Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??
    Dear Members hazrat mri dua hy ap sub dosto say ap sub khariyt say hn or mahnat k sth apna Pana kam kr rhy hn forex treading humra online international business hy jesa k ap k samny hy pori dunia main corna vires phal gia hy or buht say country main lock down hy kia lock down say forex market pay asar phar skta hy ya band ho sktii hy ya nii.......
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

    G han dear Forex ki market completely crash ho chuki hay aur trading rok di gai hay, ye siraf lock down ki waja se nahi howa hay es ki waja ye hay key corona virus ne har country ki economy ko khatam kar dia hay aur Forex market me ab kesi be currency, crude oil, metals par trading nahi ho rahi hay, recently agar financial markets me trading se related news ko search kia jaye to ye bat samny ati hay key Forex market me trading karna stop ho chuki hay hamy dowa karni chaye key ye virus khatam ho jaye aur per se ham Forex market me trading karny key position me ajaye.
    • #3 Collapse

      Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

      Forex trading business iss waqt kaafi problems mai hai jiss ki wajah duniya kay 193 countries mai corona virus say halaat kaafi kharab ho chukay hain aur Corona virus ki her news aik new tension Bana rahi hai
      . Stock markets kay halaat bohat buray ho rahey hain kiyu kay jab businesses hotay hain tou liquidity transfer hoti rehti hai. Sarmaya aik haath say dusray haath aur aik jagah say Dusri jagah musalsal jaa raha hota hai. Iss Tarah Sarmaya barhta rehta hai. Trading mai demand aur supply ka ratio he markets ko move kerwatey hain. Iss waqt demand tou khatam he ho chuki hai laikin masla yeh bhi hai kay supply bhi khatam hoti jaa rahi hai kiyu kay lick downs ho chukay hain. Jin 193 countries mai Corona pohanch chuka hai unn tamaaam countries mai partially ya completely lock downs ho chukay hain aur iss wajah say ab stock markets aur trading markets crash ho rahi hai. International Forex markets suspend ho sakti hain. Kuch dair kay liye her session mai trading rukk sakti hai laikin mukammal close nahi ho sakti hain
      • #4 Collapse

        Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

        Nahe dear aisa nai ho sakta hai kun k ais time dunia mai sirf wohi business band hoye hai jin k liay ap ko ghar se bahir jana hota tha ais market mai ap ne agar dekha ho to ais market mai pori dunia se log kaam kar rahy hai aor ais market mai paisa laga rahy hai ap ne agar ais market mai kaam karna hai to ap ko ye pata hona chaye k ais market mai ap ko faida tab hota hai jab ap ais market mai acha kaam karty hai aisy hi ais market mai ap ko kahe jana nai pary ga aor agar ais time pori dunia mai lock down ho jaye to aus time keh skaty hai k ye market bhi kuch time k liay close kar di jaye magar ye kafi zayda muskil hai k ais ko close kia jaye ap ne agar ais mai kaam karna hai to ye dar mind se nikal dy.
        • #5 Collapse

          Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

          nahi dear virus ki wajah say market off nahi ho sakti hain kyon ky yeh market ki koi bhi physically koi bhi jagah nahi hain yeh sab market main trader online he kam karty hain aur sab online he business main shamil ho rahy hain es lea market chalti he rahy gee ghar beth kar he ham ko es main kam karny ka aik acha moka hai jiss ky pas acha experience hai tu wo forex market main kam kar ky acha margin hasil kar sakta hai aj kal jesy virus ki wajah say sab business he band hai mager forex wahid asa business hai jiss main kam ho raha hai yeh sab ky lea boht ahi bat hai ju trader es main new hain un ko bhi es ko sekh kar es main kam karna chaheay kyon ky yehi wahid asa business hai ju kabhi bhi band nahi ho sakta hai chahy jesy bhe halat houn.
          • #6 Collapse

            Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

            Dear member coronavirus ki vajah se Puri duniya bahut tension Ka shikar hai aur Agar aisi situation mazerd kuch Din barkarar rahti hai to yah chances maujood hain ki forex market ko kuchh dinon ke liye postponed kar diya jaaye kyunki ki Jab bhi lockdown hota hai to market mein gathering ko minimise kar diya jata hai isliye yah baat hamare yahan mein rahani chahie ki forex market band ho sakti hai lekin iska directly taluk in countries se hai jo isko mainly operate kar rahi hai. Jaisa ke aap sab jante Hain ki Pakistan mein lockdown ki vajah se tamam karobar motel Ho chuke hain same idi tarike se India aur bohat se aise Mumalik Hai Jahan per lockdown ki vajah se karobar band hai Is vajah se tamam duniya ki economy buri tarah hurt ho rahi hai hamen dua Karni chahie ke jald se jald ya situation clear ho aur market dobara apni jagah per a jaaye.
            • #7 Collapse

              Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

              Assalamu Alaikum Pyare Baba Jaan Nahin bhaijaan Virus ki vajah se market of Nahin ho sakti hai Kyunki yah market Koi Bhi pareshani Koi Bhi Jagah Nahin Hai yah sab market Mein trade online Hi Kam karte hain aur sab online hi business Mein Shamil ho rahe hain isliye market Chalti hi Rahegi Agar baith kar bhi Ham to ismein kam karne ka ek Achcha mauka Hai Jiske pass Achcha experience hai to vah forex market Mein Karke Achcha margon Hasil kar sakta hai aajkal Jaise Barish Ki vajah se pure business ke andar tabah kariyan free country Ke Andar hai uska masala Chal Raha Hai Jiski vajah se bahut Sare business Band Ho chuke hain lekin doston Forex trading Aisa business hai jo main bhi band Nahin Hua aur Hamen apni mehnat karne ka mauka mil raha hai ki nahin Karte Hain
              • #8 Collapse

                Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

                forex market lock down ki wjaah say band nahi hoi hai kyon ky ap nay dekha ho ga ky pechly dino main aik month tak lock down raha ha jiss waja say market main khas fark nahi aya hai movement main tu fark zror parta hai mager market off nahi hoi hai market main movement hoti he rahi hai wahid forex business he asa business tha ju pori dunia main har business band honny ky sath forex market chalti rahi hai is lea forex business he asa business hai jis main market movement karti rehti hai is lea is business main ham ko achi tarh say sekhna chahye kyon ky is say hmain kafi faida mil sakta hai is lea is main ager ham success ho jaty hain tu har msuhkil halat main bhi is main kam kar ky earning kar sakty hain.
                • #9 Collapse

                  Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: Adnan manzor پيغام ديکھيے
                  Dear Members hazrat mri dua hy ap sub dosto say ap sub khariyt say hn or mahnat k sth apna Pana kam kr rhy hn forex treading humra online international business hy jesa k ap k samny hy pori dunia main corna vires phal gia hy or buht say country main lock down hy kia lock down say forex market pay asar phar skta hy ya band ho sktii hy ya nii.......
                  Dear jasa k ap ko pata ha corona virus kisi aik country pe asar andaz ni hua ha is waja sy sab country ki currency mutasar hue han is ley humy pata forex market band ni ho sakti ha han kisi aik pair ya CFD band ho sakti ha jase ap ny dakha ho ga oil ki price -37 tak chali ge the par phr aik din k ley is ko stop kar dea gea tha is tahra ho sakta ha par puri market band ni ho sakti ha q k full market tab he band ho sakti ha jab puri duniya khatam ho jay jab tak duniya ha or is main tohra bi business ho raha ha to is ko kuch ni hona ha ye chalta rehy ga or market band ni ho ge aik do pairs stop ho jany aik do din k ley kuch metal CFD stop ho sakti han par hum ye keh dan k puri market band ho jay asa ni ho sakta ha is ley humy ahtiyat sy trading jari rakhni ho ge ta k hum loss sy bach k ache trading kar saken
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Jaiza :Lock Down Ki Wja Say Forex Market Band Ho Skti Hy.??

                    Forex ki market completely crash ho chuki hay aur trading rok di gai hay, ye siraf lock down ki waja se nahi howa hay es ki waja ye hay key corona virus ne har country ki economy ko khatam kar dia hay aur Forex market me ab kesi be currency, crude oil, metals par trading nahi ho rahi hay, recently agar financial markets me trading se related news ko search kia jaye to ye bat samny ati hay key Forex market me trading karna stop ho chuki hay hamy dowa karni chaye key ye virus khatam ho jaye aur per se ham Forex market me trading karny key position me ajaye shukriya apka.

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X