Yeh review M3 motorway kay safar pay mabni hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yeh review M3 motorway kay safar pay mabni hai
    Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Maria yeh review M3 motorway per mabni hai. Jo abhi new New bani hai aur maira yeh review uss motorway pay safar kernay waley forum members ko bohat faida day ga aur woh khud ya unn kay family members ya unn kay friends Agar uss pay travel karengay tou unhain bohat faida hoga. M3 motor way basically North to South bound motor way hai. Jiss pay Lahore pay safar shuru kia jata hai aur samundri, Jara wala, waghaira say hotay huay Pir mahal aur phir Abdul hakim say pehlay darkhana pay eh M3 khatam ho kay M2 kay sath mill kay M4 mai shamil ho jata hai. M3 Lahore say Pir mahal, Abdul hakim, Khanewal multan janay waalo kay liye shortest possible way hai.

    Advantages

    M3 motorway pay traffic ka rush ya crowed bilkul nahi hai jiss ki wajah say tavelling aur driving safe aur easy hoti hai. M3 motorway brand new honay ki wajah say road bohat acha hai jo personal conveyance kay liye bhi behtar hai aur tyres waghaira ko koi khatra nahi hota hai. M3 motorway pay Lahore say darkhana takk total 6 interchanges hain jiss wajah aur traveling Kamm waqt mai bhi ki jaa sakti hai. M3 pay Lahore say nikal kay darkhana takk sirf 2 tool palaza atey hain aur 3rd tool palaza sirf M4 ki entry ka hota hai jiss say mazeed time bach Jata hai.

    Disadvantage

    M3 ka aik bohat Bara disadvantage uss pay Lahore say Abdul hakim takk sirf aik rest area ka hona hai jo kay abhi takk puri tarah active bhi nahi hai. Agar M3 pay safar kerna hai tou gaari ka fuel tank totally full hona bohat zaruri hai warna motorway pay he bohat zaida pareshani ka saamna kerna Parr sakta hai. Iss kay elawa M3 pay safar kernay say pehlay family ya bacho kay liye khanay peenay ka Saman bhi arrange Ke laina chaiye kiyu kay 3 hours ki traveling mai M3 per aisi koi jagah nahi hai jo kay rest area proper ho. Phir kisi interchange say motorway say utare kay apni requirements puri ker kay he dobara motor way ko join kia jaa sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yeh review M3 motorway kay safar pay mabni hai

    ASALAM O ALAIKUM!
    ( M3 MOTORWAY)

    DEAR TRADERS ye review M3 MOTORWAY pr h tou aj me es k bary me information ap k sath share kroungi. eski opening , route or es k distance
    waghera k bary me .
    OPENING OF M3 MOTORWAY:
    M3 MOTORWAY ka iftetah (INAUGURATION) 31 MARCH (sunday) 2019, 03:00 PM ko kiya gya. 1 APRIL ko ye LAHORE SE ABDUL HAKEEM ki traffic k liye khol diya gya .
    CHIEF GUEST:
    " CHAUDHARY MUHAMMAD SARWAR"jo k GOVERNOR OF PUNJAB HN, OR" MR . MURAD SAEED" jo k FEDERAL MINISTER FOR COMMUNICATIONS AND POSTAL
    SERVICES HN, enho NY M3 MOTORWAY KI INAUGURATION ki.
    VENUE:
    JARANWALA INTERCHANGE jo h pindal( VENUE) , tha jahan pr ye ceremony ki gyi.

    DISTANCE AND LENGTH (ROUTE):
    ESKA DISTANCE LAHORE SE MULTAN TK WO APKO BTATI HUN .
    LAHORE YO ABDUL HAKEEM SECTION =230 KM .
    MULTAN TO ABDUL HAKEEM SECTION=103 KM .
    TOTAL DISTANCE LAHORE TO MULTAN:
    ESKA total distance LAHORE SE MULTAN tk jo h wo 333 KM h .
    ye distance NATIONAL HIGHWAY N5 k distance se bht zyada h jo k 323 KM ka h jis ki AVERAGE driving speed MOTORWAY ki speed
    120 KM / H se km h zyada or slow traffic ki wajah se .
    M3 ik NORTH _SOUTH MOTORWAY h PAKISTAN me. M3 LAHORE END M2 ko ABDUL HAKEEM k nazdeek M4 k sath connect krta h .
    SOUTH END:
    ABDUL HAKEEM (M4).
    NORTH END:
    LAHORE (M2).
    MAJOR CITIES:
    M3 MOTORWAY , LAHORE SE MULTAN , ye kai main cities jesa k abdul hakeem , shorkot , peer mahal or vehari ETC se ho kr guzrta h.
    Y JUNCTION:
    ABDUL HAKEEM me M3 MTWAZI (PARALLEL) MOTORWAY k rasty se , M2 or FAISALABAD se Y JUNCTION ki shkal me shamil hota h. M3 ik 6 LANE HIGHWAY H, ROAD k sath 3 REST AREAS hn.
    MAIN EXIT / ENTRY FOR MULTAN CITY:
    M3 MOTORWAY MULTAN se ho kr guzrta h or MULTAN CITY k liye 4 INTERCHANGES HN.
    1) SHAH SHAMS TABREZ INTERCHANGE.
    2)
    VEHARI ROAD INTERCHANGE.
    3)
    BAHAWAL PUR ROAD INTERCHANGE.
    4)
    SHER SHAH INTERCHANGE.
    M3 MOTOR WAY ka safar bht hi aram deh or enjoying h, ap bhi agr LAHORE SE MULTAN ka safar krein tou M3 ROUTE k zrye hi krein .
    • #3 Collapse

      Re: Yeh review M3 motorway kay safar pay mabni hai

      dear har us review k baray main agar ham discuss kartay hain jis main ham nay khud aik tarha ka kaam kia ho to us main hamain aur bhi ziada faida hota hay aur us main hamain aur bhi ziada kuch likhtay huway share kartay huway hamko ziada say ziada faida hota is liya mairay experience k mutabik agar ham forum k is sections main likhnay say pehlay aisa review likhtay hain jis main jo kuch hamaray khud k sath beeta hay to wahi sab say acha hay,maine bhi khud motorway ka safar kia hay jis main ham jarranwal say motorway main enter huway thay aur ham nay aik acha safar teh kia jis main ham kamalia enter change tak gye isi rastay main aik daffa hamri car ka tyre bhi punkcher ho gyaya tha jis k baad ham nay motorway ki helpline pay contact kia to usi lamhay he police hamari help k liye pouch gai aur unhone hamari jis tarha say help karnay ka hak tah waisay he ki to ham nay bhi unka shukria ada kartay huway ham agay barrh gay motorway pay ham 120 ki speed say apni car ko run kia jis k douraan hamain safar ka koi bhi pata nai chal saka k ham nay kitnay time main kitna safaer kia aur jitna kia is jaisa koi bhi araam deh safaer aj tak nai ho saka hay wo is liye k is k jitnay bhi tracks thay sab pay har koi apni speed k hisaab say apnay apnay track main run kar raha tha koi bhi accident ka chance nai tha jo jitn arun karta chahta tha wo usi hisaab say he run kar raha tha is main sirf aik he baat ka hamko khyal rakhna lazmi hota hay k jitni speed ki required hay us say hamko kabhi bhi tajawaz nai karna chaye qk agar ham aisa kuch ghallt kartay hain to haamra forun he chalaan bhi ho sakta hay jis main motorway k camera lagay huway hain jis say wo sab hamko har wakt daikh rahay hain hamari speed ko note kar rahay hain.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Yeh review M3 motorway kay safar pay mabni hai

        Yes dear aapane bilkul theek kaha hai M1 M2 ke bad MP 3 bahut hi Jabardast motorway ka track Hamare liye banaa hai jismein Ham travel kar sakte hain aur Apna time save kar sakte hain Jab Ham motorway per travel kar rahe hote hain to ismein hamare liye bahut jyada advantages ho rahe Hote Hain Sab Saman advantage Humko yah hota hai ki Humko best transport Har time per mil rahi Hoti Hai iske sath sath Hamare safar mein bahut jyada safety Hoti Hai Kyunki motorway totally one-way hoti hai aur ismein Thode Thode gap ke sath aapko rest areas bhi mil rahe hote hain Jahan per aap rest kar sakte hain.

        agar aap motorway per Sabar kar rahe hain aur aap ko kisi ke sim ka koi problem ho jata hai to usmein aapke pass helpline ki facility hoti hai jismein aap motorway police Ko Bata Kar apni problem ko khatm kar sakte hain iske sath sath Jab aap motorway per Safa kar rahe hote hain to aap hundred percent guarantee ke sath baat ki zamanat ke sath Safar Kar Rahe Hote Hain Ki Aap Ko Kisi bhi Kishan ki koi bhi safety issues Nahin Hogi aur aap aasani ke sath Apna yah Safar complete kar lenge.

        Agar ham M3 motorway ko observe Karen aur Lahore Se Lekar Abdul Hakeem Tak travelling ko count karen to ismein aapko bahut jyada time lagta tha lekin ab aap is distance ko dekhte hain to aap bahut jaldi yah distance cover kar sakte hain aur safety ke sath apni Manzil per pahunch sakte hain

        اب آن لائن

        Working...
        X