Kafi sari companies apny clients ko cash ko send aur receive karnay ke saholat dainy ke liye Debt cards offer karti hain. Pakistan mai b kafi saray log jo online kam karty hain inkay pass b iss trah kay cards majood hain. aksar log payoneer ka debt card aur account use karty hain. Lakin Pakistan mai yeh debt cards ziada tar ATM per nai chalty hain aur ager ATM mai inko use b Karin tu withdraw nai hota hai balkay error aa jata hai . Maira apna experience payoneer card kay sath raha hai woh b jin banks mai main nay try kiya hai woh nai chalta hai . kiya saray he International debt cards Pakistani ATMs per nai chalty hain.
Iss baray mai apna qeemti knowledge aur experience zaroor share Karin.
Iss baray mai apna qeemti knowledge aur experience zaroor share Karin.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим