Dimag ko tez karne ke liye hobbies!
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Dimag ko tez karne ke liye hobbies!
    Hobbies na srf stress ko kam karne mein madad deti hai balke kuch esi hobbies bhi hai jin ko apna ne se insan ka dimag bhi tez hota hai. To dosto ap ke khayal se wo konse shok hai jin ko apna ne se hamara dimag phly se tez kam karne lagta hai?

    Click image for larger version

Name:	a.png
Views:	1
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12462728
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Oriana پيغام ديکھيے
    Hobbies na srf stress ko kam karne mein madad deti hai balke kuch esi hobbies bhi hai jin ko apna ne se insan ka dimag bhi tez hota hai. To dosto ap ke khayal se wo konse shok hai jin ko apna ne se hamara dimag phly se tez kam karne lagta hai?

    [ATTACH=CONFIG]7102[/ATTACH]
    Apne bilkul durust bat ki hai, hume esi hobbies ko apna na chahiye jin se na srf hamara farig time acha guzre balke hamari jismani aur dimagi sehat bhi achi rahe. Mere khayal se chess aur puzzle game khelne se hamara dimag tez hota hai to hume in games ko apni daily routine main zarur apnana chahiye.
     
    • #3 Collapse

      Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

      اصل پيغام ارسال کردہ از: qaiserabbas786
      Aslam o alikoum dear aap nay teak kaha hai dimagh koo teaz krnay kay laiy achi thinking ke zarorat hoti hai bori soch say mind kharab hota hai best bookx say knowledge main izafa hota hai koi new chaz parhan say ilam main bhi izafa hota hai
      Ap ne durust kaha, achi soch rakhna dimagi sukon ke liye buhat zaruri hai, aur buhat sari hobbies hai jin ko apnane se insan ka dimag fresh aur pusukon rahta hai. Like meditation ko agar hum daily rotine ka hisa bana le to hamara buhat sara stress kam ho jae ga, aur hamara dimag ache se sukon se kam kare ge.
         
      • #4 Collapse

        Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

        my dears friends
        umeed ha kay app sab thk ho gay ji app ka question thk ha ma app ko is kay bary ma btata ho kay hooby who hi best ha jo app ko earning bi day sath hi app ko learning ko bi increas kary or sath hi app ko physically or mentally bi sahi raky or is kay lyia jo hobby best ha ma app ko is kay bary ma explain karta ho
        1: READING
        ji ya sab say best hobby ah kyu kay agar app is ko use karty ah to app apni learning ko increase kar sakty ha sath hi app ka knowledge ko bi best karty ha or book who hi read kary jo app ko achy learning karny ma madad day
        • #5 Collapse

          Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

          Asalam o Alikum dear friends and dear members umeed ha kay ap sab theek hon gay jesa kay ham sab janty han kay Aj kal bahut sari asi cheezy han jin ko ham asani say use karty han dear hamaray pass bahut sari asi hobby hoti han jin ko istamal main la kay ham apna dimag ko teez bana sakteey han dear ak shook ha books reading ka hamary pass bahut ziadfa knowledge ata ha books ko reade karna is say hammy bahut khuch new or old bhi sath main seekhny ko milta ha ham is ko jitna achy say seekhy gay is ko utna he achy say shear kar sakeey gay booj reading say hamara mind bahut he ziada increase hota ha hamary pass asea knowledge a jata ha jis kay bary main ham nay kabhi bhi kahi say bhi nai suna hota ha dear hammy books ko reade karna zaroor cheyeey
          • #6 Collapse

            Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

            g bhai jan agr gakha jay markit ma hamy damad ka zyada istmal karna parta ha agr ham is ko taz karna chahta han to hamy es sa aik achi kamyabi bi mil jati ha markit ma kam karna ha to hamy damag ka taz huna zarori ha q ka jitna zyada damag hamra taz hu ga ham otna zyada es ma aik acha kam kar sakta han es ma hamy exersies aik asa hooby ha jis ka agr hamy shok huta ha es sa hamra damag bohat zyada taz hu jata ha ham reading kar ka bi aik acha acha damag ko taz kar sakat han reading karna sa hamy bohat zytada knowldge hasl huta ha jo hamra damag ka kam krna ko bohat zyada taz kar data ha or es ka sath ham apna damag ka realax karna bi bohat zyada zarori ha jis sa ham bohat zyada traki kar sakta han
            • #7 Collapse

              Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

              G han esi bahot si hobbies be hoti hey jes ki waja se ham apny mind ko fresh aur teez rakny me kamyab ho sakty hey ye shook ye ho sakty hey,

              1. Puzzle games: Jetny be puzzle games hoty hey es ki waja se ham apny demagh ko fresh aur teez rak sakty hey, (luddo, shatranj) ya per mobile me jetny puzzle games hoty hey agar es ko kehlna ham apni hobby bana len to mery khayal me ye hamary demagh ko bahot fresh hony key sath teez be rak sakta hay,

              2. Driving: agar long drive ka shook ho to esy afraad key demagh par bahot hi acha effect pard sakta hay driving ki waja se na siraf mind fresh ho sakta hay esy afrad ko apna shook be pora karny ka muqa mil jata hay,

              3. shikar ka shook: Shikar ka shook be esa hi hay key es se mind bahot se confusions se nikal sakta hay agar ham month me 1 bar be hunting ka program bana leya karen to ye hamary mind ko fresh rakny key ley kafi ho sakta hay,

              har time kam karny ka be nuqsan hota hay esi hobbies banny ki koshish karni chaye jo key hamary health ko be faida den aur hamary mind ko be fresh rak saken, esi har hobby hi hamary ley important hoti hay es me time to zaror zaya ho sakta hay magar es key fawayeed be hahot zeyada hoty hey, jen afraad ki koi hobby hi nahi hoti hay esy afrad hi demaghi mareez ban sakty hey aur un ki health be kharab ho sakti hay.
              • #8 Collapse

                Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

                Hobby aik asi cheez hai jo isaan ko depression say door rakhti hai na sirf ya kai hobby depression say door rakhti hai ais kai saath saath achi hobbies insan kai mind ko sharp bi banati han. HObbies mein Mind ko sharp karnay kai liya hum different games play kar saktay han jasay kai asi games jo mind ko sharp karay in games mein different puzzle games ais kai saath saath chess ya phir ludo in jasi games play karni chaie ais kai saath saath humay maths kai different problems ko bi solve karna chaei maths kai humay algebric questions solve karnay chaie in quetions ko solve karnay say mind bhoat sharp hota hai humay chaie kai in questions ko solve karna apni hobby mein add karay ais say humay bhoat faida ho ga.
                • #9 Collapse

                  Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

                  Dear friend dimg ko fresh krna bahut assan hy is ky liy humen doston ka sath games yani k cricket football hockey lodo khyl salty hyn his dimag fresh ho jata hy aur agr hum pubgi ki bt kryn tu is sy bhi dimag fresh hota hy magr pubgi zida nhn khelni chahey kewn ka is ko ziada kheylny sy bura assar hota hy
                  • #10 Collapse

                    Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: Oriana پيغام ديکھيے
                    Hobbies na srf stress ko kam karne mein madad deti hai balke kuch esi hobbies bhi hai jin ko apna ne se insan ka dimag bhi tez hota hai. To dosto ap ke khayal se wo konse shok hai jin ko apna ne se hamara dimag phly se tez kam karne lagta hai?

                    Mere khayal se to dimag ko sharp rakhne ke liye do best games/activities hai, aur wo hai Chess aur puzzle game. In dono games khelne ke liye full concentration ki zarurat parti hai aur ye games ap ke dimag ko tez aur sharp karne mein madad deti hai.
                    • #11 Collapse

                      Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

                      Spending time on an activity that you enjoy can improve your mental health and wellbeing.Research shows that people with hobbies are less likely to suffer from stress,low mood and depression.Activities that get you out and about can make you feel happier and more relaxed.
                      • #12 Collapse

                        Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

                        Aaj ka Hamara Jo topic Hai vah yah hai ki Ham Apne dimag ko kaise Tej Karen....

                        Dear friends Hamen chahie Agar Hum Khud Ko active Rakhna chahte hain aur apne dimag ko active Rakhna chahte hain aap Chahte Hain Ki aapka mind Har Waqt fresh ho aur aapko Har ek baat Hamesha Yad Rahe to uske liye aapko books ke sath attachment rakhni Hogi Kyunki books Hamen bahut jyada informations deti Hain hamari ek hobbies honi chahie aur vah 20 honi chahie Book Study book reading Ek Aisi Ho 20 hoti hai jo ki Hamen Har Waqt informations deti rahti hai Hamen informations Hasil karne ke liye books ke sath attachment rakhni Zaruri hoti hai
                        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                        • #13 Collapse

                          Re: Dimag ko tez karne ke liye hobbies!

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: Sajidrana پيغام ديکھيے
                          Aaj ka Hamara Jo topic Hai vah yah hai ki Ham Apne dimag ko kaise Tej Karen....

                          Dear friends Hamen chahie Agar Hum Khud Ko active Rakhna chahte hain aur apne dimag ko active Rakhna chahte hain aap Chahte Hain Ki aapka mind Har Waqt fresh ho aur aapko Har ek baat Hamesha Yad Rahe to uske liye aapko books ke sath attachment rakhni Hogi Kyunki books Hamen bahut jyada informations deti Hain hamari ek hobbies honi chahie aur vah 20 honi chahie Book Study book reading Ek Aisi Ho 20 hoti hai jo ki Hamen Har Waqt informations deti rahti hai Hamen informations Hasil karne ke liye books ke sath attachment rakhni Zaruri hoti hai
                          Sahi bat hai bhai, book reading kafi achi hobby hai jis ke zariye hum apne dimag ko active rakh sakte hai. Hamesha achi aur informative books read karni chahiye jis se ap ke dimag ko active rakhne ke sath sath ap ko malomat bhi farham ho sake.
                           

                          اب آن لائن

                          Working...
                          X