Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay
    Internet aik bhot bari invention hay ye pori dunya men maqbol hay aur internet ki badolat log apnay gahron men rah kar online business har rahay hen eski badolat ham teaching bhi kar sakty hen bhot saray aisay student bhi hen jo kay ghar men beth kar internet kay through talem hasil kar rahay hen jiski example Virtual University (V.U) hay A.I.O.U bhi hay dunya kay aik konay men koi bhi incident hota hay to es ki waja say chand lamhon men wo new ham tak ponch jati hay aur es tara say ham halat sy ba khabar rehtay hen.

    Advantages:-

    1. Internet say ham ghar men reh kar bhot say kam kar saktay hen for example any course.
    2. National and Internationals Flights ki baray men jankari hasil kar sakty hen.
    3. Vehicles ko track kar saktay he.

    Diadvantages:-

    1. Internet kay use say amoman chotay bachay carton men ya game men masrof rehtay hen jis ki waja say unki talem pay bura asar parta hay.
    2. Internet men aur bhot c chezen hen jin kay use say ikhlaqi tabahi hoti hay.
    3. Fraud karnay walay log aisay link ham tak send kar detay hen jin sy hamaray account hack ho jatay hen ya PC sy data hack ho jata hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

    Ji han dear aapane bahut hi Achcha reviews Ki Hai Lekin aaj kal internet bahut jyada Aam Ho Kya Hai takriban Aap Har Ghar Mein Dekhen to internet use ho raha hai internet connections Lage hue hain iska bahut Sare fayde bhi hain aur bahut Sare nuksan aadami Hain jitni Iske fayde Hain Itni taklif Anees ke nuksan bhi hain lekin fayde Mein ki baat ki date to isase internet ke jarie Ham Agar Hamare koi bhi relative jakar Ghar Ke member by hota hai out of country Hota Hai To Ham usse baat kar sakte hain Duniya Se touch Rah Sakte Hain global market ke bare mein Ham koi bhi news dekh sakte hain to Koi information Hasil kar sakte hain Agar Ham online study kar rahe hain to uske liye Hamara internet Ka Hona jaruri hai aur Agar Rukhsana ki baat ki Jaaye To Ham dekhte hain ki ismein agar aajkal pubg game bahut jyada hight hai bahut jyada Kheli ja rahi hai to do game bhi khelte rahte hain aur apni study ko ya FIR aur Apna Kam Nahin Karte bacche Agar mobile ko use karte hain to vah internet per YouTube open kar lete hain apni study per focus nahin kar paate aur ham internet Ko ****l Ka Munh Mein Sar kar dete Hain.
    • #3 Collapse

      Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

      Ye Raja Ji aapane ek bahut hi accha review pesh kiya hai agar Ham Aaj Kal ke Daur Mein Dekhen to internet ke bahut hi jyada use ho raha hai Kyunki uski bahut hi jyada fayde Hain agar aap internet ko use karte hain to yah aap per depend karta hai ki aap isko kaise use karte hain agar aap isko positive use karte hain to aap usmein kafi jyada fayda ho jata hai cucet aap Agar is tasvir andar Dekhen se aapane kismis ke fayde Aur nuksan Ke abhi Hain aapko yah pata hai ki Internet per Ham Agar Ek Roti ke hisab se time Dete Hain To Ham apni social life disturb nahin Karte Agar Ham ismein socialize per Jyada time Dete Hain To Ham Ko ismein Kafi jyada nuksan ho jata hai.
      • #4 Collapse

        Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

        Dear ye ap ne bahot hi achi baat ki hai her cheaz k kuch faidey aor kuch nuqsan hoty hai aisy hi ap ne agar dekha ho to internet k bahot hi zayda faida hai aisy hi ais k kuch nuqsan bhi hai ye ap ko khud decide karna hota hai k ap ne kis taraf jana hai agar ap ais dunia mai dekhy to ap ais k zarye pori dunia se connect reh sakty hai aor ais mai khud bhi khush reh sakty hai agar ap ais dunia mai dekhy to ap ko ais mai internet par her cheaz ki maloomat mil jati hai aor ais se ap her kisi k sath connect ho sakty hai ais k sath ap ne agar internet k nuqsan dekhy to log ais par aisi sites use karty hai jin k bahot hi negetive asrat hoty hai mind par aor ap ki life par ais liay soch samjh k aisa qadam authye.
        • #5 Collapse

          Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

          asslam o alikam dear ap ne bohat acha review diya hai internet main internet se hume kafi faide hote hein hum ghr beth internet se se har cheez ka knowledge lein sakte hein is main internet k zariye hum online karobar be kr sakte hein ise hum online trasaction be kr sakte hein hum online paise be baj sakte hein ur le be sakte hein internet se pori duniya main sab se zada use hota ha is k bohat se faide hein is k zariye hum apne piyaro se video call main bat be kr sakte hein ur hume other mulk se money trasfar be kr sakte hein ur lein be sakte hein is k nuqsan ye hein k chote hein is ko galat use krte hein jis ki waja se os k taleem main kafi asar parta ha wo ghr main beth online cartoos dekhte hein jis ki waja se study nai krte hein ur nojawab whatapps facebook main apna time waste krne hein
          • #6 Collapse

            Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

            Internet ke faide aur nuqsanat
            Faide:
            Internet Hero visor Riaz Jiski madad se aap aur main aaj is platform per baat kar rahe hain aur apni information share kar rahe hain
            Internet ke jarie aap Puri Duniya Se Kisi bhi time kisi bhi waqt connect ho sakte hain
            Pal Pal ki khabar aapko milati hai ki puri duniya mein kya ho raha hai aur kis jagah per kaun si hai Mamla chal rahe hain laser internet aapko Puri duniya ki news deta hai
            Internet ki vajah se jo information Dinon Mein pahunchi Thi vah ab second Mein dusri Jagah muntaqil Ho Jaati Hai Aur se seconds mein yah sari maloomat aapko Ghar Baithe a mil Jaati Hai
            Nuqsanat:
            Internet ke fayde hone ke bavjud Iske nuksan bhi hain
            Internet Ne Hamen aapas mein bahut Dur kar diya hai aur physical connection bahut thoda ho gaya hai ab Jyada Bande internet per hi prapt mein rahte hain aur aapas mein Mulakat Nahin Hoti
            Internet per bahut sari acchi chijen hone ke bavjud Kuchh Buri chijen bhi hain aur vah aapko isliye available Hain Jo Ek nuksan Ki Baat Hai
            • #7 Collapse

              Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

              ye review Internet Connection par mubni hey.
              asslam.o.alaikum
              tafseeli jaiza; Internet Connection .
              aj main ap ko internet k barry main review dey rha hun k ham internet k istaml sey kiya faida utha skty hain .aj kal har office ,school,college ,privete deportement ,govertment deporment kise bhe jagah chahly jayai to wahan ap ko computer or internet conn ection lazman mily ga .is k istamal hamry lia bahot hi faida mand hai ham is sey apney importent documents ,picture ,video ik dosry bandy tak ya deportment tak asni k sath bhej skty hain chy wo banada kise jagah kise city ya kise bhe country main majood kiun na ho os k bas ik second k onder document ya video punch jayai ge .internet ney hamry kam ko bahot hi teez treen kar diya hain ab ham internet k zariyai online education bhe hasil kar skty hain or mukhtlif skills bhe skh skty hain aj k ddor main yeh hamri zarort ban choka hai .
              faide (advantage);
              *internet k zareyai ham koi document kise bhe city ya country kise bandy ya deportment ko ik second k ander sand kar skty hain jo k kise or triky sey posible nahi hai .
              *aj k door mainbahot ziada business hai jo internet k sahry chal rhy hai or jin sey ham faida utha rhy hain jisa k forex traiding,pak forex forum or bhe bahot hai freelancer k lia news etc .
              * aj k door main agar ham internet ka use karty hain to is sey bahot koch hasil kar skty hain .
              *is k unlimted benefits hai jo agar main batata joun to review bahot hi lamaba ho jajyaiga.
              nuqsanat (Disadvantage);
              *agar ham is ko use facebook,pubg,ya dosri kise bhe game ya social network par karty hain to hamara kafi ziada time waste hota hai .
              *is ki laat agar bacho ko lag jayai to phir wo parhai ki trf tawjookam dety hain or internet par ziada time srf karty hain .
              *internet k zariyai hacking bhe ki jati hai jo k sahi chiz nahi hai or ghair qanoni work hai is sey har aam ko khatra ho skta hai jo internet ka use karta hain .
              Last edited by ; 28-04-2020, 08:14 PM. وجہ: spelling mistake
              information for Beginners
              Complete Forex Knowledge
              • #8 Collapse

                Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                Internet ki ejaad nay duniya ka system he badal kay rakh Dia hai. Internet ki wajah say duniya aik global village bann chuki hai. Jiss say poori duniya aik dusray say rabtay bohat asaan ho gaey hain. Taleem, khail, entertainment, business ya social networking ho woh bohat asaan ho chuki hai. Jaha internet kay istamaal say asaaniaa aa chuki hain wahi bohat si mushkilaat bhi aa chuki hai.

                Advantages :-

                Internet ki wajah say ab kisi cheez kay barey mai maloom kerna, parhna aur seekhna bohat asaan ho chuka hai. Internet ki wajah say social media aur raabtoo mai bohat asaani ho chuki hai jiss say kharchay bohat Kamm ho gaey hain. Internet ki wajah say ab distant learning aur online education bohat asaan ho chuki hai. Internet ki wajah say karobar aur rozzgaar kay bohat say new tareekay aa chukay hain

                Disadvantages :-

                Internet kay istamaal ki wajah say jismaani kaam bilkul khatam ho chukay hain jiss say bohat si jismaani bemaariyaa aa chuki hain. Internet ka bay jaa use bacho ko Taleem say door ker raha hai. Internet ka use society mai bohat si samaaji buriyoo ko janam day raha hai. Internet ki wajah say online games shuur honay say bacho ki eye sight aur education aur bool chaal ka accent bohat kharaab ho chuka hai
                • #9 Collapse

                  Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                  dear friends,ap sab nay bahut he achay tareekay say internet k adbantages aur disadvantages ko explain kia hay mairay khayal say hamko internt k zada fawaid he miltay hain agar kisi nay iska usee ghalt tareekay say karna hay to to tab he usko iska nuksaan hota hay,agar ham isko whats app k zariye say apnay friends aur others relative say live video call kartay hain to hamko iska faida he hay koi bhi nuksaan nai hay,agar ham iska use apnay kisi online business say kartay hain to tab bhi hamko is ka faida he hay koi nuksaan nai hay,ham jub tak isko khud ghalt tareekay say use nai kartay hain hamko iska aik feesad bhi nuksaan nai hay,pehlay dour main ham kisi ko letters waghaira likhtay thay laikin aaj hamara internet ki wajha say har aik message aik second main pounch jata hay to hamko internet ka faida he huva hay koi bhi nuksaan nai hay,to hamko isk use ko har haal main sahi tareekay say karnay say ham apni bahut sari problems ko solve kar saktay hain aur unka solutions bhi nikaal saktay hain.
                  • #10 Collapse

                    Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                    Internet ki waja se world hamary ley 1 global village ban chuki hay ham internet par har place ka visit be kar sakty hey aur world se related koi be maloomat ham within 4 sec me mil jati hay ye sab internet ki waja se hi hay es key use karny key koch advantages be hey aur disadvantages be hoty hey jo me members key sath share karna zarori samjta hon,

                    Advantages: Internet ko agar achy maqsad se use kia jaye to ham har kisam ka knowledge es se hasil karny me kamyab ho sakty hey, students agar es ka use karty hey to apni study ko mazeed asaan bana sakty hey, kesi be type ki information agar urgent base par darkar ho to internet source hi sab se best hay.

