kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?
    all my friends new and experience members main ap say aik bohut he mushkil swal pochna chahta hun jiss say har koi preshan rehta hai forex career main mujh say 3 say 4 year ho gay main nay bohut achy teachers say bhi sekha hai mager uss k bad bhi mujhy itna arsa kam akrny par success nahi mil rahi ha aik regular earn nahi ho pa raha hai jiss ki waja say main bohut preshan houn kia mujhy forex main trade jari rakhni chaheay ya leave kar k koi or kam dhondna chaheay aur mujhy kis tarah say market main kam karna chaheay k mujhy es main success mil sakain sab apna apna experience zrori share karain ta kmujhy kuch help mill saky iss forum ki wajah say.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

    Ye bat to conform hay key agar Forex business ka knowledge aur trading ka experience zeyda be hasil kia jaye per be success asani se aur kam time me milna mushkil hay, agar continues 4 years tak trading ki practice aur knowledge hasil karny ki koshish be ki jaye per be traders ko success milny ki jald umeed nahi rakni chaye ye success traders ko 5 years key bad be mil sakti hay, traders jetna time Forex business ki learning aur trading practice me spend karen gey aur traders me agar kamyab traders banny ki ability majood ho gi to per hi traders 2 years me be kamyab traders ban sakty hey.
    • #3 Collapse

      Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

      Bhaijaan Forex trading may 3 year continue bonus affiliated program account pay work karna to easy hai lekin real investment per 3 year continue loss ke sath work karna bahut hi hard full hurting ho sakta hai
      Dear members Pakistan Forex forum platform pe aapko professional and traditional work karna chahie demo account ko accurate tarike se use karna chahie demo account ki practice bahut matter karti hai agar aapka experience increase hota ja raha hai lekin output aapki zero hai to aapko Forex trading mein apni strategies aur planning per dene chahie mistakes ko avoid karne ki aadat banani chahie dear member Forex trading mein expert professional approach rakhna inter important hai trading mein technical fundamental analysis metatrader 4 ke terminal tools for instruments understanding iske alava aapko money management py tawajjo deni chahie
      Acha kaam achy daam
      • #4 Collapse

        Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

        Dear ye to depend karta hai k jo banda ais market mai 3 saal se kaam kar raha hai aor aus k baad wo ais market mai kamyab honna chata hai to aus ko ais mai learning karni chaye aor ais mai apny liay rules bana leny chaye aus k baad hi wo ais market mai kamyab ho sakta hai kun k agar hum ais market mai dekhy to hum ko ais market mai agar bar bar loss ho raha hai aor sath hum learning ni kar rahy to hum ais market mai kamyab tab tak ni ho sakty jab tak hum ais market mai learning k sath kaam ni kary gay agar humry pass market ka knowledge ho ga to aus k baad hi hum ais market mai kamyab ho sakty hai agar aus k baghair hum kaam kary gay to hum ais market mai apna hi loss kary gay.
        • #5 Collapse

          Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

          Forex may successfull hone Kay liye experience Kay sath sath knowledge ki zarort hoti hai ek trader jo 3 saal continously fail hota hai usko chahye Kay Wo himat na kare or apni galtiyo ko samjy jab tak humain apni galtiyo ka pata nahi chaly ga hum kabi bhi unko dor nahi kar sakty or kabi bhi success hasil nahi kar sakty forex trading business may successfull hone Kay liye apni weakness ko identify karna bohat zarori hai jab tak hum apni galtiyo ko jane gye nahi koshish nahi karain Kay remove karne ki kabi bhi hum successful nahi ho sakty 3 saal may itna experience ho jata hain Kay trader apni galtiyo say dikhta hai or ager in case galtiya identify karne masla ara hai tu koshish karain Kay apne seniors say help layn or sath sath kabi bhi fail hone pay himat nahi haaarni chahye jo trader himat nahi haarty unko 3 4 saal fail hone say bhi kuch fark nahi parhta huMsha koshish karain Kay fail hone ko as a learning lyNa chahye Kay sath sath koshish karni chahye Kay weakness ko dOr kar Kay dObra same galtiya dObra na ki jiye or himat karty hoe acha profit earn kiya jiye forex may kamyab hone Kay liye market ki situation ka analysis bohat zarori hai achi earning Kay liye koshish ki jiye Kay thOra hardwork karty hoe apni weakness ko dOr kiya jiye or apne fail hone ko as a learning lyte hoe kuch na kuch zaror sikhain ta Kay forex may trade lagne may asaani rahy....
          • #6 Collapse

            Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

            Forex trading business mai kaamyab ya fail honay say forex market ka koi taaluq nahi hai. Forex traders agar fail hotay hain tou sirf apni ghaltioo say he fail hotay hain. Agar 3 saal say koi trader fail ho raha hai tou usay apni galtioo ko daikhna chaiye.Aisa trader yaqeeni tore pay abhi tak trading market aur mt4 terminal ko samajh nahi paya. Sub say pehlay trading terminal ko samajhna zaroori hai. Jab tak trading charts aur trading kay liye use honay waley tools ka sahi istamaal seekhna aur unhain sahi waqt pay istamaal kerna bohat zaroori hai. Traders ko kabhi bhi mayoosi ka shikaar nahi hona chaiye. Apni ghaltioo pay qaabu pay kay 3 saal baad bhi kaamyab hua jaa sakta hai iss mai koi aisi barri baat nahi hai. Expert aur experience traders bhi fail ho jatey hain laikin kaamyab traders wo hotay hain jo baar baar kaamyab honay kay liye koshish kertay rehtay hain
            • #7 Collapse

              Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

              dear friends main ap ko forex ki ager reality biyan karon tu iss say ap ko or ziada motivation mily ge forex main success milti he 4 say 5 year ky bad hai kyon ky is market main itna huge knowledge hai k ap usy kabhi bhi kuch month main ya kuch year main hasil nahi kar sakty hain ager ap ko 3 year k bad success nahi mil rahi hai tu ap ko forex ko chorna nahi chaheay kyon k tab he tu success ka time shuru hota hai aksar log asy karty hain jab success milny lagti hai tab wio forex main loss krwa kar end kar jaty hain aur forex ko apny bas say bhar samjhny lagty hain ap ka ager mind set forex main success hony ka ho tu shuru say tab he ap ko froex main success milti hai iss lea kabhi bhi forex main himat na haraibn kyon ky jab ap ko success milti hai tu ap ka 5 year ka loss aik year main cover ho jata hai itna profitable business hai rules k sath kam karain aur hard work karain app ko zror success mily gee
              • #8 Collapse

                Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                G han agar 3 ya 4 years tak continue Forex business me kamyabi na mily per be traders ka hope loss nahi hona chaye aur traders ko musalsal hi mehnat kar key business me kamyab trader banny ki koshish karni chaye,
                agar traders ko long time tak success na mily to Forex business se alag hony key bary me koi ghalat decision leny ki koshish bilkul be na karen aur apni soch ko positive rak kar learning karny par focus karen traders jab tak hope loss nahi kary un ko kamyab trader banny se koi nahi rok sakta hay, agar hope loss ho jaye aur mehnat be na ki jaye to traders key ley kamyab hona impossible ho jata hay.
                • #9 Collapse

                  Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                  Assalamu alaikum dear Pakistan Forex forum friends and fellows aapko Forex trading mein kamyabi ke liye hard work emotional control motivation aur interest ke sath kam karna chahie
                  Forex trading mein continuesly failure aapki trading strategy ko mistaken wrongly expected Forex trading experience se hota hai aapko Pakistan Forex forum mein senior members ki guidance aur senior members ki help se Forex trading mein journal knowledge technical knowledge aur fundamental factors understand karne mein help leni chahie dear members Forex trading market ek aisa business hai jismein aapko gradually step-by-step learning ke sath risk factor ko increase karna chahie
                  agar aap Forex trading mein management ko important nhin dete to aap kabhi bhi successful nahin ho sakte
                  • #10 Collapse

                    Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                    Bonus account ko real account smjhna he kamyabi hasil krny ma madad gar sabit ho skta hai

                    Agr ap binus account ma risky trading kren gay to kabi bhi professional expert trader nhi bn skty

                    Jahan tk bat hai 3 saal musalsal na kami ki to koi bhi real account ma investment nhi kr skta hai yeh mumkin nhi hai

                    Forex trading ma kamyabi ky leay humen har account kp real account smjhna ho ga chahy wo demo account ho bonus account ho ya real investment ho kabi bhi apko full lot size nhi use krni chye acha professional trader bnny ky leay apko support aor resistance dekh ky apni trade management krni chye stoploss ky bina na trade krny ka aahed kren gay tb he ap expert trader bn sken gay
                    Scalping aor short term trading ma without stoploss trade lgany ki koi gungaish nhi hai apko market ma technical analysis ky sath kam krna chye
                    • #11 Collapse

                      Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                      g han aghr tu fprex main 5 sal lgany se bhi hmain kamybhi na mily tab bhi hmain forex main kamyb hony ki ummed rakhni chahye q k forex aysa bsuiness nahi jis main aik bar nakam hony k bad banned lag jay k es main ab kbhi bhi kamybhi mumkin nahi hai tu aghr forex main kamyb hona chahty hain tu ap boht se sal k bad bhi kamyb ho skty hain es liye na ummed nahi hona cahhye q k jub hum khud mayoos ho jaty hain tu hum kbhi bhi kamyb nahi ho skty hain or na he hum apni trdaing main achi eraning kar skty hain tu hmain forex main kamyb hony k lye zyda se zyda mahnt karni cahhye q k jub hum mahant karty hain tab hum kbhi bhi firex mainnakam nahi ho skty hain q k mahant kbhi bhi zaya nahi hoti ahi aghr kamyb hony k liye ki gai tu hmain zaror kamybhi mil skti hai
                      • #12 Collapse

