Exotic currency pairs kia hote hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Exotic currency pairs kia hote hai?
    Exotic currency pairs wo hote hai jin main major currency matlab EUR, USD, GBP, JPY, AUD ke sath kisi developing economy wale mulk, maslan South Africa ya Brazil ki currency hoti hai. Exotic pairs main ziyadatar log trading nhi karte aur in ka spread bhi ziyada hota hai. Ap logo ke sath kuch Exotic currency pairs share kar raha ho:1.. EUR/TRY Euro/Turkish lira2.. USD/HKD US dollar/Hong Kong dollar3.. JPY/NOK Japanese yen/Norwegian krone4.. NZD/SGD New Zealand dollar/Singapore dollar5.. GBP/ZAR British pound/South African rand6.. AUD/MXN Australian dollar/Mexican peso
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Exotic currency pairs kia hote hai?

    Exotic Currency pair woh pairs hain jo major currency ki base pay chalty hain . jaisy ab USD ko lay lay . es time sub se power full currency k toor pay es ko daikha jata hai woh un countries k sath attach hota hai jin k dollar ki kadro qeemat mai jab izafa hota hai tu un mumalik pay asar andaz hota hai kuch currency pair jo exotic hai woh mai ap ko bata daita ho. USD/DKK , USD/ZAR . in pair ka koi khas meil nahi hai tu es waja se in mai trading ap ko bhout kaam daikny ko mily gi esleye k dunu es mai major currency jo hogi us ki value hogi lekin dosri ki value kam hogi.
    • #3 Collapse

      Re: Exotic currency pairs kia hote hai?

      Aksar log exotic pairs main trade karna pasand nhi karte qk in pairs ka spread buhat ziyada hota hai aur in pairs mein buhat hi kam trading activity ki wajha se bhi trading karna mushkil hota hai. Per agar ap ke pas ek achi strategy hai aur samajh hai to ap in pairs mein long trem trading kar sakte hai jo ke buhat hi faidemand sabit ho sakti hai.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Exotic currency pairs kia hote hai?

        Jo major currencies pair jo kay highly developed countries kay hoty hain like eur, usd, gbp,cad,aud etc es ka alawa jo normal countries hoti hai un ki currency ka jo pair usd kay sath banta hai us ko exotic pairs kaha jata hai. in ko aksar log nahi chose karty hain trading kay leye. aik tu in mai spread zaida hota hai or some time in ki movement itni hairan kar daiti hai kay trader pareshan ho jata hai.esleye in dunu mai sy ap ager major pair chose karty hain tu woh zaida faida mand hai.

        اب آن لائن

        Working...
        X