                    Disadvantages:jaha par internet bahot faidy deta hay es ka main disadvantage ye hota hay key 70% persons es ka ghalat maqased key ley use karty hey.
                    • #11 Collapse

                      Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                      asslam o alikam dost ap ne achi thread open ki ha internet k faida be hein ur nuqsan be ha ye hamre upr depend krta ha k hum is main kis treeqey se internet ko use krte hein sab se phaly advantages k bhrey main bat krte hein
                      advantages net ko use kr k hum bohat sa knowledge le sakte hein jaise k hum is main internet ka use kr k online work be kr sakte hein ur ur be har cheez k bhrey main hum knowledge le sakte hein
                      disadvantages internet main hum bohat hi befasol cheezuo ko dekh sakte hein jis ki hamra mazab ajazat nai deta ha is liye internet ka sahi use kiya krein
                      :1f60d: hard work :1f60d:
                      • #12 Collapse

                        Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                        ye rieview internet ka faedy or nukasnat pr mubni h jesa k hum bs janty h k internet aj kal hr ghr me use ho rha h jis k zareiye ghr bethy log kama rhy h hum ghr bethy internet k zariye qurani tallem sikh skty h or out of country sikha b skty h internet ki wja se humary liye duniya global village bun chuki h internet se hum hnr kism ka knowledge hasil kr skty h or lehza agr hum sahi internet ka istmal kry gy to humy fyda ho ga or agr galt kry gy to nuksan hi ho ga

                        Advanteges: internet k zariye students tallem hasil kr skty h internet humy duniya ki tmam malumat frahm krta h internet k zareeiye hum kma skty h jesa k online job youtube k zariye wager isis cheezo se hum bht pesa kma skty h n intedrnetg k zariye duniya ny bht zyada tariki ki h
                        Disadvanteges: internet k nuksanat ye h k logo ko rat bhr internet facebook ni use krni cahie zyada log internet py time guzarty h jis se insani seht pr nuksan hota h or jismani tor pr bht sari bimriyo ka sikar ho skty h
                        • #13 Collapse

                          Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                          Assalam o alaikum dosto me hu naveed Abbas sanwal or umeed hy k ap sb log khairiyat sy hu gy or umeed hy k ap sb log stay home and stay safe waly rule ko follow kr rahy hu gy.
                          Dosto internet aj kl k dor ki bht hi zroori cheez bn gya hy. Is k bagir ab kch bi mumkin ni.

                          Advantage.

                          1: duniya ki koi bi khbr aesi ni jo internet pe na milyn.
                          2: Useful apps ko run krny k leay.
                          3: social media on internet.
                          4: online jobs
                          5: online business and transaction.
                          6: education related sari information.
                          7: google internet ka Shankar hy jis pe ap kush bi dhoondh skty hyn.
                          8: duniya k kisi Kony ki khabar kch pal pe ap k samny hoti hyn.
                          9: kisi bi entertainment k leay internet zrori hy.
                          10: kisi bi kisam ki information kisi bi cheez k mutaliq mil jaye gi.

                          Jahan is k faidy hyn wahan usi tra Is k nuqsan bi hyn.

                          Disadvantage:

                          1: wqt ka ziyah sb sy ziyada apka time waste hota hy.
                          2: internet k pkgs bht mehngy hyn jis sy paisy bi zaya hoty hyn.
                          3: fahashi hr kisam ki is pe milti hy bachy ghlt rasty pe chal pdti hyn.
                          4: boht zyada istmal sy ankho pe bht bura asr pdta hy.
                          5: hackers ap k personal data tk ponch jaty hyn.
                          • #14 Collapse

