Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi
    Dear Friends

    Kuch Trader Apni trading main bhout acha improve kar rahy hoty hain . lekin bad mai woh loss ko face karty hain or profit na honay kay brabar reh jata hai. us ki waja yeh hai kay woh baqi pairs ki taraf chalay jayty hain jab kay ik ya 2 pair tak woh mehdood nahi rehty hian. esleye un ki jab learning divide hoti hai tu woh mazeed kuch nahi seekh sakty hian. un ko loss ka samna rehta hai or akhir mai woh loss he karty rehty hian.

    Ap kiya kehty hain es baray main

    Shukriya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

    Mere khayal se to bhai ye her trader ki knowledge aur experience pe depend karta hai, kuch trader kafi tez hote hai to wo 3 4 pairs pe bhi ek sath trading kar lete hai. unhe masla nhi hota aur wo 1 ya 2 pair tak khud ko mahdood nhi rakhte. Unhe jis pair mein achi opportunity samajh ati hai us pair mein trade lagate hai, per kuch trader srf ek ya do pair pe hi trading karna pasand karte hai. to ye her trader apni pani kabiliat aur asani ke mutabiq pairs select karte hai.
    • #3 Collapse

      Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

      mare khyal main to humain aik waqat main only aik he trade open kerni chahie aur ziada pairs per trade kene se loss k chances increase ho jatay hain aur is se hamara balance b kem reh jata hay aur her trade per broker k charges b dane pertay hain aur is trah account k wash hone ka b der hota hay.
      • #4 Collapse

        Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

        Nahi ji ap jis kadar zaida pair ki taraf jain gay ap ki learning or analysis uski kadar weak hoty hain gay esleye ap apni learning, analysis kuch pair tak mehdood rahkain kay ap ko pata ho kay ap nay karna kiya hai kaisy trading karni hai or kaisy ap ny un ki learning main mazeed parhna hai, ap ko pata hona cheye kay jab ap trade karain tu us kay fundamental analysis us kadar ap apni trading mai acha sabaq hasil karain gay.
        • #5 Collapse

          Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

          je bilkul ma ap ki baat se agree karta haoun k hamain ziadah currency pairs pe kam karnay ki bajaye kisi aik pairs pe focus rakhna chaye ta k ham is ko ashi tarha se samjh sakay aur ashay se trading kar sakian
          a) aik pair pe kam karnay se ham os pair k expert ban saktay hain aur asha profit earn kar saktay hain
          b) confusion se bach sakta ha
          c) fundamental analyses ma difficulties hoti ha, har pair ki news ko check karna padta ha is lye hamain aik hi currency pair pe trading karni chaye
          d) multiple trades open karna aik ashi trading strategy ni hoti
          • #6 Collapse

            Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

            g bilkul ksi aik pair ko dekhen usi ko proper treeqy sy analyse kren r usi py trade kren agr aik sy zyada pairs mn trading ka sochen gy to ksi aik ko b sai sy analyse ni kr sken gy r sb mn loss hoga.
            • #7 Collapse

              Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

              اصل پيغام ارسال کردہ از: neatpassion12 پيغام ديکھيے
              Dear Friends

              Kuch Trader Apni trading main bhout acha improve kar rahy hoty hain . lekin bad mai woh loss ko face karty hain or profit na honay kay brabar reh jata hai. us ki waja yeh hai kay woh baqi pairs ki taraf chalay jayty hain jab kay ik ya 2 pair tak woh mehdood nahi rehty hian. esleye un ki jab learning divide hoti hai tu woh mazeed kuch nahi seekh sakty hian. un ko loss ka samna rehta hai or akhir mai woh loss he karty rehty hian.

              Ap kiya kehty hain es baray main

              Shukriya.
              Main to ek bahut hi shandar se baat karta hun ki jab tak aapke pass achchi jankari nahin hoti tab tak aap ko ek se jyada Jo de per hamen Kam nahin karna chahie kyunki iske liye bahut acchi e jankari ki jarurat hoti hai aur shuruvat mein hamare pass itna achcha nahin hota jisse hum jyada joden per kam kar sake isliye ek he jode ko karna chahie aur use per kam karna chahie
              • #8 Collapse

                Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                اصل پيغام ارسال کردہ از: neatpassion12 پيغام ديکھيے
                Dear Friends

                Kuch Trader Apni trading main bhout acha improve kar rahy hoty hain . lekin bad mai woh loss ko face karty hain or profit na honay kay brabar reh jata hai. us ki waja yeh hai kay woh baqi pairs ki taraf chalay jayty hain jab kay ik ya 2 pair tak woh mehdood nahi rehty hian. esleye un ki jab learning divide hoti hai tu woh mazeed kuch nahi seekh sakty hian. un ko loss ka samna rehta hai or akhir mai woh loss he karty rehty hian.

                Ap kiya kehty hain es baray main

                Shukriya.
                Hamen chahie ki Ham trading karne ke liye ek do currency pair Aur Ek Do commodities for use Karen Jab Ham bahut jyada currency pairs aur commodities Mein kaam karne lag Jaate Hain To Hamen uske liye bahut jyada analyses karne hote hain aur kam ka burden bahut jyada increase ho jata hai
                FRD 07 TRADING JOURNAL
                • #9 Collapse

                  Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                  jab ap zaida pair pay trade karain gay tu ap ko na tu kisi b pair ki sahi knowledge ho gi or na he ap theek se koi kam kar sakain gay ap apni trading mai just un pair pay focus ho jin ki ap ko knowlege ho or ap ko trading mai us ka shouq b ho just judgement ki base pay baqi sub trade pay paisa na zaya karain or apna experience zaida karny kay leye 1 ya 2 pair ka intikhab karain.
                   
