Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?
    Kisi bhi country ki currency aor stock exchange ki value aor devalue hony ki kya kya wajohaat hoti hain aor kon say awamil hain jin ki waja sy hamari stock exchange ya kisi bhi mull ki stock exchange down hoti hai ya strong hoti hai in wajohaaat ko byan kren?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

    Ap nay bohat hi achi bat kay baray main pocha hay aksar aoqat ham yeh suntay han jisay k aj kal k ji dollar mehnga ho gia hay a ji Rs.150 ka ho gia hay aj Rs. 152 ka ho gia hay gold Rs. 7700 ka ho gia hay in sab ki wajohat bohat ziada han jin main say chan aik jo maray knowledge main han un ka zikar karon ga sab say pehlay to dollar ki smuggling ki bat hay dollar ko ghair qanoni to par Pakistan say bahir becha ja bhejha jata hay jis say jo tex Pakistan ko milna hota hay woh nahen milta aor international lan dan kay liay hamen dollar dosri country say perches karna parta hay is say dollar ki value barh jati hay aor Rupees ki kam ho jati hay is kay ilawa agar mulik par almi bank ya kisi dosray zariay say bohat ziada lone ho tab bhi us country ki currency ki value down ho jati hay jis taran aj kal Pakistan ki halat hay kisi bhi qudarti ya hadsai soorat hal ki bina par jab mulik ka bohat ziada nuqsan ho jay tab bhi currency down ho jati hay jank ki soorat main bhi yahi hota hay jab k value up honay ki wajohat in tamam problem ka adrak hay yehni in masayl ko dor kar dia jay to khud b khud currency ki value up ho jay gi.
    • #3 Collapse

      Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

      Kisi bhi country ki currency ki value aur devalue k peechay boaht sari wajohat hoti hain jaisay
      a. Debt: agar mulk pe boaht zidah qarz ho ga aur is ko pay karnay k lye jo reserve houn woh thoday houn to zahir currency devalue ho gi aur agar mulk pe qarz na ho to is mulk ki currecy uper jaye gi
      b. Reserve: agar kisi mulk ma reserve boaht ziadah houn gay to is mulk ki currency ki value ho gi jaisay gold, oil, gas, silver etc agar mulk yeh tamam chezain bahir se import karay to is ki currency devalue ho gi
      c. Export and import: jis mulk ki export ziadah houn gi us mulk ki currency ki value ziadah ho gi aur jis mulk ki import ziadah hou gi os mulk ki currency ki devalue ho gi
      d. corruption bhi aik bohat badi wajay h
      e. money laundering bhi boaht badi waja ha
      f. dollar ki zakheerah andozi se bhi currency devalue hoti ha
      • #4 Collapse

        Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

        forex mai hum live kam karty hain hum is mai pairs or currency py trading karty hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain hum is mai kam kar ky ache earning hasial kar sakty hain hum is mai agar kam karty howe market ky kise rule ko ignore kar dy gy to hamy loss ho jy ga forex all world mai bohat taze sy famous ho raha hain yai aik international business hain forex aik real or kabe be band na hony wala business hain is mai usa or china or new yok jasy bary bary mumalik shamil hain forex business hain pakistan mai be legal ban cuka hain
        • #5 Collapse

          Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

          forex aik our off class business hain hamy acha knowledge or experience hasial kar ky market ky rules ko follow kar ky market ky up down ko dahk kar analysis ko use kar ky kam karna chahey pher he hum market mai run kar saky gy or acha profit gain kar ky apne zarorto ko pura kar saky gy forex aik asa business hain jo hamy learning ky sat earning be deta hain hum is mai agar kam karty howe market ky kise rule ko ignore kar dety hain to hamy loss ho jy ga forex aik world wide business hain forex mai currency ke bohat ahmeyat hain hum in py live or sada urdu mai trading be kar sakty hain
          • #6 Collapse

            Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

            Dear kisi bhi country ko ap dekh ley aus mai agar kisi tarha ki production ho rahe hai aor wo ye cheazy export kar raha hota hai ya aus country mai koi natural resorses hai jis ki waja se wo other countries se paisy le sakta hai to ais waja se currency ki value up ho gi agar ap ne her cheaz kisi aor se leni hai aor ap k pass kuch bhi ni hai to aus mai ye hai k ap ko apny country se paisa bahir dena pary ga aor aus k baad ap ko aor currency banany k liay koi gold wagera zarort ho ga jis ki waja se ap ki currency ki value down hoti jaye gi ais liay ap ko chyae k ap ne jab bhi koi cheaz leni hai wo aisi ley jis se ap k country ki currency ki value down na ho, agar hum local cheazy zayda use kary to ais se humry apny country ki currency ki value zayda ho sakti hai.
            • #7 Collapse

              Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

              Assalamu alaikum dear Forex trading members aap ko maloom hona chahiye k currency ki value and the value hone ki main vajawat import and export mein imbalance hai hi agar aapki import aur export equal Na ho dollar ki demand increase ho jati hai jiski vajah se dollar ki price I ho jati hai aur aapki local currency down hoti jati hai Pakistan mein main economic deficit jaisa kek thread may discuss Kiya gaya hai balance of trade deficit isi baat ko Kaha jata hai ki aap ke paas dollar ki kami ho jati hai aor currency ki value kam ho jati hai dollar baher jana shuru ho jata hai log dollar khareed ky pass rakh lety hain aor is sy humen inflation control hoti dekhai nhi deti hai agr apko smjh ay to economic situation ko aisy smjha ja skta hai ky hypothesis bna lea jata hai ky dollar mazeed kam ho jay ga aor tension create ki jati hai uncertainty phelai jati hai mulki dushman anasar ki taruf sy jis ki waja sy kam kharab ho jata hai
              • #8 Collapse

                Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                Currency ke value mai market mai up aur down chalta rehta hai aur iss ke kafi reasons ho sakti hain.
                Lakin ager common zuban mai baat Karin tu currencies hameshsa demand aur supply ke waja say value barhti hain aur devalue be iss waja say he hoti hain. ager market mai kisi currency ke demand kisi waja say jab ziada ho jate hai aur iss kay muqbaly mau supply kam ho tu phir iss currency ke value barhny lag jate hai aur ager currency ke market mai kisi currency ke supply ziada ho aur iss ke demand kam ho tu phir woh currency apni values kho daite hai aur devalue hony lag jate hai.
                lakin currency market mai kafi sary reasons hoty jin ke waja say demand aur supply mai faraq aa raha hota hai . iss liye market mai kafi traders demand aur supply zone daikh kar he trading kar rahy hoty hain.
                • #9 Collapse

                  Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                  currency ki value aor devalue hony ki bahot sari wajah hain aik to agr apky grdashi qarzy zeyada ho jain jin circular deficit kaha jata hai isky elaea apky berooni qarzy apki mulk ki maeshat kamzoor ho political situation bhi sahi na ho opposition bahot strong ho to aisa hota hai forex market ma aik bat yad rakhen ky currency ki value aik band sy zeyada move kry to dangerous ho skti hai paksistani currency ko bahot arsa rok ky rakha gia artificial tareeky sy control kea gia hai jo bahot he khtrnak hai humen aisa nhi krna chye tha forex market ma trading ky leay currencies ki weak aor strong affects ko smjhna bahot he zaroori hai is sy ap achy trader bn skty ho
                  • #10 Collapse

                    Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: raja798 پيغام ديکھيے
                    Kisi bhi country ki currency aor stock exchange ki value aor devalue hony ki kya kya wajohaat hoti hain aor kon say awamil hain jin ki waja sy hamari stock exchange ya kisi bhi mull ki stock exchange down hoti hai ya strong hoti hai in wajohaaat ko byan kren?
                    Assalamu alaikum bhai jaan aap ne Kafi achi baat ko start Kiya Hai currency is a key-value order value Dono hi different kaise hain agar aap Dekhe Hain ki koi currency Upar Ki Tarah ja rahi hai to use key value badh jati hai aur agar aap Dekhenge Pakistan ki currency aur US dollar ko comparison karentu is Waqt US dollar Pakistani 165 rupees ka hai aur is ke hisab se aap Dada Laga sakte hain ki Pakistan ki currency devaluation mein hai aur Swargate US dollar ki currency Jyada acchi hai isliye aapko chahiye ki aap up in cheezon Ka Khayal rakhne ke baad trade Karen
                    • #11 Collapse

