Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?
    Kia US dollar tamam currencies pe efect karta hay?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?

    US Dollar tamam he currency aur baqi market per kafi ziada effect karta hai , iss liye professional traders lazmi toor per USD ke prices ko regular monitor karty han chaiy woh USD ke trading kar rahy hon ya na karty hon.
    Iss liye sab he traders kay liye suitable baat yahi hai ke chaiye kisi b pair ya market mai trading Karin iss baat ko mind mai zaroor rakhin ke iss market per USD ke prices ka effect zaroor ho ga. Kafi sari market mai khas toor per commodities ke sale tu hoti he USD ke aginst hai iss liye commodies ke market per tu iss ka direct effect hota hai . iss kay elawa US ke economy itne bari hai ke baqi market b USD kay effect say bach nai sakti hain.
    • #3 Collapse

      Re: Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?

      Dear aisa ni hai agar ap ne dekha ho to ais market mai kuch currency ne usd k sath mil k pair banaya hoa hai agar ap dekhty hai usd weak hoa hai aor jin currencies k sath ais ka pair hai aun par moment hoti hai mean sirf aun pairs par effect hota hai jin k sath ais ka pair hai ais k ilawa baqi pairs par ni hota agar abi ap gold ki baat kary to wo usd k hisab se move karta hai agar usd strong ho jata hai to gold down aata hai aor aus k hisab se agar usd weak ho jaye to gold up chala jata hai ais tarha ap agar ais market mai kaam karty hai to ap ko usd k bary mai pata ho kun k ais mai zayda log usd par kaam karty hai aor ais se zayda moment hoti hai ye aik major currency hai aor ais ki waja se market mai moment zayda hoti hai.
      • #4 Collapse

        Re: Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?

        Doller Impact:

        Almost dekhne mein yehi ata he keh jab bhi US doller ki koi bhi big news hoti hey to taqriban har pair par iska effect hota hey aur iski sab se bari wajha ye he keh is time dunia mein jo sab se ziada popular hey woh Doller hi hey aur yehi wajha he keh jitne bhi world countries hein woh payment doller mein hi buy sell kar tey hein jiski wjha se doller ka impact har currency par parta hey aur aksar market mein bhi yehi dekhne ko milta he keh jab bhi doller ki koi news ati hey to jitne bhi forex mein currency pairs hein sab par doller ka impact parta hey aur sab pairs ki movement kafi ziada uper nichey dekhne ko milti hey koun keh doller aik international aur sab se ziada powerfull currency hey.
        https://t.me/pump_upp
        • #5 Collapse

          Re: Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?

          Us dollar ka impact forex market pay directly hota hai. Kiyu kay forex market ho ya world business her cheez ka standard rate us dollar say Banta hai. Iss liye Agar trading mai bhi daikha jaey tou us dollars base currency ka kaam kerta Hai jo kay laazmi bhi hai. Gold, silver aur crude oil dollar kay saath he related hain. Traders Agar sirf us dollars kay up and down ko he monitor ker kia karain tou kisi bhi dusray pair mai asaani say Kam ker saktay hain aur commodities mai bhi trading ker saktay hain. Gold ko he Daikh per ounce ki price us dollar mai nikalti hai issi tarah crude oil ki price bhi us dollar mai he hoti hai tou ye samajhna bohat asaan hai kay us dollar aik wahid aisi currency hai jo mukammal tor pay poori duniya kay business pay Chai hui hai aur is kay uper he conventional aur forex business ka daromadaar hai.

          Forex trading aik world wide business Hai aur poori duniya say traders iss mai kaam kertay hain, her country ki apni currency hoti hai laikin forex mai investment aur withdraw us dollars mai he hotay hain aur liye jatey hain kiyu kay ye aisi currency hai jo her country mai accepted hai aur her country ko apni economics kay liye iss ki zarurat rehti hai
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Kia US dollar tamam currencies pe ect karta hay?

            Ji han USD world main all currencies pay ect karta hay kun k this time poori world main sab say ziada trading aor others business USD say hi ho rahay hain. Forex market main trading currency pairs ki shakam main hoti hay example kay tor par EUR/USD, GBP/USD, EUR/GBP and AUD/NZD waghaira currency pairs tow types kay hotay hain jen main USD directly shamil hota hay usay major currency pair kehtay hain jes taran EUR/USD hay aor jes currency pair main USD nahi hota un ko crosses currency pair kehtay hain ziada tar trading major currency pairs main hoti hay.
            USD is King of Currencies
            Jes taran main oper zikar kar chuka hoon k sab say ziada Forex market main trading USD say hi hoti hay aik andazay kay mutabiq Forex market main 84.9% trading USD pay hi hoti hay. Agar ham ghor karain to har major currency pair main adha hisa USD hi hay yehni ham yeh keh saktay hain k world main USD hi currencies ka badshah hay.
            Click image for larger version

Name:	5083035aabd0400b75f3e52fc1146a45.png
Views:	2
Size:	22.5 کلوبائٹ
ID:	12325122
            USD effect on Forex trading
            Jes taran ham nay zikar kia hay sab say ziada trading USD say ki jati hay aor esi wajah say USD ko king of currencies bhi kehtay hain ab agar sochain k USD ki price up ya down hoti hay to kia Forex par koi asar nahi paraga? bil kul paray ga up ki soorat main Forex market main behtri aor down ki soorat main kafi asar parta hay aor aisay problems create ho jatay hain jen ka ham yahan aik posts main ziakar nahi kar saktay bar hal USD ka Forex pay bohat gehra asar hay es liay jab bhi koi trader trade open karna chahy to woh har soorat main USD price value ko zaror jaan lay.

            اب آن لائن

            Working...
            X