Yeh review cars kay qaabli tyres per mabni hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yeh review cars kay qaabli tyres per mabni hai
    Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Maira yeh review cars kay qaabli ya second hand tyres per mabni hai. Pakistan mai cars rakhnay waley iss baat say achi Tarah waaqif hotay hain kay qaabli tyres kaha say miltay hain aur kitnay kay miltay hain. Laikin unhain yehi bataya Jata hai kay yeh tyres bohat achay hotay hain haalakay aisa nahi hota hai. Qaabli tyres ko use kay qaabli banaya Jata hai aur unn pay polish ker kay unhain new jaisa ker lia Jata hai. Qaabli tyres mai paisay bacha kay apni qeemati jaanoo aur Gari ka nuqsaan nahi kerna chaiye

    Advantages :-

    Qaabli tyres new tyres say sastay hotay hain. Qaabli tyres her size mai mill jatey hain. Qaabli tyres her company aur country kay mill saktay hain. Qaabli tyres after use resale bhi ho jatey hain. Qaabli tyres ki life 1 say 2 saal ho sakti hai laikin yeh gaari kay usage aur milage per munhasir hota hai.

    Disadvantages :-

    Qaabli tyres asal mai used tyres ki linings ko dobara say manually engrave ker kay Bana kay sale kiye jatey hain. Inn ki life aik saal takk tou ho sakti hain laikin uss say pehlay bhi kisi bhi waqt chaltay chaltay phatt saktay hain aur gaari aur uss mai baithay loogo ki life risk mai ho sakti hai. Qaabli tyres ko 2 say 3 baar reconditioned kia jaa chuka hota hai jiss ki wajah say rubber taqreebun khatam ho chuka hota hai. Qaabli tyres apni gaari mai lagwanay say pehlay 1000 baar socha chaiye kay paisay qeemati hain ya aap aur aap kay ghar waalo ki zindagi ziada qeemati hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yeh review cars kay qaabli tyres per mabni hai

    Qaabli tyres jo key bahot kam rate par be market se mil sakty hey en ko ham kabi be kabil e barosa nahi samaj sakty hey, kam rate me en ko buy to kia ja sakta hay magar en tyres ko jab use kia jata hay to es key burst hony key chances be hoty hey jo key kesi be time exedent ki waja ban sakty hey ye bahot hi risky kam hay, en tyres par polish ki hoti hay jo dekny me new lagty hey jab 1 ya 2 din en ko use kia jaye to ye ehsaas hota hay key ham ne ghalti kar di, hamesha kesi be dasy se bachny key ley zarori hay key ham ye tyres ko buy na karen aur hamesha new tyres ko hi khareeden.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Yeh review cars kay qaabli tyres per mabni hai

      Hi friends umeed hay kay app sub thak hon gay or ya review car kay qaabli tyres per mubni hay jo log car rakthy hain in ko pata ho ta hay kay qaabli tyres kis ga say mill tay hain ya new tyres ni hoty inko palas kar kay new gacya bania gatay hain in kay advantages bi hoty hain or is kay disadvantages bi hain
      Advantages
      In tyres key qumeat kam hoti hay ya hak sall say do sall tak chalty hain qaabli tyres her size may mill jaty hain ya har city main say mill jaty hain jen kay pass new tyres lany kay ley pacey ni hoty ya wo lay tay hain
      disadvantages
      ya kecy bi wqat krab ho sakty hain or jo log car main mogod hon in kay leay ya katray ka bass ban sakty hain is ley ya ni laany chaiey

      اب آن لائن

      Working...
      X