Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.
    Kafi saray traders forex trading ke learning karny ke liye books per b depend karty hain. Aur kafi tadad mai log English mai bohot ziada mharat nai rakhty hain. Jis ke waja say learning karna thora mushkil b ho jata hai .
    Abhi tak mai nay khud tu iss trah ke aik b book nai daikhe hai jis ke madad say forex trading ke learning karny mai help mil sakti ho aur jo log English nai samjhty hain woh b forex trading ke learning kar sakin. App senior members aur regular traders say maire question yeh tha ke kiya Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain ? ager available hon tu phir in books kay naam zaroor share karin takay new traders ka b faida ho saky.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

    Dear, books ka to nahi pata k urdu main available hain ya nahi. Lakin play store say kuch urdu main software mil jatey hain jin ko parhnay k baad kuch na kuch idea ho jata ha forex trading k barey.
    Maine bhi AAJ tak koi book waghera nahi parhi. Books english main to mera khayal ha available hain lakin urdu main complete book Milne mushkil ha shayad.
    Maine kabhi search nahi ki is tarah ki book kiun har topic ka answer forum pe mil jata ha. Phir bhi possible ha k net pe available ho nhi to markeet main apko lazmi mil jae gi.
    Lakin phir bhi book achi cheez ha ,parhnay ma bhi easy rehti ha or achay writers ki books definitely apko faida dein gi.
    Last edited by ; 15-04-2019, 03:58 PM.
    • #3 Collapse

      Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

      Agar ap forex trading ka knowledge hasil karna chahty hain to internet ap kay pas ek behtareen source hay.Yahan par forex kay mutaliq articles bhi likhy hoty hain aur video lectures bhi hoty hain.Internet ky ooper pak forex forum jaisy aur bhi hazaron forums hoty hain jin par tarders say discussion kar kay forex kay bary main learning ke ja sakti hay. Books bhi har tarha ke available hoti hain. Dunya ke taqreeban tamam bari aur mashhoor zubanon main forex ke books bhi available hain. Urdu main bhi forex trading ke books yaqeenan available hon ge magar un ko search karny kay liye thori boht mehnat to darkar ho ge. margar ap unhen talash kar kay download kar sakty hain.
      • #4 Collapse

        Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

        jahan tak urdu ma forex ki books ka taluq ha os k to mujhay theek tarah se ni pata ha lakin internet pe ap ko bohat sari websites mil jaye gi jin ma kafi forex ka mawad urdu ma hota ha os se bhi ap guideline lay saktay hian aur phr ap play store pe ja k kafi mawad forex k urdu ma books bhi mil jati hain aur sab se ziadah youtube pe ap ko urdu ma videos mil jaye gi jin ko ap ko forex ki training mil jaye gi
        Books name in Urdu:
        == Forex trading Urdu book by Muhammad Kashif akram
        == Forex trading ab urdu zaban ma seekhye by Saeed khan
        == Trade Guide in Urdu
        ap in kitabon se madad lay saktay hian yeh kafi ashi books hain jin ma forex ko urdu language ma kafi detail se smajhaya gia ha is lye ap in ko download bhi kar saktay hian
        • #5 Collapse

          Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

          forex trading business ki leraning k liye boht kuj urdu languge main hmary pass mojod hai or hmari search se sub kuj possoble ho skta hai jesa k hum net se har trha ki trading leraning kar skty hain or jis zuban main chahty hain hmain mil jati hai es k ilwa aghr hum urdu book ki bat karen tu forex traning ki aik book hai jis ko E book kahty hain wo bhi apko urdu main mil jati hai jis se ap asani se trading ki leraning kar lety hain wahan apko es business ki basic histry k sath sath boht sara knowledge bhi milta hai q k whan market ko kafi detail se explain kiya gya hai jis main apko har sesson ki detail bhi asani se mil jati hai jis ko ap read kar k har sesson ko ba asani smhj skty hain or osko apni trdaing main folow kar skty hain
          • #6 Collapse

            Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

            اصل پيغام ارسال کردہ از: b2b پيغام ديکھيے
            Kafi saray traders forex trading ke learning karny ke liye books per b depend karty hain. Aur kafi tadad mai log English mai bohot ziada mharat nai rakhty hain. Jis ke waja say learning karna thora mushkil b ho jata hai .
            Abhi tak mai nay khud tu iss trah ke aik b book nai daikhe hai jis ke madad say forex trading ke learning karny mai help mil sakti ho aur jo log English nai samjhty hain woh b forex trading ke learning kar sakin. App senior members aur regular traders say maire question yeh tha ke kiya Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain ? ager available hon tu phir in books kay naam zaroor share karin takay new traders ka b faida ho saky.
            Assalamualaikum ji bilkul bhai Mujhe is baare mein koi Khaas maloomat nahin hai ki Forex trading ko sikhane ke liye Urdu language mein bhi books available hai ya nahin lekin jahan tak mujhe lagta hai ki obviously Urdu mein bhi books available hongi Jaisa ke aap Jante Hain Ki Forex 1 international business hai aur international business Jani ke Puri Duniya Mein different languages boli Jati Hain Tu Jahan Tak Mujhe Lagta Hai Jab Puri Duniya Se log Forex main business Karte Hain To Unhe samajhne ke liye Bhi unhi ki language mein books print Karne padti hain isliye mujhe lagta hai ki Urdu language mein bhi books available hongi so that Urdu samajhne wale log Urdu language ki books ke through Forex trading ko samajh aur Shiksha ke Shukriya
            • #7 Collapse

              Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

              Asalam o alikum friend ap ny both acha question kea ha forex trading k bary main abi tak koi khas book available ni ha shad dosry country main available hon par Pakistan main available ni ha han internet sy AP ko forex trading k knowledge k bary main both kuch mil jata ha jo beginner k ley learning k ley kafi han is ley dear jo bi new traders han uny chae ha internet sy learning karny baqi demo account main practice karny is sy AP ko forex market ko samjny main help ho ge currencies pair ki movement ki samj aay ge jo ap ko real account main help Kary ge is ley knowledge internet sy hasil Karny or experience demo account sy jtni practice karny gy utny successful hon gy forex trading best online business ha is ko learning k bagar kabi na karny loss ho jay ga
              • #8 Collapse

                Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                Ji bhai jan aj men ap ki post reed karnay kay bad meray mind main ayia k post main bhai sahib nay jo sawal kia hay k Forex trading kay learning kay liay urdu main bhi books han? is baray main internet say search kar kay to dekhoon ka waqia hi books han ya nahen to is maqsad kay liay main nay google pay ja kar Forex trading learning books in urdu type kia to bohat saray results show howay lekin jab main nay in ko open kia to un main say kisi aik main bhi koi Forex kay baray main urdu main book na thi agar kuch mawad urdu main tha to woh siraf aor siraf 8 ya 10 pages par tha ziada tar English main hi books thi to bhai jan aisa mumkin to nahen k aik maqbool business jo poori world kay sath sath Pakistan main bhi kafi shuhrat rakhta hay aor bohat saray log forex join kar chukay han us baray main kio Urdu main book na ho kisi bhai nay to apnay pakistani bhaion kay liay urdu main forex ki book zaror likhi ho gi lakin aisi books market main thori mushkil mlti han.
                • #9 Collapse

                  Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                  Forex trading ki learning kay liye forex ki kuch books urdu main majood hain. lakin aisi boht c books hain jo kay abi english main hain aur trader ko wo english main hi reah kerna perti hain. forex ki kuch basic books jo kay trader nay khud apni madad ap kay teht urdu main convert ki hain aur kuch wo trader jo kay online courses chala rahay hain uno nay apnay student ka liye urdu ya hindi mian kuch basic mawad ko urdu ya hindi main convert kia hay. jis say basic forex ka ilam seekha ja sakta hay. lakin abhi bhi aur boht sa knowledge hay jo kay trader ko advance trading seekhnay kay liye hasil kerna hay.
                  aur yeah sara knowledge abhi english main hi hay.
                  • #10 Collapse

