Jaiza : Pakistan mai PayPal
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza : Pakistan mai PayPal
    Paypal dunyia mai aik bohot he behtreen payment processor samja jata hai aur dunyia mai ziada tar log apni daily ke transctions ka liye paypal he use kar rahy hain . khas toor per companies jo online kaam karte hain inke pehli tarjee paypall he hai kion ke paypal say paisay send aur recienve karna bohat he asan aur baqi companies ke nisabt kafi ziada reliable b hai .
    Lakin pakisan mai paypal ke saholat ajj din tak avialbale nai hai jis ke waha say Forex trading karny waly logon kay elawa b woh log jo online cash ko send ya recienv karty hain inko bohot he ziada preshani ka samna karna parhta ha . Abhi kuch arsay say sun rahy hain ke Pakistan ke government iss silsilaay mai kam kar rahi hai ke kuch arsay tak paypal Pakistan mai available ho jiye . lakin abhi tak koi khas positive news nai aa rahi hai.

    Iss baray mai app kay pass koi news ho tu zaroor baqi forum members ka sath share Karin.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

    G han dear ap ki bat theak hai kay paypal aik bhut he zayda bhtreen app hai transection kaliye aur jhan tak mainye suna hai kay es ka procces bhi tezz hota hai tu humain es ki sahulat ager mil jaye tu hum es mai jaldi say raqam mangwa saktye hain aur dusra ye mainye suna hai kay phlye pakistan mai avail the per bad mai he esye ban kiya gaya kiyu kay ye bjut he achi apo hai abhi skrill bhi fit hai per paypal ki aur bat hai per dua karain kay kabhi skrill ko ban na kiya jaye kiyu ky ager skrill ban ho jata hai tu pher humain es mai kafi lose ho jata hai yu allah khair kraye ga waisye nat paypal ki ho rhi hai tu esye jhan tak mera khyal hai kay pakistan mai lazmi hona cjye kiyu kay pakistan mai es jaisye service koi ni hai paypal jaisye mai samjhta hun kay pori duniya mai aisye koi ni ho gaye
    • #3 Collapse

      Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

      PayPal Asal main American money transfer system hai ky ham agar Pakistan main Beth ker apna PayPal account register kerwa ker apni amount withdraw ya investment kerty hain tou hamary liay asani hoti hai ky hamain money ko online puri dunia main send aur receive kerny main koi masla nehi hota lekin jab hamara account kisi waja sy ban ho jata hai ya hamary account main koi fault aa jata hai tou ham kabhi bhi usko apni country main Beth ker theak nehi kerwa sakty hamain phir kisi aesy sahary ki zarurat hoti hai jis sy ham America main hi approach ker ky apna PayPal account reopen kerwa sakain Bedhak phir hamary money processing system main jitna bhi balance ho woh phir hamain us waqat tak nehi mil sakta jabtak ham tamam information ko theak kerwa ker apna account bahal nehi kerwa lety hamain money processing ky liay skrill account use kerna chahiay jisy ham apny mulk sy hi achi terha manage ker sakty hain
      • #4 Collapse

        Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

        Dear forex trading experts apko yeh bat to maloon hai ky forex sy paisy apko leny hon to aik wallet bnana hota hai aor usko active aor verify krna hota hai tb apka account proper kam krta hai aor ap munafa kam skty ho lkn agr apko is ka ilm nhi hai to ma apko btana chahta hun ky oaypal Pakistan m aitna famous nhi hai apko skrill account ise krna chahe jis ki verification insta account ki trah hai aor uski familiarity bhi Pakistan ma bahot hai apky dollar bahot easy yahan py bik jaty hain aor hazz cash py wxchange ho jaty hain insta apko bahot sary payment deposit aor withdraw option day raha hai lkn apko apny hisab sy best choose krna hota hai aor jo aik dafa use kr lo change nhi kr skty ho is bat ko yad rakho ap log
        • #5 Collapse

          Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

          Paypal international online business mai bohat recognized electronic currency hai. Aap keh saktay hain kay paypal iss waqt paper currency kay baad sub say ziada use honay waali currency hai. Online business koi bhi ho waha paypal accept ki jaati hai aur duniya kay taqreebun her dusray mulk mai paypal work ker rahi hai. pakistan mai bhi kaafi saal pehlay paypal registered electronic currency kay tore pay kaam kerti thi but hamaray haan kiyu kay emaandari say kaam kernay waley zara kamm hai tou paypal nay apna work yaha say khatam ker dia ur even kay pakistan kay accounts bhi bananay discontinue ker diye. ab aik baar phir government level aur state bank ki taraf say iss pay kaam jaari hai aur abhi tak paypal nay pakistan mai kaam kerna agree nahi kia. agar paypal pakistan mai kaam shuru ker day tou online business mai aik bohat tez growth hogi jiss ka faida sub ko hoga
          • #6 Collapse

            Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

            g ap ny bilkul thek kaha pypal aik bohat acha method hy mony hasil karny ka is sy log easily recive kar sakty han jo log online ka m karty han un k lia pypal best method hy jis sy log pareshani sy bachty han pori duniya k log is sy faiyada utha rahy han lakin pakistan main is ki saholat majod nai jis sy pakistan k logon ko money receive karny main pareshani hoti hy pakistan main is ki saholat agr ho jay to to pareshani kam ho sakti hy.
            • #7 Collapse

              Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

              Dear member PayPal is waqt ka sab se popular money exchanger ya e'wallet account hai, online business mein 70% online payment transaction Paypal ki through hoti hai duniya ke muktalif Mumalik mein is ki payment ko accept Kiya jata hai. Badqismati se Paypal Pakistan main allowed nahin hai, Pakistan mein new hukumat ne Paypal ko authorized karvane ki ek nakam koshish ki hai magar Pakistan mein laws na hone ki wajah se a Paypal ne in ki request ko reject Kar Diya. Still Paypal Pakistan mein banned hai magar koi baat nahin Pakistan mein skrill ke through Ham tamam kisam ki transaction kar sakte hain. Ham apne trading account mein skrill ke through bahut asan payment withdrawal kar sakte hain jo ki hamen jazzcash account mein convert karne mein aasani hoti hai.
              • #8 Collapse

                Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

                forex aik acha business hain hum is mai kam kar ky acha bonus eanr kar sakty hain hum is mai amount invest kar ky acha munafa kama sakty hain hamy profit ko skrils sy with draw karwana htoa hain hum paypal sy be with draw ly sakty hain forex aik asa business hain jo hamy learning be deta hain or hamy earning be deta hain hum gar mai bath kar is mai km kar sakty hain is mai kam karny ky liye hamy kise be office mai jany ke zarorat nahi hote hum is mai agar greedy ban ky kam kary gy to hamy los ho jy ga is mai market ka balm nahi hota forex aik acha business hain is mai usa or china or new yok jasy bary bary mumalik sahmil hain forex aik wasee busness hain
                • #9 Collapse

                  Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

                  Dear jo baat ki hai ap ne Paypal ki to ais mai agar ap ne account banana hai to ye Pakistan mai allow ni karta agar ap ne koi payment recive karni hai to kisi aor ka account use kar sakty hai magar ais mai ap Pakistan mai reh k account ni bana sakty ais k ilawa agar ap ne koi aor payment processor select karna hai to ap aus par account bana sakty hai ais market mai ap k pass bahot sary payment methods hoty hai jin par ap withdraw wagera le sakty hai aisy hi agar ap ais market mai kaam kar rahy hai to ap bank wire ya skrill wagera use kar sakty hai aus par ap withdraw bhi le sakty hai aor deposit bhi karwa sakty hai to ap k liay jo asan tareeka hai wo ap select kary aor aus k sath kaam kary.
                  • #10 Collapse

                    Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

                    Ji han bilkul Paypal Pakistan mein abhi tak account verified Nahin Hote aur PayPal Account ko verified karne ke liye other country ka phone number aur other country ka adress Hona bahut jaruri hai isliye Pakistan mein Paypal abhi tak account launch Nahin Hua isliye Iske alternative account bahut Sare Hain Jo aap use Karke apni earning ka vidroh Hasil kar sakte hain jaise ke skrill account Jisko Zubaan Mein Mani book account Kahate Hain Uske jarie aap bahut hi accha vidroh Hasil kar sakte hain aur Pakistan mein direct Apne Jaisa cash account mein bhi Hans kar sakte hain aur is ke ilava neteller account usmein bhi aap bidroha se kar sakte hain Kyunki Neta ke account bhi local Taur per Pakistan mein use ho rahe hain aur unmen dollar ka vidroh Lekar aap Hasil kar sakte hain aur deposit bhi Uske jarie kar sakte hain isliye Paypal ke alava bahut Sare alternative account maujud hai Jin ke jarie aap dollar ka winter Le sakte hain
                    • #11 Collapse

                      Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

                      dear asal me agar is bary me baat ki jay to mera experience ye kehta hey k pakistan me paypal just scammers ki waja sey nahi hey kiu k paypal me apko dispute ki option mil jati hey jis say ap dispute laga kar bheje gai raqam wapis mangwa sakty hen lehaza Pakistan me bohat zada scammers hen jo k raqam ko bhej kar wapis phir dispute kar lety hen bass isi waja say paypal ny Pakistan me kam nahi kiya or apna bank ya apni services Pakistan me allow nahi ki hen bqaya me apki bat sey b agree hun jo apny ki k is waja say hamyn kaafi mushklaat ka samna karna par raha hey kiu k bohat sari online companies A B C. online dealing me paypal ko sab sey pehly tarjeeh dete hen lakin jab ap kisi ko money send kar k usy wapis dispute laga len begair kisi reason k to phir problem bann jati hey paypal k liay b or company k liay b bass in chezon ki waja say hum aaj paypal ko use karny sey mehroom hen
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Re: Jaiza : Pakistan mai PayPal

                        Dear Pakistan me paypal ki service majood nahi hay magar ye enta zarori be nahi hay instaforex trading account se ham profit kesi aur payment method key base par be deposit/withdraw kar sakty hey, esy bahot se payment methods hey jes ko instaforex support karta hay, hamari koshish honi chaye key ham instaforex trading account se profit withdraw karny key ley aur deposit karny key ley behtar payment method ka intekhab karen jo safe be ho aur jes ki transaction process fast be ho, Skrill, Payco aur es jesy bahot se best payment methods ko acha samja jata hay.

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X