Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar
    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern


    Bullish harami cross candlestick pattern price chart par do candles se mel kar bana hai, jo k bullish trend reversal k leye istemal hote hen. Pattern ki 1st candle aik black candle hoti hai, jab k 2nd candle aik doji candle hoti hai. Bullish harami cross candlestick pattern price chart k bottom ya bearish trend me bullish trend reversal k kaam karta hai, jis ki 2nd candle doji 1st black candle ki real body me hai.

    Click image for larger version

Name:	images (156).png
Views:	2
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12528721

    Pattern ki Pehchan k Rules

    [LIST=1][*]Bullish harami cross candlestick pattern aik bullish trend reversal hone ki waja se qeematon ka pehle se bearish trend ya low price area me hona chaheye. [*]Pattern ki 1st candle aik black candle hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai. [*]Pattern ki 2nd candle aik doji candle hoti hai, jo k trend reversal ka kaam karti hai. [*]Pattern ki 2nd candle ka high aur low 1st candle k open aur close se size me kam hoti hai. [*]Pattern ki 2nd doji candle 1st black candle k inside open aur close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (157).png
Views:	9
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12528720

    Pattern ki Tafseel


    Bullish harami cross candlestick pattern aik aisa pattern hai, jo prices ko down-trend se higher side par tabdeel karti hai, jab bhi qeematen low area me trade kar rahi hoti hai. Pattern do candles se mel kar bana hai, jis me 1st candle aik real body wali black candle hoti hai, jab k 2nd candle aik doji candle hoti hai, jo k 1st candle k real body k inside low aur high banati hai. Pattern ki 1st candle real body me hoti hai, jab k 2nd candle lazmi doji candle hona chaheye, jis ka open aur close same point par hona chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (155).png
Views:	24
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12528719

    Pattern par Trading ka Amal


    Bullish harami cross candlestick pattern ki 2nd candle 1st candle k andar banti hai, yanni is ka high aur low dono 1st candle k inside me hoti hai, jis se ziada tar trend reversal hota hai. Pattern par sell ki entry ki ja sakti hai, jo k aik 3rd white confirmation candle k baad ho sakti hai. 3rd white candle ka real body me hona aham hai, jo k 2nd doji candle k nechay band honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (115).jpeg
Views:	3
Size:	20.1 کلوبائٹ
ID:	12528718
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar

    Bullish Harami Cross Pattern Kia Hai?

    Bullish harami cross pattern k naam se zahir hai, k iss pattern k baad prices mumkina tawar par bullish trend ikhteyar kar lengi. Ye pattern aik bearish ya low prices main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss ka close price open se kam hoti hai. Ye candle aik real body main banti hai, jo k black ya red color main hoti hai. Low prices main banne wali ye candle bearish trend ki akasi karti hai. Bullish harami cross candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai. Ye candle aik doji star candle hoti hai, jiss ka high aur low same length ka hota hai. Ye candle prices ko mazeed bearish janne se rokti hai, jo k bagher color ya kisi pattern ki hoti hai. Price chart par jab bhi aik bearish trend k dowran ya low prices main bearish real body main aik doji candle ban jaye, jo k prices k leye bullish trend reversal ka sabab ban jaye to ye pattern bullish harami cross pattern ban jata hai. Bullish harami cross pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle bantti hai, jab k baad main aik doji candle hoti hai, jo k bearish candle k k real body k mid main banti hai. Ye candle ziada tar doji star candle hoti hai, jiss main open aur close aik jaise honne k sath sath high aur low bhi same hote hen. Bullish harami cross pattern prices k top par banne wale pattern bearish harami ka opposite hota hai, jo k prices k leye bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (159).png
Views:	1
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12392634

    Bullish Harami Cross Pattern Kaam Kese Karta Hai?


    Bullish harami cross candlestick pattern prices chart par bearish harami ya Homing pigeon pattern ki tarah dekhta hai, lekin dosri candle mukhtalif hoti hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss k prices ka open aur close din k ikhtetam par same point par hota hai. Ye candle aik star doji candle hoti hai, jiss main prices ka high uss k low k barabar hota hai. Yanni candle k open aur close point se upper aur lower sides ka shadow same length main hota hai. Ye pattern prices bullish trend reversal main tabdeel karta hai. Pattern ki doji candle bearish candle ki real body main ipen aur close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (158).png
Views:	11
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12392633

    Bullish Harami Cross Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Bullish harami cross candlestick pattern par trading karne se pehle iss ki price chart par position dekh len, jo k bearish trend ya low price area hona chaheye. Ye pattern market main buyers k leye strong buy signals genrate karta hai, lekin uss par entry karne k leye trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo aik strong bullish candle honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI aur stochastic oscillator se bhi madad li ja sakti hai, jo k over-sold zone main hona chaheye. Lekin pattern k baad bearish candle bann se ye pattern khatam tasawar hota hai, jab doji candle banne se agli bullish candle ka intezar karna chaheye. Stop loss pattern k sab se lower point par ya bearish candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (116).jpeg
Views:	15
Size:	18.4 کلوبائٹ
ID:	12392632
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Bullish Harami Cross Pattern


      Bullish harami cross pattern do candles par mushtamil two days ka aik bullish trend reversal pattern jo k price chart k bottom ya bearish trend main banta hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k size main bohut bari hoti hai. Ye candle price chart par current bearish trend ki mazboti batati hai, jiss se prices nechay ki taraf move karte hen. Pehli candle k baad banne wali dosri candle aik doji candle banti hai, jo ziada tar aik doji star candle hoti hai. Bearish trend aur prices k downside par banne ki waja se ye pattern bullish trend reversal pattern ban jata hai. Pattern main pehli candle to long size ki hoti hai, jab k dosri candle doji candle hone k sath sath pehli candle k real body main banti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (103).png
Views:	15
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12392638

      Candles Formation


      Bullish harami cross candlestick pattern prices k bottom ya lower prices par high demand ki waja se banta hai, jahan par do candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki dono candles strong real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

      Click image for larger version

Name:	images (2) (102).png
Views:	11
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12392637

      1. First Candle: Bullish harami cross candlestick pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko lower side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se lower side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

      2. Second Candle: Bullish harami cross candlestick pattern ki dosri candle bagher real body wali doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai. Ye candle pehli candle k real body main open aur close hoti hai. Dosri doji candle market main current bearish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bullish trend reversal hota hai.

      Explaination


      Bullish harami cross pattern main pehli candle strong bearish trend k hone k bawajood bhi ye pattern prices chart par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern dekhne main same bullish harami pattern jaisa dekhta hai lekin dosri candle doji candle hoti hai, jab k bearish harami pattern main ye candle small bullish candle hoti hai. Pattern ki pehle din ki candle aik long real body bearish candle hoti hai, jis ko dosre din ki bagher real body wali doji candle follow karti hai. Doji candle ki open aur close dono pehli candle k andar hoti hai, ye candle bearish trend ko khatam karke new pattern k aghaz ka sabab banti hai. Ye pattern price chart k bottom ya bearish trend main banne ki waja se prices ko teezi k sath trend badalne par majboor karti hai.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220513_234055.jpg
Views:	1
Size:	65.2 کلوبائٹ
ID:	12392636

      Trading


      Bullish harami cross pattern ka shumar trend reversal pattern main hota hai, jiss ka aghaz aik bearish long real body wali candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo bagher real body k hone ki waja se ye pattern bearish trend ko khatam karti hai. Pattern k dosre din k candle k complete hone k baad market main teesri bullish candle ka intezar karna chaheye, jiss k baad market main buy ki trade se entry ho sakti hai. Bagher trend confirmation k pattern ziadda tar neutral tasawar keye jate hen. Trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se low point jo k pehli candle ka close point hai, par set karen.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220513_234356.jpg
Views:	1
Size:	40.7 کلوبائٹ
ID:	12392635

      اب آن لائن

      Working...
      X