                    Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                    bhai forex trading ki leraning k liye urdu main books ja tu mujhy ilm nahi hai laken aik E BOOK hai jis ko hum paly stor se upload kar k osko reda kar skty hain ayuse humain trdaing se related or bhi books mil jati hain play stro se jis se hum redaing kar skty hain tu es k ilwa hmary apss internet ka option best hai jis main hum har trah ki tdaing leraning kar skty hain or ap es main trading ko urdu or english languge k ilwa har languge main mil skti hain trdaing ki leraning k liye aghr hum hard work karen or search karen tu hmain boht se resources mil skty hain or yah hum par depen dhota hai k hum kahan se apni trdaing ability or knowledge kko hasil karty hain
                    • #11 Collapse

                      Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                      Forex ki knowledge k liye books ka to pta nai hai.lekin mairay khayal main is k liye hamain market k otar charhao ko study krna chaiye.kyn yahan aap ko market ki live state pta chalti rehti hai.is k sath sath forum k senior members k sath discussion k zariye un k experience se bhi kafi kuch seekh sakhtay hain.books k zariye seekhna kafi mushkil hoga kisi bhi naye user k liye.kyn k kafi users ko english samjhnay main bhi dushwari hogi.urdu main koi books hain to senior members se request hai k un k nam btaen plz.
                      • #12 Collapse

                        Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                        forex trading k knowledge k liye urdu main apko boht sara materail mil jta hai jis main sub se pahly tu boht se books apps hain jis se ap trdaing ko read kar k sikh skty hain os k bad apko google par har trha ki information mil jati hai according tu trading business ap wahan se bhe boht kuj sikh skty hain es liye forex ko read karny or sikhny k liye hmary apss sources boht hoty hain laken hum os ka kitna use karty hain yah hmary hard work par depend hota hai q k forex trading business ka kowledge boht waseh hai jis k liye hmain boht sara time lag jta hai aghr tu hum yah sochen k hum aik din yah kuj din main he learning complete kar skty hain tu yah galat hota hai aysa kuj nahi hai apko boht arsa chahye hota hai forex ko mukamal smjhny or sikhny k liye
                        • #13 Collapse

                          Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                          yes dear forex ek international work ha or world wide work ha is liye is mein india mein bhe or urdu country jahan hein sabhi jga is mein bohat he tadad mein log work kar rhy hein is liye pakistan mein bohat sari websites hein jin mein urdu mein sari details or books available hein jin say ap is mein achi learning hasil kar sakty hein or jesy kay forum bhe urdu mein posting hoti ha is liye is mein bhe ap urdu mein hassil kar sakty hein is liye urdu mein bhe posting ap ko faida mand sabit hogi kiyon kay urdu mein ap acha learn kar sakty hein is liye urdu forex trading books bhe easily market mein available hein
                          • #14 Collapse

                            Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                            forex ko learn karny ky liye book urdu mai be available hain hum is internet py babypips py learning hasial kar sakty hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain hum is mai amount invest kar ky be acha profit gain kar sakty hain forex mai hamy kabe be bager learning ky kam nahi karna chahey forex aik online or kabe be katam na hony wala business hain hum isy apna life time career be bana sakty hain agar hum is mai tukky laga kar kam kary gy to hamy loss ho jy ga or hamara sara paisa zaya ho jy ga is mai market ka ya brokers ka balm nahi ho ga
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Kiya forex trading ke learning kay liye Urdu mai b books available hain.

                              Bahut sari books Urdu mein available hai agar hum log in ko Internet se download karke tradingqna knowledge hassil kar sakte hain aur Pakistan Forex form baby Urdu mein Urdu mein Kafi knowledge disturb Hai Jahan Par Hum log Apne knowledge ko increase kar sakte hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X