Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?
    Assalamualaikum real Forex trading member mera ap se sawal hai ki kya market corona virus ki vajah se itna fast move kar rahi hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

    G han dear kiyu kay ye aik khas virus hai jis ka kafi effect par sakta hai kiyu kay es mai kafi niqsan ho gaya hai chine ka yani kay chine jo hai wo sub ko pta hai kay sub sag barye pair yani jay gold ki qeemat ko maintain rakhta hai tu wo es time kafi oarshani mai hai tu ho sakta hai jay es virus oay kafi effect ho jaye chinese ki economy per daikhna ye hai jay ye wala jo virus hai yani kay corona aur kitnye country mai masla karta hai kiyu kay ager ge bakiyun mai masla karta hai tu us mai ho sakta hai kay market mai aur bhi masla ban sakta hai tu mai samjhta hun kay abhi es mai ap ahtiyat kay sath he trading karain kiyu kay narket aik time he up ya down ho saktye hai tu ap es mai en changes pay nazar rakhain tu better hai
    $$$ Never Give Up $$$
    • #3 Collapse

      Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

      bhai jan corona virus se forex market par kafi asar howa hai q k yah china main sub se zyda phelny wala virus hai jis kiw jah se chaia ki trading market kafi buri ttrha se mutasir bhi hoi hai es liye tarding kbhi ho rahi hai or kbhi bilkul nahi ho rahi hai or es ka market par bhi asar aprh rha hai es liye hmain chahye k hum es trha ki osrt e hall ko achi trha se smjh kar apna kam karen ta k hmain bad main kisi bhi trha ka koi masla na ho or humain loss na hony pay ab tu yah virus pakistan main bhi pya ajany lga hai es liye hmain bhi apny liye kuch ahtitiyati tadabeer ko apnaty howe es ka samna karna hoga q k yah aik khtrnak virus hai jis ka abhi koi dose matalb k koi ilaj bhi mutarif nahi howa hai es liye sub apny apko mahfoz rakhty howe apni life guzaren ta k apko kisi bhi qism ka koi khtra na hony pay save ur life to all
      • #4 Collapse

        Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

        Dear market ki movement k bary apko bta don k market mein diffrent currencies k pairs hoty hain aur agar ap kisi pair p trade lagaty hain aur technical analysis kar k lagaty hain jo k maximum trader technical analysis p believe karty hain lekin agar jis currency p ap ne trade lagao hai us country mein koi bhi bari halchal mach jaye jaisa k us country mein corrona virus aa jaye ya koi flood aa jaye ya earthquake ya koi political parties k apas mein halat kharab ho jayn ya phir kisi aur country k sath jang lag jaye tu dear aisi tamam soorat e hal mein us country ki currency down ho jaye gi aur phir us currency k sath jitny bhi pairs hon gy un ki market mein movement fast ho jaye gi aur forex market mein kuch traders ko faida hoga air kuch ko loss hoga aur market ki achanak aisi movement ko fundamental analysis kr k monitor kiya ja sakta hai aur jo news p trading karty hain tu un ko achi tarha se pata hota hai aur aisy moqy p wo market se acha profit kama lety hain
        Aur jo ap ne china ki bat ki hai tu deffinetly agar kisi country mein aisi bari qudrati afat ati hai tu us ki economy p bhi bhut bura asar parta hai aur jaisa k ap ne stock exchange mein dekha ho k kisi company k shares ka up down us company k halat p depend karta hai is liye forex trading mein bhi news ko follow kiya karyn aur news ko diffrent sites hain un ko study kar liya karyn.
        • #5 Collapse

          Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

          Dear jaisy ap ko pata hai k ais market mai jo moment ho rahe hoti hai aus mai ya to technical ki waja se moment hoti hai ya fundamental ki waja se market move karti hai agar ap ne ais market mai gold ko dekha ho to ye ab kafi zayda fast move kary ga corona virus ki waja se kun k ais mai jo abi logo ko death ho rahe hai ais ki waja se war ho sakti hai ya china k halat kharab ho sakty hai aor gold up ja sakta hai ais time agar ap ne dekha ho to gold ne up ward moment start kar di thi aor abi agar corone virus ka ilaj na hoa to ais market mai kafi zayda moment ho sakti hai ais market mai jab ap kaam karty hai to ap ko ais market mai ye dekhna chyae k ap ais market mai jo moment ho rahe hai aus ki waja kai hai agar ap ais market mai waja sahe se samjh jaty hai to aus par ap asnai se aha profit bana skaty hain aor market ki moment ko sahe se samjh sakty hain.
          • #6 Collapse

            Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

            g han bhai jan forex trading main corona virus ki wjah se market kafi fast move kar rahi hai or es vious ki wjah se forex ki market par bi kafi asar howa hai jis ki wjah se market main kafi tezi ai hai corona virus china se pakistan ki tarf aya hai or chaina main forex main trading k bury asarat hain jis ki base par mambers marketing nahi kar rahy hain or es ka forex main kafi asar hony ki wjah se market main kafi tezi bi ai hai es liye hmain chahye k ayse sub he awamal ko achi trah se dekh kar apna kam kaen jis se hmain kisi bhi trha ki koi ppraeshnai ko face na karna parhy jub hum apni trading ko news ko dekhty howe karengy tu he hmain market ki smjh ay gi or hum kamyab ho skty hain es liye main es trha ki sub he news ko dekhty rhna chahye
            • #7 Collapse

              Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

              Dear friend China se phelnay wala Corona viras ab poori dunia men phel raha hey jiss dunia men bara khaof hey kiun k yeh logon ki zindagi khatm kar sakta hey aur yeh forex market ko bahut effect kar sakta hey kiun k China dumia ki bahut bari economy power hey aur international business market men china ko bahut ziyada importance hasil hey aur china k sath her country k relationship hen agar kuch countries china se relations cut off kartay hen tu forex market pe automatically effect ho ga aur bahut se pairs men unexpected movement ho sakti hey iss jin logon k pass abhi acha balance hey woh soch samaj kar trading karen kiun k aj kal market men fast movement ho sakti hey lekin hamen corona viras ki waja se trading chorhni nhi chahiay balkay apni mehnat jari rakhen corona ki waja se ap ko darnay ki zaroorat nhi hey
              • #8 Collapse

                Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                Assalamu Alaikum friends China Mein pahnane wala coronavirus Duniya Mein fail raha hai aur yah logo ki Zindagi Khatam kar raha hai aur frocks market ko bhe affect Kyunki China duniya ki bahut badhiya economy power hai aur International bonus market Mein China ko bahut hi taji Hasil hai aur China ke sath her country ke relationship hai agar Kuchh countries China Agar Kuchh country China ke sath Apne Taluk khatm karte hain yani konsa Talak Tod Dete Hain two frocks market Mein automatically effect aur bahut se purse mein movement ho sakti hai is Jin logon Jin Logon ke pass Achcha balance Hai vah Soch Samajh Kar trading Karen Kyunki aajkal Halat bahut kharab hai aur Market Mein fast movement bhi ho sakti hai lekin Hamen Corona Virus ki vajah se trading chhodne Nahin chahie balki apni mehnat Jari rakhni chahie ki mehnat ka fal milega
                • #9 Collapse

                  Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                  Corona virus ny market ki effect zarur Kia hai lekin jab initially corona virus viral hua tab market ko is my zyada effect Kia hai ky ab market apni normal movement ker rehi hai ab corona virus ka effect market sy khatam ho chuka hai lekin jab corona virus ny forex market ko effect Kia tou uska bahot zyada effect word Chinese currency pay hua jo USD ky against bahot zyada nechy chali gai tou abhi tak tou woh nechy hi hain ho sakta hai jab china corona virus per control hasil ker ky ga tou aesa possible hai ky china ki currency phir strong hona shoru ho jaey gi lekin same virus ny china ki currency aur china ki economical condition ko bahot zyada effect Kia hai jis ka effect in countries ko bhi hua hai jo china sy direct Trsding main involve thy lekin other than china market ab forex market apni normal movement main continue hai tou hamain ab forex market main agar trade kerni hai tou hamain crona virus ka sochna bhi nehi chahiay just apni normal trade continue kerni chahiay
                  • #10 Collapse

                    Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                    International markets kisi bhi quarti aafat ya beemaari ki waba phailnay ki wajah say directly nahi bulkay indirectly mutaasir hoti hain. Jab koi waba kisi mulk mai phailti hai tou uss mulk mai sub kuch band hona shuru hojata hai aur Agar uss mulk mai koi aisi product bann rahi hai jo pooray world mai jaa rahi hai tou uss product ki supply band hona shuru ho jaati hai aur demand ziada honay ki wajah say prices up hona shuru ho jati hai. Iss kay elawa Agar uss mulk mai population ziada hai, technology ka use ziada hai, industries bohat ziada ho tou energy, food aur bohat kuch jo waha consume ho raha hota hai uss ki demand Kamm hona shuru ho jaati hai. Jiss say supply ziada aur demand Kamm honay ki wajah say prices down Ana shuru ho jaati hai.