                      Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                      jesay k humery mulki halaat boht kharaab hiain aj chater down hartaal hai our business sab thap para hai us say humeri economy pay boht burey asraat parean gay our us say pher humery mulk ki currency devalue hoo gee main rupay ki kadar main dollar k mukablay main kami wakia aey gee jesay k 1 saal main boht rupees dollar k against gir chuka hai to us main koi bhe Government us main currency ki value ache our bure honay ki zemadaar hoti hai jes main interest rate national bank ka ata hai GDP ka role hota hai our pher jo bhe us ko strong kerta hia pher he wo us main kamyaab trader ban pata hai
                      • #12 Collapse

                        Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                        Factors jo currency ki value devalue hony py asar andqz hoty hain in ma aub ay pehly hum discuss krty hain jughrafia haseeyat sy hamara mulk bahot acha hai aor important jga py hai lehaza humen qoni economic situation aor halqt ko behtr krny ky leqy zarori pechda faisly krny hon gay forex trading ma sub ay zarori chez hai market ky sath economic surtehal ko understand krna
                        Tex ka nizam behtr ho to apna revenue acha jma hota hai aor apko acha paisa tex ki surat mq jmq milta hai ap berooni qqrzon sy bach jaty hi sood pay krny ki bjye ap taraqiayati kam kr skty ho
                        Political situation bhi currency ki weak strong hony ma asar andaz hoti hai apka rupee tb he hrow kry ga jub ap khud kar nizam sh apni maeshat ko sambhal pao gay
                        Acha kaam achy daam
                        • #13 Collapse

                          Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                          kisi bhi molk ki cuureency k weak or strong yah up or down hony ki boht se wajohat hoti hain jis k amal darmad hony par value up hoti hai k down hoti hai sub se pahly tu kisi bhi molk main banks boht zyda asar andaz hoty hain kisi bhi milk ki currency pa effect karty hain or es k ilwa ecnomicaly issue hoty hain yah bhi currencies ki values apr boht asar nadaz hoty hain jesa k boht se factors hain jin se currency up or down hoti hai esi tarha hmain apni trading main en sub news par dehan rakhna hota hai q k jub hum en ko avoide kar dety hain tu hmain pher loss ho jata hai q k en k cahnge hony se market bhi move kar jaty hain tu zaori hai k en sub he news par apko update rahna chahye
                          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                          • #14 Collapse

                            Re: Jaiza: currency ki value aor devalue hony ki wajohat kya hoti hain?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: raja798 پيغام ديکھيے
                            Kisi bhi country ki currency aor stock exchange ki value aor devalue hony ki kya kya wajohaat hoti hain aor kon say awamil hain jin ki waja sy hamari stock exchange ya kisi bhi mull ki stock exchange down hoti hai ya strong hoti hai in wajohaaat ko byan kren?
                            Asalam o alikum dear ap ny bilkal tek kaha ha forex trading main duniya k different pairs hoty han jin ka apis main combination hota ha aik country ki currency stronge hoti ha to us ki value up hoti ha jab k sath main jo currency hoti ha us ki value down hoti ha means us ki value devalue hoti jati ha aik time main aik country ki value up jati ha to dosri ki down aik ki value stronge hoti ha or dosri ki value week hoti ha asy he forex market chalti ha kabi aik up to kabi dosri up is sy forex trading main candles chart banta ha jis ki candles sy hum next movement ka andaza laga sakty han or ache trading kar sakty han

                            اب آن لائن

                            Working...
                            X