Professional 2014 robot
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Professional 2014 robot
    Dosto may aj ap say aik robot share karnay ja raha ho, jo ap ko internet par bhi available hoga, lakin yaha par ap k lye attach kar raha ho. Is robot ka name hay professional 2014, yeh aik bohat acha robot hay, lakin yeh baaz dafa ap ka account bhi blow kar dayta hay, is ka review bhi may ap say share karo ga, is k kuch advantages bhi hain aur kuch disadvantages bhi. Robot ap k lye hazir hay.

    Professional 2014 robot.

    brothers, is waqt attachment may thora masla hay, jaisay hi yeh sahi hoga, may file attach kar do ga.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    sure Abdullah bro jab ap share karen ge to hum zaror dekhen ge apke btaye huwe robot ko or ye to her robot me hota ha ya to profit deta ha ye account wipe ker deta ha lekin in robots ko agr use kerna hu to ache money managment k sath or micro lots me use kerna chahye ek dafa account stable hujai then lot size berhaya ja sakta ha
     
    • #3 Collapse

      App ne kaha keh kuch disadvanteges bhi hian zada us ke hawalay se bhi guide kar dain keh kiya nuqsanat hian kahin yeh account pora khali to nahi kar deta
       
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: rajamoby پيغام ديکھيے
        App ne kaha keh kuch disadvanteges bhi hian zada us ke hawalay se bhi guide kar dain keh kiya nuqsanat hian kahin yeh account pora khali to nahi kar deta
        Brother, is ki strategy kuch is tarha say hay keh yeh expert adviser, sirf aik side ki trades kholta hay, aur inverse trading karta hay, yani jab market ki movement bullish ho to yeh sell k orders kholta hay, aur jab bearish ho to buy ka, agar market range bound ho to yeh bohat faida dayta hay aur sath may lot size bhi increase karta hay, lakin agar market aik hi trend ki ho, yani sirf bull ya bear to phir ap ko pata hi hay keh aik side ki agar trades lagti rahay to phir account to jaye ga hi na? misal k tor par hum Usd/jpy ko laytay hain, yeh pair abhi tak k bullish hi hay, agar ap nay 100.00 say trade start ki hoti aur yeh sell k trades lagaya hota to abhi 105 par chal raha hay, to ap ki sell ki trades laga raha hota, aur ultimately less equity ki waja say ap ka account blow up ho jata.
         
        • #5 Collapse

          mean abdullah brother ye EA just retrace pick kerta ha market se lekin trending market me retrace uthana kafi risky hujata ha or kia ye stopp loss lagata ha ya nahi kuch throri detail btayaega kitne points ka stop or kitne pips ka profit lgata ha ye EA
             
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: nasirsultan پيغام ديکھيے
            mean abdullah brother ye EA just retrace pick kerta ha market se lekin trending market me retrace uthana kafi risky hujata ha or kia ye stopp loss lagata ha ya nahi kuch throri detail btayaega kitne points ka stop or kitne pips ka profit lgata ha ye EA
            Brother, kabhi retrace aur kabhi extension, jis trend ko bhi pakar lay, matlab yeh k baaz dafa bull market may sell order lagata hay aur baaz dafa bull market may buy ka, isi lye manual interference zaroori hoti hay is expert adviser k lye.
               
            • #7 Collapse

              hmmm then ap iski strategy dekhye kiss base pe ye trade me enter hu raha ha I think k ye moving averages pe base kerta ha lekin phir b ap isko cheak ker k btaye or apni trades ka result b share kijiye mai waqae me iska result dekhna chahunga
                 
              • #8 Collapse

                Abdullah Bhai jis wqt m mumkin hoa robot 2014 share kijiy ga hum b to dakhy k yeh kasy kam krta ha or is k kya kya advanteges of dis-advantages ha.. coming soon on Abdullah 2008
                • #9 Collapse

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: malik sherjeel azar
                  robot use karne k liye apka account NDD Cents hona chaiye k lot size apki doller main nai bal k Cents main lagni chaiye then robot working kun k mathematicaly robot ka order har 5 to 10 min bad lag jata hai jis se running order pending main ho jate han jo tme to tme tp clz karte han agar yai account doller main ho to apka account jald wash ho sakta hai behtar hai, robot earn kar k to data hai but es ko chalana to hum ne he hota hai apne Magaz se.
                  Brother, idea acha hay, lakin yeh yaad rakhna k cent account may sab say choti lot 0.10 ki hoti hay, aur ap ko phir manual input karna hoga is robot may, may koshish karta ho keh moderator say baat karo is robot ko attach karnay k lye, agar ho jata hay to phir ap logo ko bhi agah kar do ga.
                     
                  • #10 Collapse

                    Waise to main jyada kuch trust nhi karti hu automatic robot system main lekin agar aap koi robot suggest kar rahe hai to jarur main bhi usko check karna chahungi or advantage or disadvantage sai ham usse safety bhi apni achi kar sakte hai trading main
                    • #11 Collapse

                      maray khayal may to hamay robot par depend nahee kerna chaheye kio k agar ham robot par depend kraingay to ham forex may experience or knowledge hasil nahee kersaktay jo k aik successful trader k leye buhut hi zarori hota hay.
                      • #12 Collapse

                        OK bhai lekin thanks information dene ka me zaroor is robot ko use karo ga dekhte hain is robot ko try kar ke mujhe umeed hai is robots se hume bohat faida ho ga
                        • #13 Collapse

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: ateequrrehman
                          robot ka download link to diya nahi aap ne?????????






                          f
                          Brother, is thread may koshish to bohat ki may nay k robot attach kar do lakin ho nahi pa raha, may moderator say baat kar k koi na koi solution nikal lo ga, robot to meray pass secure hay, agar nahi bhi ho saka, to may us ki coding idhar nikal k share kar do ga agar nikal saki to. aur us ki tarkeeb bhi bata do ga.
                             
                          • #14 Collapse

                            sure Abdullah bro jab ap share karen ge to hum zaror dekhen ge apke btaye huwe robot ko or ye to her robot me hota ha ya to profit deta ha ye account wipe ker deta ha lekin in robots ko agr use kerna hu to ache money managment k sath or micro lots me use kerna chahye ek dafa account stable hujai then lot size berhaya ja sakta ha.
                             
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              اصل پيغام ارسال کردہ از: samina sheikh
                              bhai kya aap kamyab howe han forex p robot ka kya kam he ure kitni earnning ho sakty he, kya aap ye soft waer yan shaer karn ge
                              Mujhay kamyabi to mili thi is robot say, lakin masla yehi tha k is k lye vps layna parta, jo may nay nahi lya, dosri baat yeh hay keh is k lye ap ko khud bhi nazar rakhna hoti hay aur jaha par yeh ghair zaroori trade kholay to us ko manual band bhi karna hota hay, aur is ko 5 say 10 trades tak limited rakhna hota hay.
                                 

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X