Assalam o alaikum dear forum members and traders.Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Forex trading kertay huay hum 2 tarah kay traders ko daikhtay hain ya un kay tajarbaat ko parhtay aur suntay hain. traders ki aik type wo hoti hai jo bohat jald baaz hotay hain aur unka pateince level bohat kamm hota hai. Aisay traders bohat bey sabray bhi hotay hain aur market mai movement ko daikhtay he jaldi jaldi trading shuru ker daitay hain. aisay traders tukkay lagatay hain aur ye samajhtay hain kay unhain undaazo say he trading ker kay thoray waqt mai bohat profit ho sakta hai wo bilkul ghalat sochtay hain. Tukka traders ko ye baat zaroor zehan mai rakhni chaiye kay tukkay laganay say sahi entry time ka intezaar kerna behtar hota hai. Tukkay say profit kabhi kabhi aur loss her baar hota hai magar wait ker kay trading kernay say dair say magar her baar profit he hota hai.
Kia aap sub iss baat say agree kertay hain? Laazmi bataiye ga. Mai intezaar ker raha hu
Kia aap sub iss baat say agree kertay hain? Laazmi bataiye ga. Mai intezaar ker raha hu
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим