RSI indicator se market analyse kren....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    RSI indicator se market analyse kren....
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Aaj Ka topic yah hai ki RSI indicator Kis Tarah Se Hamari help karta haiRSI indikator ( relative strength index ) sabse pahle aapko yah Bata deta hun ki relative strength index indicator show Kis Tarah Ka Hota Hai



    sabse pahle Ham baat karte hain ki yah indicator aapane Apne page per Kis Tarah Se Lagana Hai market Mein MT4 trading chart pr iss k liye ap pehly top pr dekhen ge market mt4 chart ma
    Go to menu > Indicators > Select > RSI

    relative strength index Ek Aisa indicator hai jo business ke liye bahut helpful ho sakta hai agar iska Sahi istemal kiya jaaye to ya periods per kam Karta Hai 0-100 Iske period Hote Hain inke Darmiyaan iski movement hoti hai Agar isko samajhna Hai To aapane Is Tarah Se planning karni hai stratgey banani hai ki agar market down side pr hai yani zero ya 30% periods K center MA hai to iss ka mtlb ye hua k market asy time pr oversold Ho chuki hai matlab indicator aapko indicate kar raha hai K Market Kisi bhi time ab side per moment kar sakti hai
    Isi Tarah Agar market 100 to 90% ke Darmiyaan hai to iska matlab yah hai ki market overbought ho chuki hai aur kisi bhi time seling trend Le sakti hai

    yah Nahin kaha ja sakta ke market Har time per aap RSI ke sath sahi se market ko analyse kar sakte hain yah sirf indicator hai jo history per kam Karta Hai matlab ke last Kuchh month ki movement ke bare mein aapko batata hai ki Aise time per Is Tarah Ki moment ho sakti hai isliye is per aapko Jab Bhi strategy banani hai To Kuchh indicators ko aur involve karna hoga aur FIR jakar aap ko dekhna Hoga Ki Kis Tarah Se aap ek Sahi strategy Banakar ka kam Karte Hain
    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: RSI indicator se market analyse kren....

    Relative Strength Index (RSI)


    RSI indicator kisi khas value ki technical strength ya weakness ko malom karne k leye istemal kia jata hai. Relative Strength Index (RSI) indicator ko J. Welles Wilder ne design kia hai jo k basically aik oscillator hai. RSI aik technical movement indicator k tawar par bhi kaam karta hai, jab over-bought ya over-sold soratehal me kisi security ki haleya (recent) profit ko us ki haleya nuqsan k sath muwazena (compare) karane ki koshash karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (311).jpeg
Views:	42
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12415536

    RSI indicator ko trader ya analyst k trading, pasand ya analysis k mutabiq kisi bhi timeframe me tarjeehi base par kisi bhi dino k number me calculate kia ja sakta hai. RSI indicator me sab se ziada istemal hone wala aur jo by-default setting bhi hai wo 14-days ka simple moving a verage hai. Baaz short term traders apne analysis k leye 5-day, 7-day aur 9-day ka RSI bhi istemal karte hen. RSI indicator ka istemal karne wale traders ko is baat ka ilam zaror hona chaheye k jab bhi market me qeematen bohut ziada upward ya downward ati hai to us waqat qeematen is indicator ko mutasir karti hai, jis se ye indicator false buy ya sell k signals genrate karta hai. RSI k natayej ko behtar banane k leye is ko dosre bare stock indicators k sath istemal kia ja sakta hai.
    RSI oscillator k tawar par qeematon ki raftaar (momentum) ko follow karne k leye design kia gaya hai, jis ki range 0 se 100 k darmeyan hoti hai. RSI indicator me divergence ka istemal kia jata hai.
    RSI indicator chaar (four) qisam k trading signal deta hai; divergences, charting patterns, RSI levels aur overbought / oversold.

    (i) Divergences

    Click image for larger version

Name:	images (314).jpeg
Views:	9
Size:	46.9 کلوبائٹ
ID:	12415537

    Bullish Divergences Give Buy Signals

    Bullish divergence us waqat hota hai, jab qeematen aik neye (new) nechli level tak ger (fall) jati hai lekin RSI apni pechli kami k muqabele me kam nechay level par ata hai.

    Trading ka osool:

    Jaise hi RSI apne dosre low position se uper ata hai, to yahan pe buy ki entry karen aur latest low price k nechay stop loss laga den.

    Bearish Divergences Give Sell Signals

    Bearish divergence us waqat hota hai, jab qeematen aik new up position pe chali jati hai lekin RSI indicator apne pechle high k muqabele me kam upward jata hai.

    Trading ka Osool:

    Jaise hi RSI dosre high position se low ata hai, to yahan pe sell ki entry karen, latest high price k uper stop loss ki position set karen.

    (ii) Charting Pattern
    1. Jab RSI indicator apne down trend line ko break karta hai, to uper ki qeemat ki trend line se uper buy ki entry karen, takeh aik upward breakout ko pakra ja sake.
    2. Jab RSI indicator apne uptrend line ko break karta hai, to nechay ki qeemat ki trend line se nechay sell ka order put karen, isi tarah se downward breakdown ko pakra ja sakta hai.


    (iii) RSI Levels
    1. Jab bhi RSI indicator apne lower reference line se nechay chali jati hai aur baad me wapis bullish move karna shoro ho jaye, to yahan pe buy ki entry karen.
    2. Jab bhi RSI apne upper reference line se above chali aur baad me wapis nechay a jaye to yahan pe sell ki trade open karen.


    (iv) Overbought / Oversold

    Wese to RSI indicator me traders ya analyst apni marzi k mutabiq levels ki setting kar sakta hai, lekin is me jo by-default setting howe hen wo hai, 30 se 70 k darmeyan. RSI k 30 se below area ko overbought zone jab k 70 se above area ko oversold zone kaha jata hai.
    • Aam tawar par agar RSI 25 pe gerne k baad 30 se uper barhta hai, to is ko bullish reversal ya bullish trend tasawar kia jayega.
    • Is k bar-aks agar RSI 80-90 pe jane k baad 70 level se nechay a jata hai to ye humen bearish reversal ya bearish trend k bare me batata hai.

    Kuch traders market ki qeematon k pehle long term ki trend malom karne k baad hi entry karte hen. RSI ka istemal dosre indicator k sath karna ziada faida mand sabit ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (313).jpeg
Views:	7
Size:	20.4 کلوبائٹ
ID:	12415538
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: RSI indicator se market analyse kren....

      Asslam.u.Aliakum dear members umeed hai ap sab theek hon gy dosto aj ka hmar topic hy Relative Strength Index indicator k bare main dear members ye boht important indicator hai agr ap achi trading krna chahte ho to isko use kro iske bary main ap se kuch information share krta hn.

      "Relative Strength Index (RSI)" ?

      Trading chart main relative strength Index ik technical indicator hy is sy apko market main achi information milti hain market ki movement ky bary main . ye aik technical Indicator hy jis sy ap market main overbought aur oversold k bary main achy tareqy sy btata hy. Is Indicator ka istemal bahot he asan hy aur hum asani sy market ko dekh sakty hain. Relative Strength Index (RSI) main jab downtrend hota hy aur market down ho rahe hotibhy isi tarha apko market main ye Indicator oversold k level pr indicate karta hy. Oversold aur overbought par ap is main trade kar sakty hain.

      Dear member jaisy he Rsi line ko price chart per ploted kiya jata hai tu ham dakhty hain k jaisy he Rsi rise hota hai number and size ka positive closes increase hoti hai or is ka jab fall hota hai tab number or size loses increase hota hai es ky second part ki calculation ka jo result hota hai woh near hota hai 100 to 0 strongly trending market mai Jaise he ap Rsi chart ko above dakhty hain tu indicator overbought condition mai nazar ata hai or uptrend mai stay karta hai agar trend oversold condition mai hai tu es ka trend bhi downtrend hota hai es mai jo hamary new analyst hoty hain woh kafi ziada confuse ho jaty hain lakin es ki learning karny ky bad un ki confusion door ho jati hai.
      Click image for larger version

Name:	images (25).jpeg
Views:	42
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12415615

      Description of (RSI) :

      Dear jab Rsi 30 level ko cross karta hai horizantal to ye us ka bullish sign hota hai or agar ye below the 70 level than ye bearish sign hota hai ham es ko dosry tariqy sy is trha dakhty hain k agar es ki value 70 or above hai tu ye overbought ya overvalued and ho sakta hai k ye reversal trend ya price ko pullback kar rha ho agar ye value 30 ya below ho tu ye oversold or undervalued condition mai hai.
      Click image for larger version

Name:	images (22).jpeg
Views:	7
Size:	41.9 کلوبائٹ
ID:	12415616

      How To Trading With (RSI) Indicator.

      Overbought

      dear jab bhe market uptrend main movement karti hy to is main ap dekhty hain k RSI 70 k level par ponch jata hy to is situation ko overbought kaha jata hy. Aur is main aap sell ke trade laga sakty hain , Ye sell ke trade ka indication hota hy. RSI k overbought hony par ap candlesticks ko dekh sakty hain aur usk indication par ap trade kar sakty hain. overbought level per market main Buy nahin lena chahy.

      Oversold

      dear jab market downtrend main movement karti hy to ap is main dekhty hain k RSI main apk pass 30 ka level hota hy is main oversold ka indication hota hy. Jab market 30 k level par jati hy to apko market main buy ke opportunity milti hy jis sy ap asani sy trade kar sakty hain. Ye indicator apko market k kisi bhe achy level sy oversold ke indication deta hy jis sy ap market k trend reversal ko dekh sakty hain aur buy ke trade laga sakty hain . Oversold se nechy hamin selling nahin karna chahy.

      Click image for larger version

Name:	images (23).jpeg
Views:	7
Size:	37.1 کلوبائٹ
ID:	12415617

      اب آن لائن

      Working...
      X