Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?
    Forex traders say maira sawaal hai kay forex market mai USD kay tamaaam pairs pay Agar aik waqt mai minimum lot size kay saath trading ki jaey tou kia faida ho sakta hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?

    Dear jaisy ap ko pata hai k ais market mai usd k tamam pairs aik sath move karty hai agar ap ne usd ka index check kar lia hai aor aus k hisab se ais market mai trade lagaty hai to ais se hum ko ye pata chal jata hai k usd strong ho raha hai ya weak ho raha hai aus k hisab se usd k tamam pairs par agar trade karni ho to kar sakty hai ais market mai hum ne agar trade karni ho to ais mai hum ko atni zayda trades ni lagani chaye agar humry analysis sahe ni jaty to aus se hum ko ho sakta hai k bahot zayda loss ho jaye ais liay hum ko ais market mai dekhna chaye k diffrent pairs mai trade lagani chaye aus se hum ais market mai faida autha sakty hai aor acha profit bana skaty hai tab hi kamyab ho sakty hain.
    • #3 Collapse

      Re: Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?

      USD ke tamam pairs mein aik sath trade karna:

      Dear mein iske haq mein nahin hun kioun keh USD ke jitne bhi pairs hein unki movement har time bhi same nahin hoti hey aur un mein se kuch pairs aisey bhi hotey hein jo keh aik dusre ke against chaltey hein isliye agar hum yeh bewakoofi kartey hein to is se hamen kafi ziada loss ho sakta hey isliye hamen chahiye keh agar hum USD ke pairs mein trade kartey bhi hein to ziada se ziada hamen just 2 pairs hi select kar lene chahiye aur woh bhi aap pehle Fundamental Analysis karke hi select karen to apke liye ziada better hota hey aur ap is mein ziada achi trha se work kar saktey hein aur agar aap is mein ziada pairs select kar lete hein aur market apke against chali jati hey to apki chahe small lots se bhi trade hogi woh bhi loss mein chali jayegi aur aap is mein achi trha se kamiyab nahin ho sakengey aur apko is mein loss hi hoga isliye always becarefull ho kar hi hamen is mein work karna chahiye tab hi hum is mein kamiyab ho saktey hein.
      https://t.me/pump_upp
      • #4 Collapse

        Re: Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?

        Agar ham aesy tamam pairs main aik hi waqat main trade kerna chahty hain tou hamain pehly USD index ko achi terha read ker lena chahiay ky hamain agar pata chal jaey ky USD index kis direction main vary ker reha hai tou hamain phir same direction main tamam aesy pairs jin main USD ky sath trade ho rehi hai main is terha trade open kerni chahiay ky ham tamam pairs main use ko sell ya buy hi ker rehy hon aesa na ho ky trade tou ham ny her pair main open ki hui ho lekin kuch pairs main ham dollar ki buy ker rehy hon aur kuch pairs main sell tou resultant hamary pas due to spread long time ky liay sirf loss hi chalta rehy ky kuch pairs main agar profit hota rehy ga tou kuch main loss bhi hota rehy ga tou hamain kuch hasil nehi ho saky ga lekin dollar index ko read kerny ky bahd ham jab tamam pairs main trade open kerain tou ham tamam pairs main ya dollar ki sell ker rehy hon ya sirf buy tou agar hamain profit hasil hona start hoga tou tamam pairs main profit hasil hoga aur agar loss hoga tou bhi tamam pairs main loss hi hoga tou best yehi hai ky ham tamam pairs main ya dollar ko sell ker rehy hon ya buy warna hasil kuch nehi hoga
        • #5 Collapse

          Re: Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?

          ager app ko usd ky sab pairs main jitna bhi confirm mil jay tu sab pair main kabhi bhi aik jesi entery nahi lgani chahea kyon ky asa karny say ap ki kuch trade main profit nahi ho ga ap ko btata chalun ky har usd waly pair ki apni he movement hoti hai kyon ky un ky sath ju quote currency hoti ha uss ki waja say usd waly pair same movement nahi hoty hain jesy usdjpy ha aur usdcad hai kabhi bhi en ki move same nahi hoti hai aur na he usdchf ki kyon ky en ky sath ju end wali currency ha un ky hisab say usd main movement hoti hai laykin jab bhi en main movement same hoti hai tu ap ko samjh jana chaheay ky usd main strong buy ya sell ha es lea har aik currency ko aleda aleda analysis karna chaheay es tara say ap aik tarf sab loss say bach jain gay.
          • #6 Collapse

            Re: Usd kay tamaaam pairs pay aik waqt mai trading kernay say kia faida ho sakta hai?

            Assalamu alaikum Pakistan Forex forum members agar aap trading mein expert ho to aapko market mein situation ka maloom hota hai agar aapko technical and fundamental sentimental and trend ratio ka ilm ho to aapko trading start kar deni chahie members main aapko yah guide karna chahta hun USD per trading karna aasan nahin hai USD pairs ko major pairs isliye kaha jata hai kyunki in py trading karne ke liye aapke pass market mein related per uske technical and fundamental aspects ka am hona bahut zaruri hai agar aap aap trading market mein casual behaviour karoge to aapko bahut loss ho sakta hai market mein trendline ko follow kren cross correlation pair score negative class correlation positive cross correlation pairs ko jante hue Forex trading karen
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: anwaarz پيغام ديکھيے
              Forex traders say maira sawaal hai kay forex market mai USD kay tamaaam pairs pay Agar aik waqt mai minimum lot size kay saath trading ki jaey tou kia faida ho sakta hai?
              Bhai ap itni zaida news ko na follow karo. just high impact pay kam karain or apni pasand ki news ko chose kar lain or us kay bad ap es mai trade karain gy tu ap ko pata chaly ga kay kaisy ap usd ki news sy faida otha sakty hain. ap ka pair ager eurusd, gbpusd etc hai tu ap ager es mai just usd ki news ko follow kar rahy ho or sath dosri currency ki news ko follow nahi karty hain tu ap ko bad mai loss ho sakta hai. ap ko dunu currency kay fundamental analysis karny hoty hain or us kay bad he ap ko pata chalta hai kay fundamental sy market bullis ho gi ya bearish ho sakti hai. tab he ap trade kar kay faida otha sakty hain.

              اب آن لائن

              Working...
              X