AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?
    AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ? Main tu Nvidia lena chahon ga kyon kay main shuru say wohe istemal karta araha hon. Ap key kya raye hai is baray main ?

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

    اصل پيغام ارسال کردہ از: Eard1957 پيغام ديکھيے
    AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ? Main tu Nvidia lena chahon ga kyon kay main shuru say wohe istemal karta araha hon. Ap key kya raye hai is baray main ?

    merey khyal say gaming kay lea Nvidia ka GPU zeyda acha hai, lakin suna hai kay asus nay ab jo GPU nikala hai wo ap kay monitor kay sath adjustment kar leta hai, gaming karna aj kal kabhi mehnga shok hai jis kay lea sirf card nahen pura system acha hona chaye or ya sab takreeban aik lakh pakistani rs main ata hai.
    • #3 Collapse

      Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

      NVIDIA best hai isliye expensive b hotey hai........... AMD bahot heatup karta hai aur mining k liye best hai..... long term k liye NVIDIA best hai
      • #4 Collapse

        Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

        Nvidia Graphics card sub say best hain AMD say, is liye main NVIDIA hi preffer krun ga, aur last thing k is main 128 bit graphics card syb say achy hoty hain 64 bit ki proformance itni achi nahi hoti main prefer krta hun 128 bit jo PUBG aur GTAV games easy chala leta hai. Main yahi prefer krta hun
        • #5 Collapse

          Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

          Bahi humma kabhi bhi company ko buy nahi krna chahiye balka product ko buy krna chahiye amd ka graphic card kam price range ma dominant hota han aur nvidia top tier ma untouchable hota ha aur nvidia ka features bhi zyada hota han jase ka ab Rtx bhi nvidia ma he ha mughr dono companies he achi products produce krti han mughr apka ka usage pr depend krta ha
          • #6 Collapse

            Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

            Asalam o ALikum dear Friends and dear members umeed ha kay ap sab theek hon gay or ap kay ghar waly bhi theek hon gay jesa kay ham sab janty han kay aj kal computer ka door ha or science nay aj itni taraqi kar li ha kay hammy is kay istamal say kisi bhi failed main dhokaa nai kaha sakteey is main ham agar mehnat kar kay is science kay sath mil jayee to ham bhi is say achy benifits hasil kar sakteey han dear agar hamray pass time ha to ham game khail sakteey han agar ham games khailty han to ye hamary mind kay leye best ha games main ham apna mind setup banaty han or is main hammy bahut mehnat karni parti ha jitny kay leye is say hamara dimag bahut teaz hota ha agar ham games khilny kay leye navida card ko use karty han to ye long term kay leye hota ha or ye best hota ha
            • #7 Collapse

              Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

              my dears friends
              umeed ha kay app sab thk ho gay ji ab to card to bot hi old invention ban gayi ah kyu kay ab market ma asy asy mobile majoog ha jo TAM or memory kay hisab say bot hi perfect ha or ya card ki nisbat in ki memory bot zyida ha or log ab card kam hi laty ha or card kay khrab hony kay bi bot sary chance hoty ha or in sab ma best card jo ha who ADM hi ha kyu kay market ma is ko buy karty waqat hum ko is ki garnty bi milty ha or ya juldy khrab bi nai hoty ha
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: AMD ya Nvidia? kon sa card ap lena passand karain gayy gaming kay lea ?

                Salaam Dosto!
                Main ne AMD bhi use kiya or nvidia bhi use kiya hai. Mojhe to sab se ziada nvidia pasand aya hai qk is main game quality or Graphic bahut e zabardast hai joo kisi ko pasand bhi aata hai. PC main jab windows ka problem ata hai too ap ko windows installation karni parti hai installation karne bad ap ko driver bhi sat main dena parta hai. AMD ka driver jab karte hai AMD card model ke hisab se driver dena parta hai lekin nvidia main bahut e simple hai jab bhi driver karne pare too ap muskhkil ka samna nhi karna pare ga.
                Is ke GPU bhi zabardast hai joo koi pasand kare ga. nvidia main bahut automatic hojata hai GFX or netframe work har chiz k lihaz zabardast hai.
                Is main har binary hisab se milta hai jitna bara binary ho otna e bare budget mil jata hai or jitna kam ho otna e kam budget main mil jata hai

                اب آن لائن

                Working...
                X