Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan
    Trading esa business hay jes me har cheez ka khayal rakna zarori hota hay agar ham small mistake be karen to ye zeyda loss ki waja banti hay, agar take profit use na kia jaye to es ka nuksan ye hota hay key ham ne jo profit earn kia hota hay ya trade profit me change ho jata hay to take profit na hony ki waja se ye profit manage nahi hota aur ye kesi be time loss ho sakta hay esi tarha agar stop loss ko use na kia jaye to market ki movement hamari soch se bahot zeyda hamy loss de sakti hay take profit aur stop loss dono ko use karny se hi ham account ko maintain rak sakty hey.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

    take profit aur stop loss ky apny apny nuksan hain jiss main say sy ziada nuksan stop loss na lgany ka hai kyon k ager ap aik trade place karny ky bad stop loss nahi lgaty hain tu kisi bhi time market ki ziada fast movement say ap ka totle capital wash ho sakta hai wohi ager ap nay stop loss lgaya hota tu ap ka account main utna he nuksan hona tha jitna ap nay aik price pay apna stop loss lgaya hai aur tp lgany ka koi itna big nuksan nahi hai ager ap kahin out jaty hain tu apna tp lazmi laga kar jain kyon ky ap ka ager na bhi market ko dekthy hain tu ap ka tp lag jata hai tu ap ko trade ko dekhny ki aur order ko close karny ki need nahi hai aur tp na lgany ka aik faida yeh bhi hota hai kisi time market app ky lgay hoay order ki taraf bohut ziada door chali jati hai jiss ay ap ko 5 guna say ziada profit bhi ho sakta ha iss lea stop loss lazmi lgain take profti ap apny plan ky mutabik laga sakty hain.
    • #3 Collapse

      Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

      Forex mein humari poori koshish hoti hai kay hum forex mein jo bhi trade kerain woh kamyab ho lakin market mein kuch aise movements hoti hain jin ki wajah sae humaray pooray maheenay ka bonus zaya ho jata hai aur iss ki main wajah humara forex mein planning sae kaam na kerna hai
      Forex trading mein jub hum apni trade kay lye planning kerain tou uss kay lye humain tammam trading parameters ko note kerna chahyea aur aisay parameters select kerain jin sae humari trade profit mein close ho aur humain trade mein loss bhi na ho aur forex chart per dou tools use hotay hain jin ka forex mein trading mein use bahut zaroori hai aur woh hain aik tou take profit aur doosra stop loss aur agar hum yeh donoun tools use kertay hain tou woh trade forex mein naakaam nahin ho gi iss lye aap ko yeh donoun tools lazmi use kernay chahyeain take profit sae aap ki trade profit mein auto per close ho jaye gi aur stop loss sae aap ki trade kam loss mein close ho gi jo kay recoverable loss hota hai aur woh loss hum aik ya dou trades mein recover ker letay hain
      • #4 Collapse

        Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

        اصل پيغام ارسال کردہ از: aamir370 پيغام ديکھيے
        Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan<br />Trading esa business hay jes me har cheez ka khayal rakna zarori hota hay agar ham small mistake be karen to ye zeyda loss ki waja banti hay, agar take profit use na kia jaye to es ka nuksan ye hota hay key ham ne jo profit earn kia hota hay ya trade profit me change ho jata hay to take profit na hony ki waja se ye profit manage nahi hota aur ye kesi be time loss ho sakta hay esi tarha agar stop loss ko use na kia jaye to market ki movement hamari soch se bahot zeyda hamy loss de sakti hay take profit aur stop loss dono ko use karny se hi ham account ko maintain rak sakty hey.
        Ji ap nay bil kul thek bat ki hay main ap ki bat say agree karta hoon Forex trading main kamyabi kay liay take profit and stop loss ko bohat ziada importance hasil hay es kay use na karnay say jo nuqsan hotay hain in ki details main janay say pehlay main Take profit and stop loss kay baray main kuch batana chahon ga k yeh Take profit and stop loss hay kia?
        1: Take Profit
        Take profit asal main aik strategy hay jis main trader pehlay say hi profit margin set kar daita jaisay hi market price up move kartay howay jaisay hi set kiay howay margin ko touch karti hay to trade automatically close ho jati hay aor profit hamaray account main chala jata hay es taran hamara profit loss main change honay say bach jata hay aor safe ho jata hay.
        Click image for larger version

Name:	Take Profit -4.jpg
Views:	6
Size:	177.8 کلوبائٹ
ID:	12322970
        2: Stop Loss
        Take profit ki taran stop loss bhi aik strategy hi hay jis main trader pehlay say hi loss ka margin set kar daita hay yehni jis point tak trader ka account loss ko bardashat kar sakta hay us point tak stop ko set kar daita hay jis main market jab down move karti hay to price jab set kiay howay point ko touch karti hay to trade khud ba khud close ho jati hay jis say mazeed loss nahi hota aor account wash honay say bach jata hay.
        Click image for larger version