                        Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                        Ji ap nay bil kul thek sawal kia hay pehli to bat yeh hay k agar achi learning kay bad trading start kia jay to itna time laga tar loss nahi hota yehni agar trader full learning kay sath aor complete knowledge gain karnay kay bad demo pay achi khasi practice bhi karnay kay bad trading start karta hay to usay yaqeenan kamyabi hi ho gi lakin full knowledge and learning kay bawajood traders ko bar bar trading main loss ho raha ho to us ki reasons kuch aor bhi ho sakti hain is kay liay trader ko chahiay k woh apni nakam trades kay analysis karay aor aor trading main loss honay ki reasons ko search karay is kay bad is masalay ka hal dekha jay agar to trader ko un ki apni mistakes hi ki wajah say loss ho raha ho to trader ko chahiay k woh in mistakes ko remove karay aor remove karnay kay bad hi trade open karay aor take profit and stop loss ko use kar kay hi trading karay.
                        • #13 Collapse

                          Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: Arbaaz پيغام ديکھيے
                          all my friends new and experience members main ap say aik bohut he mushkil swal pochna chahta hun jiss say har koi preshan rehta hai forex career main mujh say 3 say 4 year ho gay main nay bohut achy teachers say bhi sekha hai mager uss k bad bhi mujhy itna arsa kam akrny par success nahi mil rahi ha aik regular earn nahi ho pa raha hai jiss ki waja say main bohut preshan houn kia mujhy forex main trade jari rakhni chaheay ya leave kar k koi or kam dhondna chaheay aur mujhy kis tarah say market main kam karna chaheay k mujhy es main success mil sakain sab apna apna experience zrori share karain ta kmujhy kuch help mill saky iss forum ki wajah say.
                          Asalam o alikum dear ap ny both acha question kea ha forex trading main itna arsa trading karny to mary khayal main ap ko market ki samj aa jani chae ha abi bi ap loss kar rehe Han to AP is ki both sari waja ho sakti han mary khayal main ap apny account k mutabiq trading ni karty han over trading karty han jis ki waja sy ap ko loss ho raha ha ap lalich karty hon gy k aik he din main ziada earning kar lan to phr bi ap ko loss ho sakta ha is ley agr ap k pass small account ha to proper money management sy trading karny small lots use karny or or aik time main aik pair main aik he trade open karny or aik time main 3 sy 4 pair Jin ko ap easily manage kar sakty han un main trade open karny agr itny manage ni kar sakty han to srif or srif 2 pairs main he trade open karny ziada main na open karny or jab ap dakhen 5 sy 7 dollars ka profit ho to trade close kar dan or kisi pair main analysis karny or phr trade open karny ziada ki lalich na karny
                          • #14 Collapse

                            Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                            Ji Bhai Agar ham log hardwork Karenge to ham log jaldi Kamyab ho sakte hain isliye Ham Sab Logon Ko Jyada Se Jyada hard work karna chahie Jitna Jyada ham log hardwork Karenge Itni hi jyada Ham Logon Ko kamyabi Milegi aur ham log itna hi jyada Raksha profit market se nikal sakte hain Jiska Ham Sab logon ko bahut hi jyada fayda hoga
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: kia forex main 3 sal fail hony k bad bhi success hony ki umid rakhni chaheay?

                              اصل پيغام ارسال کردہ از: Arbaaz پيغام ديکھيے
                              all my friends new and experience members main ap say aik bohut he mushkil swal pochna chahta hun jiss say har koi preshan rehta hai forex career main mujh say 3 say 4 year ho gay main nay bohut achy teachers say bhi sekha hai mager uss k bad bhi mujhy itna arsa kam akrny par success nahi mil rahi ha aik regular earn nahi ho pa raha hai jiss ki waja say main bohut preshan houn kia mujhy forex main trade jari rakhni chaheay ya leave kar k koi or kam dhondna chaheay aur mujhy kis tarah say market main kam karna chaheay k mujhy es main success mil sakain sab apna apna experience zrori share karain ta kmujhy kuch help mill saky iss forum ki wajah say.
                              Dear friend ap ko chae ha ap koi job karny or sath sath forex trading ko jari rakhny apny knowledge or experience ko apny zahan main rakheny or demo account main balance kam sy kam karny or phr practice karny ta k ap ko maximum profit hasil ho or easily ache trading kar sakeny gy sath main job karty raheny jab tak ap ko forex market ki samj ni ati ha or behtar ho ga k ap aik pair or gold main trading karny or in pe he nazar rakheny ta k ap ko market ki samj aay to ap kamyab ho sakeny or agr ap ko loss ho bi to ap job sy apny ghar ko chala sakeny gy or forex trading main apny losa pe kam karny apny loss ki waja talash karny ta k next time ap ko loss na ho

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X