Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?
    Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

    Afwah, qayas, taasub, tawaqqoaat - yah aise auzar hain jo logon ke dimagh ko control karne me madad karte hain. Is trah, ek ilham hai keh Friday aur Monday ke roz trading khatarnak hai kyonkeh bazar aam taur par intehayi mustahkam hota hai. Mazid kya hai, ek aqida hai keh keh traders ko ek hi hikmat amli par rahna chahiye aur kabi bhi ise tark nahin karna chahiye. Eqtesadi data ka tajziya, jis me bahut sare ajza zyada tar trading hikmat amli ke liye buniyad hai, sath hi khayal yah hai keh qimat hamesha rebound hoti hai- yah sab superstitions hai. Bunyadi indicators aur khas taur par aham market participants ke be buniyad tabsare afwahon aur wzahaten paida karti hain. Yah tmam awamil waham paida karte hain.

    Main yah nahin kah rha hun keh tmam tools bekar hain, lekin jab hikmat amli false signal fraham karti hain to wo naqabil aitemad ho jati hai. Jab main ne trading shuru kiya tha, tab market ki nafsiyat zyada mashhoor tha. Is masle par kafi meqdar me taalimi mawad maujood the. Aaj kal, market nafsiyat itna wasie nahin hai, aur iske kuch fragments bhi dekhe ja sakte hain. Currency market ke sabse zyada flamboyant hone se market apni zindagi jeeta hai. Yah bahut se eqtesadi ishare par munhasar hai. Sath hi, yah trading volume par bhi munhasar karta hai, jo iske badle me trading ki sarharmiyon par munhasar karta hai. Is trah, nafsiyati pahlu aham kirdar ada karta hai.
    Dilchasp bat yah hai keh nafsiyati nuqta nazar me tez faisle shamil nahin hote hain. Iske bar aks, isko qaribi aur mukammal nigrani aur well-thought conclusion ki zarurat hoti hai. Mazboot rujhan ke haalaat ke tehat superstitions mukammal taur par kam karta hai, aur kisi bhi rukawat ka imkan nahin hota hai kyonkeh kuch markazi bankon ke bade sarmayakari bhi kho sakte hain, jisse rujhan par ek chota asar parta hai. Halankeh, yah afwahon aur byanat ke liye sahi waqt ho sakta hai.

    Mujhe ek misal fraham akrne den. EUR/USD ka chart hai. Jori 3-sal ke high ke qarib karobar kar rahi hai jo downside ke rujhan ke reversal ke liye zyada mazboot factor hain. Sath hi, yah satah pichle 9 sal ke nichle satah ke sath milti hai. Is ilaqe me koi driver nahin hai jo rujhan ki simt ko motasir kar saken.



    Takniki tajziyah is soorat haal ko mazid gair wazeh bnata hai. Mubdarja zail chart pe do motazad pattern hain: Butterfly jo ek reversal pattern hai, aur pennant jo ek mazboot pattern hai, jo rujJhan ke tasulsul ka ishara hai.



    Iske alawa, Americi sadar ke tabsere jaise digar tashkili awamil hain jo greenback ko mazboot bnana chahte hain. Iske alwa, European Union ke ahalkaron ne kamzor euro se export ke faidon ke bare me bat ki. In awamil ne afwahon or byanat ko farogh diya. Aur yah sideways trading ki haalaat ke tehat hota hai. Lehaza, soorat haal mundarja zail hai: zyada sarmayakar market ke niche ka intezar karte hain jo bahut se maalumaat aur overbought haalaton se sabit hota hai.

    Kamyab tarkib ke liye shart yah hai keh sabse bada trading volumes gair-munasib position me paya jata hai. Us soorat me ek crash ki wajah se whan badi sarmayakari ki zarurat nahin hogi. Market ka volume par dawab dalana shuru krne ke bad, hamen sirf is dawab ko barqarar rakhne ki zarurat hai. Kuch traders ko lagta hai keh conspiracy theory ya kuch bade players ka market me sharp moves ke piche hath hota hai. Lekin kamyab traders ke statistics unke liye gawahi dete hain. Wo market participants ki kul taidad ka 5% hain aur aisa lagta hai keh wo kuch aisa aisa jante hain jo doosron ke liye dastyaab nahin hai. Lekin azim asrar yah hai keh wo aisi chizon ko smjhte hain aur baaz alamat ko alag kar sakte hain. Market pressure ka gradual support pahla impulse fraham karega jo losing deals aur triggering losses ko band karne ke liye kafi hona chahiye. Uske bad, doosra tasulsul zahir hoga. Fir, losers aakhri mauqe ko grab karne ki koshish karenge aur tahrik irreversible ho jayega. Qimat wapas nahin aayengi.
    To, aap yahan market psychology (market nafsiyat) kya hota hai dekh sakte hain. Lekin yah sirf aam khayal hai. Waqt dikhayega keh main sahih hun ya nahin.
    • #3 Collapse