Name:	STOP LOSS-2.jpg
Views:	7
Size:	173.7 کلوبائٹ
ID:	12322971
        Take profit and stop loss ko use na karnay ka sab say bara loss yeh hota hay k jo profit trader nay earn kia hota hay ya jo amount pehlay say trader kay account main hoti hay woh market kay movement ki wajah say agar prices down honay lag gai to woh sab ki sab loss main change ho kar wast hon jay gi aor trader ka sara ka sara account bhi wash ho jay ga khas kar small account and small investment ki soorat main jo k bohat bara nuqsan hay lehaza traders ko chahiay k woh apnay profit ko safe karnay kay liay take profit kam point pay set karay aor stop loss ko bhi bardashat ki had tak set karay ta k big loss ki wajah say account wash na ho jay take profit and stop loss kay sath sath small lot size kay sath hi trade open karni chahiay.
        • #5 Collapse

          Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

          Aap ki yeh baat bhi bulkul theek ha but main yehi kahna chahon ga k forex trading main trading krtey hovay Take profit aor stop loss zaror lagana chahye bcoz humain loss Kam ho aor profit zaidah ho ager hum take profit aor stop loss nhi lagain gay toh hamain nuksan is tarah ho ga k market ki ager movement fast ho jaye toh aap ko loss zaidah bhi ho sakta ha yah toh AAP ka Account wash bhi ho sakta ha...[
          ATTACH]8919[/ATTACH][
          ATTACH]8920[/ATTACH]
          منسلک شدہ فائلیں
          • #6 Collapse

            Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

            Agr ham trades open karte hein aur ham take profit ya stop loss use nai karte to ham boht ziyada loss se dochar ho sakte hein aur hamara balance boht jadi consume ho jaye ga agra trade loss main chali gai ye boht ziyada risky ho sakta hay han agr hamro trade profit main chaili gai to wo bhi risk hay kay kabhi bhi ye trade invert ho sakti hay aur bajaye profit kay loss ho jata hay aur account wash hone kay chances boht ziyada increase ho jaye hein is lye kabhi bhi trade opne karin to take profit aur stop loss zaroor use karna chahiye TP na bhi lagain magar SL lazmi laga hona chahiye..
            THKS
            • #7 Collapse

              Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

              forex trdaing main take profit or stop loss trdaing tools hain jin k bgair hum apni trdaing ko kbhi bhi kamyb nahi bna skty hain tu ahr hum forex main kamyb trdaing krna chahty hain tu hmain apni trading tools ko achi trha use karna hoga jis se hum apni trdaing ko risk se bhi bacha skty hain or ach aprofit bhi gain kar skty hain tu hmaisha apni trading main acha profit gain karny ki mahant karen or aghr hum apni trdang main stop loss use karen tu es k faida yah hota hai k hum apni trdaing main loss ko lock kar dety hain or sath main profit ko acha eran kar skty hain tu hmasha he apni trdaing ko en tools k sath karen jis se ap kbhi bhi loss ko face nahi kar skty hain or apko profit bhi ayse he acha milta hai
              • #8 Collapse

                Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                Dear jab ap ais market mai koi bhi trade lagaty hai to aus k liay ap analysis karty hai aor aus time ap ye soch lety hai k ais trade ka take profit kaha hona chaye aor ais mai stop loss kaha hona chaye kun k hum agar ais market mai plan k sath kam karty hai to hum ko faida hota hai aisy hi jo log ais market mai take profit aor stop loss k baghair kaam karty hai aun ko ho sakta hai k kuch din to profit hota rahy magar aik time aata hai jab aun ko atna zayda loss ho jata hai k aun ka account bhi wash ho sakta hai ais liay hum ko agar ais market mai kamyab hona hai to hum ko ais market mai apni her trade k sath take profit aor stop loss lagana chaye ta k hum ais market mai jo trading kary aus ka hum ko faida ho.
                • #9 Collapse

                  Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                  Stop loss take profit ko ager set na kiya jiye tu hum bohat dafa loss ka samna karNa parhta hai stop loss take profit say hum loss say bach sakty hain or sath sath humain bus trade lagni hoti hai usky bad profit ka wait nahi karna hota hum easily acha profit kama sakty haim brokers automatically maximum profits pay Trade close kar sakty hian... Is liye koshish karain Kay ziyda sy ziyda market ko samjy or experience gain karain or sath sath prices ko yad rkhty hain ta Kay stop loss take profit set kar saky begaar knowledge experience say hum kabi bhi profit set nahi kar skty oor loss say save nahi kar sakty apni trade ko or loss say nahi bachhh saky..
                  • #10 Collapse

                    Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                    Take profit Stop loss na use krny trade management na krny ky nuqsanat

                    Asalam.o.alikum forum friends and forex fellows apko maloom hona chye ky trading aik risk wala karobar hai aor jo trader management nhi krta hai smjho wo jua khel raha hai iski misaligned yeh hai ky ya to ain gay ya jain gay aisi soch rakhna bahot he ajeb bat hai forex trading ma risk aor chance ma farq rakhna chye aik dafa loss ho gia to chance nhi milta dobara apko loss recovery kay leay ho skta hai bahot waqat lagy ya loss double sy triple ho jay leahaza members apko kosi bhi trade ko without management mean stoploss aor take profit ky bina nhi lgana chye
                    • #11 Collapse

