types of analysis in forex trading;
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    types of analysis in forex trading;
    Assslam O Alikum:



    Trading kisi na kisi analysis k through hoti hai aur tenchnical analysis ko important analysis consider kia jata hai yebahut ziada important hai, technical analysis sab se ziada work karte hai humen is ke through he proper trades entry aur exit area milta hai trend ko identify karna different patterns ko identify karna technical analysis k through he hota hai tecnichal analysis mein konse tools use hote hain konse ways se kaam karna hota hai ye janna bahut zaroori hota hai.


    Support and resistance:

    Support and resistance bahut ache analysis hote hain mostly whole market support and resistance k zones iske area mein he move karti hai aur movement k duran as a technically market in ko behad importance and respect deti hai jaisa k hum jante hain support area down side hota hai aur us se below market bagair kisi valid reason k us price us support se down nahi jati kyon k wahan market support line support area ko respect de gi wahan se hum candle ko dekhte huway trade entry ko find out kar k achi trade entry le sakte hain isi tarah hume resistance area up side pe dekhna hota hai analysis mein hum resistance dekhte hain k market kahan tak kis area tak up ja sakti hai aur wahan se price k down ane k chances hum ne find karne hote hain agar hum accurate support and resistance pe analysis karen bahut ziada benefit mil sakta hai.


    Click image for larger version

Name:	8E16E708-812B-4D4B-A53C-26FE77D001CF.png
Views:	31
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12532380



    Chart analysis ka time frame:

    Ache analysis karne k liye hume time frames ko dekhna hota hai jitna acha time frame hoga usi mutabik long analysis bhi kiye ja sakte hain H4 aur D1 time frames ka use hume ziada karna chahiye long analysis best entries inhi time frames pe milti hain aur faida hota hai support and resistance bhi big time frames pe ziada faida dete hain.


    Click image for larger version

Name:	AE7FF9AF-6F2E-44DF-A47C-04D04EF3534F.png
Views:	9
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12532381


    Technical analysis mein time frame:

    Koi bhi pattern ho beshak support and resistance he kyon na ho candles ka use bahut ziada hota hai hum kisi bhi resistance pe ya support pe trade karen ge tu candle eveidence lazman dekhte hain jaisa k buy hammer, Doji types, Shooting star is tarah ki candles ki power achi hoti hai ye hume analysis k duran achi entries mein evidence k lehaz se faida deti hain.


    Click image for larger version

Name:	1BDCA5D5-6020-4CD1-91CA-7FF3C39B4B23.png
Views:	5
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12532382



    Technical analysis with indicator:

    Hume trend identify karne k liye price action method ki zaroorat hoti hai lakin sath mein agar hum indicator ko add karen ge hume apne pattern ko identify karne mein achi help mil sakti hai trend identify further karna ho tou Moving average ya momentum k indicator ka use kar ke analysis kiya ja sakta hai aur market over sold ya over bought ko meaure karne k liye hum RSI ka use kar sakte hain then usi hisab se support and resistance k technical mein ye indicator hamari achi help kar sakte hain.



    Click image for larger version

Name:	22C2D6BA-80BB-4FFF-BE9D-1711EFB39294.png
Views:	1
Size:	28.7 کلوبائٹ
ID:	12532383

اب آن لائن

Working...
X