar hum baghor jaiza lain market ka to market may aik aisa point hota hay jis k as pass market move karti hay, wo center point pivot point kehlata hay, yeh pivot point H1 time frame ya phir H4 time frame ki base par bhi nikal sakta hay, aur sath may high time frames par bhi nikal sakta hay. Lakin ziada tar log pivot points par tawajja nahi daytay.

    Resistance point kia hota hay? Jab ksi bhi pair ki movement oper ki janib hoti hay to aik level aisa hota hay jaha tak k market ja kar wapis ati hay ya phir wha par market pohanch kar oper chali jati hay, to us level ko resistance level kehtay hain, resistance level pivot point ki madad say nikalta hay, aur resistance k commonly teen levels hotay hain, jo market ki volatility ko nazar may rakh kar nikalay jatay hain.

    Support point kia hota hay? Jab ksi bhi pair ki movement neechay ki janib hoti hay to wha par bhi resistance ki tara say levels hotay hain, hum un ko limit bhi keh saktay hain, yeh bhi teen hotay hain, is tara say aik pivot point, teen support level aur teen resistance level hotay hain, jin ko hum R1, R2 aur R3 resistance k lye kehtay hain, aur S1, S2 and S3 support k lye kehtay hain.

    Yaad rahay, pivot point har roz raat ko 2 bajay pakistani time par change hota hay, to koi agar pivot point ki base par trade karta ho to wo daily pivot point ko check karay.
    Learn how to trade then trade in real market
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    forex trading is very important business for all people who want to trade in forex they all has to learn knowledge about forex business there are some things for detecting forex trend for making profit that's called support level resistance level and pivot level
    • #3 Collapse

      har insan jo big business krta hai usy chahey k wo rat 2 bjy jb time chang hota hai pivot chak kry aur apny mind ko update rakhy js se wo lose se bachh sakta hai
      • #4 Collapse

        mere khyaal mai loss se bachne ky liyea har insan ko apni ghalti par nazar dalni chahiyea q ky jub jub aap se ghalti hoti hai to ap ko loss ho jata hai jiss ki waja se aap kaa kaam ruk jata hai our aap is mai agy nahi ja sakty hai isi liyea mai yahi kahonga ky apni ghalti ko teek karna behtar hoga jiss se aap ko loss b nahi hotha hai
        • #5 Collapse

          bilkul sahi info di ha dear insan ghaltian lazmi krta ha or zaruri nahi k achy sy achy trader ki bhi traders profit mn he jain wo lose mn bhi jati hn ye to her business ka hisa ha dear
          • #6 Collapse

            Forex main technical analysis ka boohat importance hai.agar hum technical analysis ko follow karty hain to hum achi earning lay sakty hain.main mostly technical analysis kay hisaab say he pending orders lagata hun or is tarah main is main kaam kar kay earn bhi kar rha hun.
            • #7 Collapse

              technical analysis boohat he important hai.agar hum is main support or resistance level ko samaj kar kaam karty hain to hum zyaada money earn kar sakty hain or is business main apna career bana sakty hain.
              • #8 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: Sajid Saleem پيغام ديکھيے
                har insan jo big business krta hai usy chahey k wo rat 2 bjy jb time chang hota hai pivot chak kry aur apny mind ko update rakhy js se wo lose se bachh sakta hai
                Brother, yeh thread bohat achi hay, ap ka point bhi bohat acha hay, lakin ap nay likha har insaan, bhai har insaan thori yeh business karta hay, aur agar har trader ki baat kartay ho to may bhi aik trader ho, lakin pivot point may check nahi karta, so ap correction kar lo. Har trader support / resistance nahi dekhta.
                 
                • #9 Collapse

                  jahan tak main ny study kya hey support and resistance points bohat he important hoty hen or in k begair aap market main analyze nhi kr skty q k market takreeban support or resistance levels par he chalti hey..
                  • #10 Collapse

                    agar aap new hain forex trading mein too phir app koo support and resistance koo jana bohat zaroori hai support level per see aksar market upper kee taraf jati hia yani bullish kaa trend hota hai aur agar market resistance level per hai too phir woo bearish kaa trend bana sakti hai aur pivot market ka center hota hai
                    • #11 Collapse

                      boht zaberdast post hy aap ki is sy har aik ko boht help mily gi trading seekhny or trading krny main or profit hasil krny main. main ya smjhta hun k jisy seekhny ka shooq hy vo is mian kamyaab hy
                      • #12 Collapse

                        jo log bary investment kar ky trading kar rhy ha ka wo mind ko aik dam sharp rhy our mind ko set raky takh loss na ho saky agar ho bh jy to thora ho
                        • #13 Collapse

                          my friend thank you for sharing the great information i think that is the great threat and if the new member will learn from this threat then they will surely get the benefit and they should learn from this threat ,these points are very important and we should keep in in the mind
                          • #14 Collapse

                            thnx For sharing A Very helpfull information mujhe buhat behtar Tarah Say Resistance,Support level Samajh Aa gya Pivot point bhi Samajh Aa Gya magar aap batayen k pivot point Kaisay Check kiya jata hai...i Mean hamaray Trading Terminal main is Ko Check Karnay Ka option kahan hai ?
                            Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Awesome friend. Thanks for the nice information. I am so pleased. I hope your topic will be very helpful for all of us.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X