Loss may trade open hona...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Loss may trade open hona...
    Aslm o Alikm umeed ha sab khryt sy hun gye forex trading business jab hum trade lagty hain tu humri trade huMsha loss may hi kyu open hoti hai jab Kay chart may profit ho raha hota hai???
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Loss may trade open hona...

    Forex mein jub bhi koi trade open ki jaye gi tou woh trade hamesha loss mein hi open ho gi aur aisa iss lye hota hai kyun kay humari her open ki gae trade mein broker ka commission bhi hota hai jis ko hum spread kehtay hain aur jub tak kisi bhi trade ka spread poora nahin hota tub tak humari trade ka profit shru nahin hota aur aap ko iss baat sae perashan nahin hona chahyea kyun kay broker ka commission tou humain dena hi hota hai aur agar hum forex market mein trade analysis kernay kay baad hi open kerain gay tou jitna bhi broker ka commission hota hai woh jaldi hi recover ho jata hai market kay analysis agar theek sae nahin kerain gay aur trade open kerain gay tou phir humari trade ka loss mazeed zayada hota jaye ga
    • #3 Collapse

      Re: Loss may trade open hona...

      Apne bohot hi acha sawal pucha hey aur yeh almost sab beginners ke mind mein yehi sawal hota he keh akhir jab hum trade lagatey hein to hamari trade foran loss mein q jati hey to uski bari wajha mere bhai yeh hoti he keh har broker ki apni commision aur spread hota hey aap jese hi trade lagatey hein to woh 2 ya 3 point apke point se apke against jati hey jo keh broker ka spread hota hey aur woh broker apna spread kat lete hey uske bad hum jo bhi trading kartey hein aur jo bh profit hota hey woh totally hamara apna hi hota hey aur us mein hum jitna profit close kartey hein woh totally hamara apna hi hota hey yeh spread ki sari wajha hoti hey jo apki start trade loss mein chali jati hey.
      https://t.me/pump_upp
      • #4 Collapse

        Re: Loss may trade open hona...

        ji Bhai jab Bhi Ham trade ko open karte Hain aur vah trade hamari loss mein jaati hai vah sirf aur sirf hamara spread jitna hoga usi hisab se los Mai jayegi behtar hai aap kam se kam spread wale per use Karen is se hamari trade bahut hi kam loss mein jayegi
        • #5 Collapse

          Re: Loss may trade open hona...

          Dear trade hamesha loss me hi open hota hay app ka koi be trade profit me open nahi ho sakta hay, agar app achy se acha trade be open karty ho to ye start hamesha loss se leta hay ye 100 percent possible hay key koch time key bad app ka loss ka trade profit me change ho jaye magar es key ley app ko intezar karna zarori hota hay, within second app ka koi trade asani se profit me nahi ja sakta hay, es ki waja ye hoti hay key jo be app trade open karty ho to broker ki fees be app ko pay karni hoti hay aur pair ka spread ki waja se app ka har trade koch loss me open ho jata hay.
          • #6 Collapse

            Re: Loss may trade open hona...

            Forex trading market mai hum jiss broker ki wajah say kaam ker rahey hotay hain aur jo company hamain apnay servers ko istamaal ker kay forex trading market mai inn honay ka moqa faraham kerti hai uss company ka commission hota hai. Usay spread bhi kaha jata hai. Iss liye jitna kisi pair ka spread hota hain utna he trade loss mai open hoti hai. Iss baat ko samajhnay kay liye hum gold aur crude oil ki baat ker laitay hain.Gold ka spread hamaray portal forum trading account ki leverage ki wajah say 0.60$ hai aur issi tarah crude oil ka spread 0.30$ hota hai. Jab bhi hum gold ya crue oil mai trade open kertay hain wo -0.60$ ya -0.30$ loss say open hoti hai. issay aap brokage company ka commission bhi keh saktay hain kiyu kay ye asal mai bhi commission he hota hai aur issi commission ki wajah say he hum uss company ki wajah say trading ker rahey hotay hain.

            ye commission ya spread fess mai jata hai jo wo company trading markets kay servers mai apnay clients ko kaam kerwanay kay liye bhi daiti hai. Iss liye hamain itnay chotay spreads ya commission say ghabrana nahi chaiye kiyu kay profits uss say bohat ziada kamaya jaa skata hai. Aur lot size kay saath ye spreads bhi multiply hotay jatey hain
            • #7 Collapse

              Re: Loss may trade open hona...

              Dear ap ais market mai koi bhi trade lagaty hai to wo loss se ais liay start hoti hai k ap ki trade par spread charge hota hai agar ap ais market mai koi trade lagaty hai aor aus par ap ko jo star mai thora sa loss ho raha hota hai wo ap k broker ko jata hai kun k ap jis broker par account banaty hai wo ap ki trade lagwata hai market mai aor aus k sath sath wo ap ko leverage deta hai mean ap ais market mai thori si investment kar k bari lot laga lety hai aor aus par ap ko profit aor loss hota hai aisy hi agar ap ne ais market mai kaam kia ho to ap ko pata ho ga k broker ap ko bahot sari services free deta hai wo ais liay deta hai k ap ki trade se spread leta hai aor aus k badly ap ko ye services deta hai jis k zarye ap ais market mai trade karty hain.
              • #8 Collapse

                Re: Loss may trade open hona...

                Ji Assalamualaikum Pyare bhai jaan kya hal hai main ummid karta hun ki aap sab khairiyat se Honge aapane bahut hi Achcha Sawal poochha hai aur yah almost Sab banner cake mind Mein Yahi Sawal hota hai lekin Aankhen Jab Ham trade Lagate Hain To Hamari trade foreign loss Mein Kyon Jaati Hai to uski Badi vajah Mere Bhai yah Hoti Hai Ki Har broker Apne Commission aur separate hota hai aap jisse hi train Lagate Hain To vah Do Ya Teen. Aapke. Se aapke against Jaati Hai Jo ke broker ka separate hota hai aur vah broker Apna sprayed Kat leta hai uske bad Ham jo bhi trading karte hain aur jo bhi profit hota hai vah totally Hamara apna hi hota hai aur usmein ham Jitna profit close karte hain Vahi totally Hamara apna hi hota hai isliye Hamen chahie ki Ham mehnat se kam Karen acche se kam Karen Taki Ham Kamyab ho sake
                • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                • #9 Collapse

                  Loss main trade open karna bewaqofi hai. jab ap ki aik trade loss mai ja rahi ho or bad mai ap 2nd trade ko be usi trend mai open karty hain tu aisa na karain. Es tarha ap ko just loss ho sakta hai. Es loss sy bachny kay leye zarori hai kay ap pehly analysis kar lain. risk management kar lain or us kay bad ap trade kar kay faida hasil kar sakty hain. bar bar ap loss mai jaty hain woh ap ki strategy weak hoti hai or 2nd ap apni trade ko sahi tarha sy manage nahi karty hain. proper learning or practice kar kay ap apni trade ko behtar bana sakty hain.

                  اب آن لائن

                  Working...
                  X