Sangchoor saanp.
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Sangchoor saanp.
    Assalamu Alaikum dear Forex members.

    History :-
    Aam naam :- Common krait
    Khandaan :- Elapedae
    Jins :- bungarus
    Sciencey naam :- bungarus Caeruleus.

    Introduction :-
    Sangchoor saanp aik intehaai zahreela saanp hai. Is Saanp ko Urdu Zubaan Mein Sangchoor aur kuchh ilaqo mein pii in ke naam se Jana jata hai. Sangchoor saanp ko common Indian kraite, blue kraite, khamosh qatil yani silent killer bhi kaha jata hai. Silent killer es lye kaha jata hai kh Sangchoor saanp ky kaatny ky baad machchar ya Chewenti Jitna Dard hota hai aur bar waqat tashkhees na hony ki waja say Insan 4 say 6 ganto ky andar andar mai moat waqai ho jati hai. Sab say khoof naak baat yi hai khyi Shikaar ko neend ki halat Mein Dhas laty hai. Aur mehsoos Aise hota hai ki koi Chewnti ya machhar Ne Kata hai Jiski vajah se Nind Mein Hi Insan Ki Maut Vakya Ho Jaati Hai. Aksar Log Kahate Hain Kaisa kh saanp Pani Mein Aur Neend Mein Dastaan Nahin Hai Tu is Baat Mein Koi sacchai Nahin Hai yah bilkul Jhooth hai.
    Sangchoor saanp Saahili jazeero ko chorh kar khusak ilaqo main paya jata hai. Yi saanp Ghany martoob janglat, jharhi daar janglat, khushak martoob ya dono Khazan raseeda janglat, Zarkhez zameeno wali neem Sahrai ilaqo, Daldali ilaqo, Charagaho aur Zari zameeno, Baghat aur Paharhi Chatano mai rahta hai.
    Types :-
    Yi saanp Pakistan ky BIG 4 saanpo mai Shamil hai. Yani Sangchoor, NAag, Khapra, aur Korhio wala saanp.
    Awqaati Movement :-
    Sangchoor saanp Raat ke aukat mein khsosan Sham Se Le kar Subah Savere Tak Faghal Hota Hai. din ke aukat main yi zyadatar chupy rahte hain. Lakin raat ky waqt jarihana Rawyye ky sth Faghal aur chokna rahty hai. Sangchoor saanp ka zahr Taqatwar Nuerotaksan yani Aghsaabi nizaam par Asar andaaz hota hai jo markazi Aghsaabi nizaam ko Maflooj aur Aghzaa ko Shal kardeta hai.
    Effects :-
    Es saanp ky Kaatny ky baad log shadeed pait Dard ka shikayat krty hai, chrhry ky muscles ka kichaao, teek sy daikhny ya na bolny mai nakami, aur Faalij ka shadeed hamla hota hai. Zahr ky seedha nizami tanafus par Asar andaaz hony ki waja say saans kam hony aur Dam ghutny Moat waqai hojata hai.
    Safeties :-
    1) ird gird ke mahaul ko gandgi se saaf rakhen.
    2) Garho ko chooho (Mouse ������) aur dusre Chhote janwar aur Safar ke jaisa kh mendak etc.
    3) paudhon aur Gamla ko Deewar se 1 feet Fasle per rakhen.
    4) Raat Ko Agar Ghar Se Bahar nikalna ho to torch aur lights ka istemal Karen.
    5) Nikasi ke pipes ko Is Tarah Jali ke sath Bandra ke Ke Pani ke alava aur kuchh na guzar sake.
    Last edited by ; 26-09-2020, 01:27 PM. وجہ: Incomplete post
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Sangchoor saanp.

    Sangchor sanp ak intehai zeherala sanp ha ya Pakistan k top 4 zehralay sanpoon men ata ha iska Ka zeher bahot jld asar krta ha r insan ko chand ghanto men hi khtam kr data ha isko silent killer bhi Kaha jata ha Ku k isk katnay sa bilkul mamooli sa drd hota jasy ksi machr na kata ho ya sanp ziada tar rat ko bahr niklta ha r din ki chupa rehta ha garmio men ya din ko bi apnay bill sa bahr ata a jata ha ya agr kaheen bi nazar a jay to isay foran khtam kr dana chahy

    اب آن لائن

    Working...
    X