      Forex trading ki psychology (nafsiyat) aisi general feelings hain jo aik trader ko buy ya sell order leny par uksaati hain. Hum market psychology ko market sentiment bhi keh saktay hain. Jesa kay forex market mein har waqt buy aur sell ka process chalta rehta ha, jis mein market participants (traders) hissa letay hain. Ab is market mein anay wali har change kay peechay traders ka hath hota ha, jo un ki psychology ki waja se hota ha.
      Is ki sab se best example economic news ha, jab koi news anay wali ho to traders ki psychology bohot critical ho jati ha aur news kay anay kay baad market mein anay wali tezi se sabit hota ha kay is tezi kay peechay koi soch thi, jo traders ki soch thi.
      • #4 Collapse

        Dear members online business ka dor hai trading ma market aik wave ki trah move krti hai kabi kabi down market ky liquidity providers market ko move krvaty hain market ma buyer hon to market up seller hon to down jati hai market ma log apna paisa invest krty hain apni apni psychic hoti hai kch logi stop loss lgaty hain kch nhi lgaty game sari emotions ki hai jaldbazi nyqsan deh hai log isi waja sy loss kr jaty hain profit ma trade jaldi close kr dety hain jub ky loss ma account th wash krva lrty hain
        • #5 Collapse

          Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

          Forex market ki psychology yahi hay key traders ki taraf se emotions na ki jaye aur zeyda aur quick profit earning ki expect na ki jaye, market ki psychology ko understand karna chaye aur koi be esa decision nahi lena chaye jo key market es ka opposite result dey, trades our of greed nahi hony chaye, slowly aur reasonable daily profit ki average honi bahot zarori hay traders apny hony waly loss se be market ki psychology maloom kar sakty hey.
          • #6 Collapse

            Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

            Forex trading World ka sabse bada business or Forex trading main daily 60 billion dollars cake reading ke Jati Hai Yahi vo jahan ke forest reading day by day sabse bada business lag ja raha hai aur uske popularity Mein izafa Hota ja raha hai
            • #7 Collapse

              Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

              forex markit ki nafsiyat yeh hain keh is ki taelim hasel kar ky is ko samjha jae keh is markit main hum ny kaisy karobar karna hy kesrah sy is forex markit sy paisa kmaya ja sakta hy is markit main naffah kmany ky kia kia tips hain or kes trah sy forex markit main kam karny wala nuqsan sy loss sy buch sakta hy nuqsan sy buchny kykia kia tariqy hain ken dinonis forex markit main trading karni chahy takeh naffah kmaya ja saky or ken dinon main is forex markit main tradin ni karni chahy taqeh nuqsan sy bacha ja saky ken ken chizon ko samny rakh kar naffah kma sakty hain or ken ken chizon sy sy buch kar nuqsan sy bacha ja sakta hy to yeh thin forex markit ki nafsiyat jo in ko samjh ly ga woh forex main nakam ni balkeh kamyab ho kar acha busnus mein sabet ho ga
              • #8 Collapse

                Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

                bhai market ki nafsiyat ko hum aik trha se bayan nahi kar skty hain q k kisi bhi cjez ki nafsiyat ko tab exact expalin kiya jta hai jub wo aik jesi ho or osko smjhny k bad osko expalin kiya jay jub k forex trdaing k business main market hmainkbhi bhi aik jesi nahi milti hai es main changing hoti rahti hai es liye forex market ki nafsiyat bus yahi hai k es main kub kuj ho jay kisi bhi tradors ko ilm nahi hota hai tu es k ilm k liye hmain forex ka knowledge gain krna parhta hai jis se market ko smjhny main bhi asani hoti hai or har trador apni trdaing main acha result tab he hasil krta hai forex trading business main hum tab he kamyb hoty hain jub hum market k hisab se trading karty hain
                • #9 Collapse

                  Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: Forex Adviser پيغام ديکھيے
                  Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?
                  Assalamualaikum ji bhaijaan market ki nasihat ko samajhne ke liye aap ko bahut jyada mehnat karne ki jarurat Hogi Kyunki agar aap market ko acche tarike se analyser Nahin Karenge to Forex trading Ke nakshe Bhi aapko samajh Nahin Aayegi market ki nasiyat puri ki puri Duniya Ke economies par depend karta hai Jiski wajah se hai market ki movement Mein Uttarakhand Aata Hai agar aap samajh na Chahte Hain Hum To aap worldwide news ko zaroor red Karen Sab aap ek acchi Lagan Mein Kamyab Ho Rehte Hain
                  • #10 Collapse

                    Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

                    Mummy chahi ke Hamesha trading karte hue aur form par posting karte hue acchi poster Karen aur post ki quality ko Jarur Dekhen Kitni Achhi hai Hamare dost ki party Hogi ab utna hi jyada bonus Bana Sakenge post a quantity ke sath sath post St quality Kodi Jarur dekhna chah he is se Hamara bonus increase hota hai aur hum usse achi learning bhi kar sakte hain
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: Market ki nafsiyat (psychology) kya hai?

                      Asalam o alikum friend ap ny bilkal tek kaha ha forex trading main market har waqat change hoti rehti ha is ka candles chart main different time frame Han 5m 15m 30m 1h 4h or 1d 1w 1mn ye different time frame Han Jin ko ap dakh k ache trading kar sakty han har time main different candles hoti Han ap ko Jo behtar time frame lagy us main trading karny Mary khayal main agr ap ny short term trading karni ha to choty time frame main trading karny or agr ap ny long term trading karni ha to phr phr 1h ya 4h main trading karny to ap ko ziada profit ho sakta ha

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X