                  • #10 Collapse

                    Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                    Dear forex trading aik bhot hi complicated kaam hay is liye humay is ma zeyada pairs ka istemal nhi kerna chayi balkay mera mashwara tu ye hay kay aik ya maximim 2 pairs per hi trading kerni chayi kiun kay iska faida ye huga kay humay os pair kay baray ma kaafi knowledge hasil hu jaye ga aor pher hum iskay analysis asaani say ker sakay gay kiun kay humay os pair ki movement ka andaza hu jata jis say hum maximum profit earn kernay kay qabil ban jatay han.
                    • #11 Collapse

                      Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                      yes dear ap ki baat kafi had tak theek ha or aisa bohat saray traders kay sath hota ha or yeh sub kuch in traders ki apni mistake ki waja se hota ha
                      jo new traders hotay hain ya wo traders jinhoo ne kuch knowledge hasil kia hota ha tu wo jub tak majors pairs me trading kartay hain tu un kay pass kuch ginti kay pairs hotay hain or wo un ko asani se analysis kar letay hain kyuke pairs kam hotay hain or time zeyda hota ha analysis karne kay liey un ko success mill jati ha
                      jub traders kuch zeyda trades open karne or zeyda profit kay liey zeyda pairs ka select kar letay hain tu knowledge kam honay or kam time analysis denay ki waja se wo analysis me mistake kar letay hain phir is tarah zeyda pairs rakhne ki waja se un ko loss hona shuro ho jata ha traders ko chahiey jitna knowledge ho utne pairs rakhainy
                      • #12 Collapse

                        Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                        jab zaida pair ki taraf jao gay tu learning kaisy karni hai kis pair ki kiya history hai or kaisy sub kay analysis bana kar chalna hai tu yeh sub bara mushkil ho jaey ga ap just 1 ya 2 pair tak mehdood rahy gay tu ap market kay behavior or un ki teyari karny kay tareqay ko achy se samaj jain gay tu es tarha ap ko apny pair ki achi knowledge be hogi or ap achy se us ki earning be kar sakain gay.
                         
                        • #13 Collapse

                          Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                          jab ap strategy ko use karny ki bat karty hian tu ap ko cheye kay ap apny pairs ki achi selection karian. or koshish karian ap new hai tu major pairs ko chose karain woh be kam as kam 2 trading pairs un mai se chose kar lain or ap ko recommend karo ga kay ap us mai EURUSD ko be chose karian. es pair ka faida yeh hai kay ap ko asani se es kay analysis kar sakty hian or asani se in kay trend ko find kar sakty hian.
                           
                          • #14 Collapse

                            Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                            GBP currency ki apni 898 hoti hai aur setting mein agar aapko bahut sare signal aur bahut sare Karan se ki gai hai to fir usko chahie ke phone mein acche pyaj ka entrance karte hain unka retreading Karen is tarah se unka account nuksan nahin Karega acche 2010 ka intekhab karne ke liye sabse pahle dhan account per apna note karke lot size ke mutabik ek per khet Karen aur uska translate aur Star Plus lagakar usko check Karen US currency ka margin kitna hai lekin agar kisi ke mukabale mein dusri currency ka difference bahut jyada hai to fir usne trade na ki jayegi kya ok mere mutabiq yahi Chand koi Kishan kyon major currencies pyar Hain Jin per ham aasani se trade karke market se money earn kar sakte hain lekin uske liye hamen Damoh per pahle Sar currency iski mein karni hogi aur unko check karna hoga ke kisi bhi market mein ek currency ki price kya hai hamen Kitna margin deti hai kele se. Kisi bhi currency ko trade karne se pahle uske metallic information hasil kar leni chahie aur uske bad US currency metro lagani chahie lekin purv market mein uske munh mein ko dekhna chahie ke market mein currency question se munh karti hai agar aap news jyada time per US currency ko dekhna chahe to fir usmein bahut sach pareshan hoti hai aap usko Maihar nahin kar sakte hain lekin second time aap Karan se check kar sakte hain aur jonsi currency aapke khet ke mutabik perfect ho aap usi par apne liye ek acchi sister DJ banakar usmein trade Kiya Karen
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Zaida Pairs Ka Trading Mai Intikhab Achi Strategy Ka Hisa Nahi

                              اصل پيغام ارسال کردہ از: neatpassion12 پيغام ديکھيے
                              jab zaida pair ki taraf jao gay tu learning kaisy karni hai kis pair ki kiya history hai or kaisy sub kay analysis bana kar chalna hai tu yeh sub bara mushkil ho jaey ga ap just 1 ya 2 pair tak mehdood rahy gay tu ap market kay behavior or un ki teyari karny kay tareqay ko achy se samaj jain gay tu es tarha ap ko apny pair ki achi knowledge be hogi or ap achy se us ki earning be kar sakain gay.
                              starting main ager zaida pairs chose kar leye jain demo pay tu woh koi issue nahi hai.es sy ap ko kam sy kam zaida pairs sy yeh pata chal sakta hai kay kon say pair ap kay leye suitable hai jis ko ap in sub main easy samaj rahy hain or apni trading mai bad mai ap un mai selection kar sakty hain.es ka faida ap ko yeh ho sakta hai kay ap baqi jo pair chor dain gy bad mai chose nahi karian gy or jo chose karain gy un pay ap ka acha focus ap ko kamyabi dila sakta hai.
                               

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X