                      Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                      Take profit aur stop loss trading tools ka agar bilkul be use na kia jaye to es ka bahot zeyda hi nuksan hota hay aur agar esy useful tools ka use behtar tareeqy se be na kia jaye to be es ka nuksan ho sakta hay, apny trades ko agar ham maintain rak sakty hey to take profit aur stop loss tools ko use kar key hi maintain rak sakty hey, professional traders take profit ur stop loss key base par hi profit goals ko achieve karny me kamyab hoty hey agar ye tools use na key jaye to daily ya weekly base par ham apny targets ko achieve karny me kabi be kamyab nahi ho saken gey.
                      • #12 Collapse

                        Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                        take profit aur stop loss in dono main sab sy ziada important stop loss hota hai ju ky ap ky capital ko save rakhta hai iss ky bgair ap ap apny capital ko safe nahi rakh sakty hain ap ky pas jitna bhi experience ha ya confidence hai ap forex market main stop loss ky bgair kabhi bhi win nahi ho saky hain kyon ky forex market kabhi bhi 100 % kisi ki samjh main nahi ati hai aik international market main jiss main har trader ki koi na koi wekness hoti hai jiss say wrong trade karta ager wo stop loss ka use na akry tu account khali ho sakta hai aur kbhi kabhi makret jab crush ho jati hai tab bhi ham stop loss ki waja say he safe rehty hai ess lea forex mrket main take profit ap na bhi use karain tu itna khas nahi hai mager stop loss bohut he eham jiss ky bgair forex main success hona namumkin ha.
                        • #13 Collapse

                          Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                          Forex trading mein stop loss and take profit as a tool istemal Hote Hain, Agar in ko place kar diya Jaaye to Is ke bahut Se fawaid Hain. Yah aap ki Marzi per hai ki aap in tools ko kis Waqt aur kahan place Karte Hain, yah aap ki sahulat ke liye diay gay hain ki agar aap screen ke samne nahin hai aur kisi news ki wajah se a market for rapid movmennt Kar Jaati Hai hi to aap Kisi bare nuksan se bhi bach sakte hain aur Jis profit ko aap Dekh Rahe Hain woh aap se miss Nahin ho ga. Agar aap stop loss and take profit Ko use Nahin Karte apni trades mein To is ka Koi nuksan Nahin Hai Shivay Is ke aap ko Tamam Waqt trading screen Ke Samne Rahana ho ga.
                          • #14 Collapse

                            Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: aamir370 پيغام ديکھيے
                            Trading esa business hay jes me har cheez ka khayal rakna zarori hota hay agar ham small mistake be karen to ye zeyda loss ki waja banti hay, agar take profit use na kia jaye to es ka nuksan ye hota hay key ham ne jo profit earn kia hota hay ya trade profit me change ho jata hay to take profit na hony ki waja se ye profit manage nahi hota aur ye kesi be time loss ho sakta hay esi tarha agar stop loss ko use na kia jaye to market ki movement hamari soch se bahot zeyda hamy loss de sakti hay take profit aur stop loss dono ko use karny se hi ham account ko maintain rak sakty hey.
                            Asalam o alikum dear ap ny both acha question kea ha forex trading main stop loss or take profit use karna both zarori ha agr ap stop loss or take profit use ni karty han to ap ko both ziada loss ho sakta ha or ap ko har waqat samjny behtna ho ga laptop pe ya mobile pe jab ap stop loss use ni karny gy to ap ka account bi wash ho sakta ha is ley humy both ahtaiayat sy trading karni chae ha proper stop loss or take profit use karny stop loss sy ap account safe rahy ga or take profit sy ap ko samny na hony k bawajod bi profit mil sakta ha is ley ap ko account ko wash hony sy bachany k ley or ziada sy ziada profit hasil karany k ley proper stop loss or take profit use karna both zarori ha
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Take profit aur stop loss agar use na kia jaye to es ka nuksan

                              forex trdaing main jub hum apni trdaing main stop loss or take profit ko use nahi arty tu hum apni trdaing main kbhi bhi miyari trading nahi kar skty hain q k jub humapni trdaing main rrisk ko mange nahi karty hamain tab he loss ho jata hai or hum apni trading main kbhi bhi acha profit gain nahi kar skty hain es liye hmaisha trading main sub he trdaing tools k sath trdaing karen jis se hum apni trdaing main risk ko bhi mange kar skty hain sath main hum apni trdaing main loss ko bhi mange kar skty hain stop loss main trdaing karny se aik tu hmari trdaing main loss lock ho jata hai or hum apni trdaing main loss se account wash nahi hota hai jub k hum apni trdaing ko secure bhi tab he rakh skty hain jub hum trdaing main trdaing k sub he rols ko achi trha sue karty hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X