                    China iss waqt her lehaaz say aik bohat big country hai. China ki population ho ya industry ho sub kuch he pooray world kay countries say ziada he hai. China mai iss waqt industry band hai jiss ki wajah say China ki apni economy bohat down ho rahi hai. China ki industry band honay ki wajah say gold aur crude oil ki market down hai aur demand nahi hai. Issi tarah bohat say countries jo China ko food ya koi bhi raw materials supply kertay hain unn ki supplies ruki hui hai tou unn ki economy bhi girr rahi hai. Jabb kisi mulk ki economy girti hai ya weak hoti hai tou energy ki demand Kamm ho jaati hai aur gold ki demand barh jaati hai kiyu kay phir sirf gold kay reserves ko ziada ker kay he sustain kia jaa sakta hai. China ka corona virus puray world ki trading markets pay bohat asar andaaz ho raha hai aur iss mai kisi ko koi shak nahi hona chaiye
                    • #11 Collapse

                      Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                      Asalam o alikum dear ap ny bilkal sahe kaha ha forex trading main corna virus ki waja sy both ziada asar parta ha q k jab is main business band ho jany or is ki economic demage ho to is ka asar is ki currency pe parta ha jis ki waja sy in ki currency weak hoti jati ha jis sy is k sath dosri currency pe effect parta ha is ley humy in ko samjena chae ha or is sy hony wali move ko samj k trading karni chae ha ta k hum behtar result hasil Kar sakeny or behtar planning or strategy sy trading Kar sakeny is ki waja sy Puri duniya main asar par Raha ha or effect punch rehe Han is ley humy ziada sy ziada profit hasil karna ha to in sab chezun ko zahan main rakh k trading karni ho ge ta k hum kamyab ho sakeny
                      • #12 Collapse

                        Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                        g han bhai jan ap ny jo crona virus ko discus kiya hai os ki wjah se forex ki market par kafi asar howa hai or asar es wjah se howa hai k crona virus chaina main sub se pahly phela hai jis ki wajha se logon ki boht bari tadad main deaths bhi hoi hain jis ki wjah se bht se log es business ki traf bhi nahi filhala rahy or es ak sab se zyda jis pair main asar parha hai wo gold hai or mazeed aysa ho skta hai k gold up ja skta hai aghr hum bat karen tu bilkul sahi hai k es virus ki wjah se market par kafi asar parha hai or es par mazeed chnaging a skti hain q k jub hum trading karty hain tu hmain technical or fundamental k sath trading karni hoti hain jis main kisi bhi molk main hony waly ayse awamal jo runma ho jaty hain wo market par kafi asar nadaz hoty hain es liye yah bat bilkul sahi hai or zer e ghoor hai
                        • #13 Collapse

                          Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                          Corona Virus ki waja se worldwide me tension create hay aur es ko control karna be kesi insaan ki bas ki bat nahi hay corona virus ka effect Forex market par be bahot zeyada howa hay aur es se other financial markets jes tarha se mutasir howy hey esi tarha se Forex market be mutasir howi hay aur market market bahot teezi se move karny lagi hay,

                          traders ko careful rehny ki bahot zarorat hay es condition me market movement clear karna bahot mushkil ho raha hay aur traders ko ye samaj me nahi ata key un ko kia karna chaye, market trend ko be agar follow kia jaye to ye trend etna strong nahi hota key long term ki trading ko yakeeni banya jaye aur na hi traders key ley short term key ley market trend clear ho rahi hay.
                          • #14 Collapse

                            Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: raja798 پيغام ديکھيے
                            Assalamualaikum real Forex trading member mera ap se sawal hai ki kya market corona virus ki vajah se itna fast move kar rahi hai?
                            Dear friend ap ny both acha sawal kea ha market main is waqat tazi bi ha unacceptable movement kar rehe ha jis ki waja sy investors ko loss ho raha ha is ley humy loss sy bachena ho ga or ache tahra learning karni ho ge or hum kamyab ho sakeny gy is waja corona varus he shahid log dar rehe han business ni ho raha ha varus ki waja sy pury city band han jis ki waja sy market main kam ni ho raha ha or jis waja sy effects currency par phar raha ha or market main both ziada fast movement chal rehe ha or sab kuch unacceptable ho raha ha is ley humy trading karty huy both ziada ahtiyat karni ho ge ta k humy loss na ho or behtar trading kar sakeny
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Kya market corona virus ki waja sy fast move kr rahi hai?

                              Ji han bilkul Virus ki vajah se bahut jyada market mayabe nuksan ho rahe hain aur Logon Ko Bhi bahut jyada loss ho raha hai Kyunki Forex trading Ek bahut hi sensitive market hai aur ismein bahut jyada missile Paida ho rahe aur Market crash ho rahi hai to isliye Karuna Virus ki vajah se market Mein trade karna bahut jyada risky ban raha hai Kafi Jyada chijen Jaise ke metal gold bahut jyada downtrend ki taraf aa raha hai aur bahut jyada down ho chuka hai aur uske alava currencies mein bhi bahut sari currency down ki taraf a gai hai yah sirf aur sirf Virus ki vajah se Aisa masala Paisa Hai To isliye Virus ki vajah se market mein bahut jyada masle Paida ho rahe hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X