                            Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                            Assalamu alaikum umeed kerta hun ke ap kheriyat se hon gy. Doston internet Ne Hamari Duniya Ko Ek almi Gaon banaa diya hai jo Ke Sab Jante hain aur iski vajah se Aisi Aisi trakiyan ho rahi hai jo isase pahle Nahin ho rahi thi aur Jahan Kuchh Iske fayde bhi hai vahan Iske nuksan bhi Hain.
                            👉ADVANTAGES
                            ✏ doston internet ki vajah se bahut se fayde hue hain iski vajah se Ham Kisi bhi Jagah per Baithe Kisi se big baat kar sakte hain internet ki badaulat hi Ham Ek dusre se documents share kar sakte hain aur kisi bhi to commence ka ko Hasil kar sakte hain.
                            ✏ doston Agar Ham Dekhen to bahut se business internet hi ki badaulat start hue hain forex bhi internet hi ki badolat start hua ha.
                            ✏ internet ki vajah se Ham bahut Kuchh Sikh sakte hain iski vajah se Ham Google per search karke ya FIR Kisi bhi chij ke mutaliq search karke ismein Uske bare mein information Hasil kar sakte hain ismein Aisa bahut Kuchh sikhane ke liye joke Hamare Jindagi ko aur Aasan Bana deta hai.
                            ✏ internet hi Ki badaulat ham online classes Le sakte hain aajkal coronavirus ki vajah se jo Halat chal rahi hain vah sirf internet ki hi badolat hai ki in halat mein bhi padh sakte hain.
                            👉DISADVANTAGES
                            ✏ iska jarurat Se Jyada istemal karna time West karne ke barabar hai.
                            ✏Bahut se bache bhi iska use karte hain internet ka use ghalat tareeke se karne se vah padhaai acche tarike se complete nahin kar sakte aur bahut se bacche bhi padhaai Se Dur Chale Jaate Hain.
                            ✏Ismein online games hai aur Agar unko Dekha Jaaye to bahut jyada matvaja ho rahe hain Jiski vajah se vo padhaai ko complete nahin kar sakte aur Unki eyesight ka nuksan ho raha hai. THANKX
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Ye Review Internet kay feday aur Nusanat par mabni hay

                              Dear friends internet ake zabardast invention hay jiss ki waja say sari dunya ake global village ban gi hay internet ko istamaal karney ki zarorat ab aur zayada barh gi hay Kyu Kay international business ko join karney Kay liye haumay internet ki zarorat hoti hay app internet ki waja say Ghar may rehtay hoye bohaut kuch seekh saktay hay cooking recipes ko app online class lay Kar behtareen tareekay say seekh laytay hay aor stiching say related programs ki waja say app ghar pay rehtay hoye hi stich karna dress design Kay short courses app join kartay hoye seekh laytay hay aor ajkal ki situation Kay mutabiq haum online education bhi hasal Kar saktay hay Agar hamaray pass internet ki facility nai hoti tou haum online kuch bhi hasal nai Kar saktay hay iss liye internet bohaut zayada zarori ho gaya hay haumay internet ki waja say international market ki currunt situations ki information hasal hoti hay haum kisi bhi chez Kay baray may information Google pay ya YouTube say search Kar saktay hay overall internet bohaut zayada zarori ho gaya hay .

                              Advantages:

                              Internet ki waja say haum apney gharo may rehtay hoye apni income ko increase Kar saktay hay haum internet ki waja say online business kartay hoye apni economical development ko improve kartay hay aur Internet ki waja say hamaray knowledge aur information may improvement peada hoi hay haumay kabhi bhi kisi bhi problem Kay salotion Kay liye Internet say help laytay hay aur Internet ki waja say hamari Zindagio may positive change ata hay .

                              Disadvantegs:

                              No doubt internet Kay bohaut zayada advantages hotay hay magar dosri tarf dekha Jaye to iss Kay disadvantegs bhi bohaut zayada hotay hay hamaray bachay internet ki waja say sara din online games kehlatay reahtay hay parents aur bachoo Kay darmyan conversation gap ata ja raha hay Agar gahr may 4 logg mojud hay tou sab at a time internet say connect hotay hay jiss ki waja say apus may bat cheet impossible chez hoti ja rahi hay aur agar dekha Jaye to internet pay bohaut zayada esi application hoti hay jiss ki waja say Logo Kay ikhlaaq tabha ho jatay hay.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X