Ye review Auto Cad Softwae par mubni hai.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #16 Collapse

    Re: Ye review Auto Cad Softwae par mubni hai.

    Autocad kay barey mai agar yeh kaha jaey kay yeh aik kamaal ka software hai tou bilkul ghalat nahi hoga. Autocad seekhna aur phir uss pay kaam kerna bohat acha samjha Jata hai. Autocad say her qisam kay naqshay waghaira mintoo mai bann saktay hain aur sirf naqshay he nahi her Tarah ki shapes bohat asaani say Banai jaa sakti hain. Autocad kay softwares say drawings aur 2d and 3d graphics designing ker saktay h
    Faidey
    Autocad ko 1982 mai release kia gaya Tha aur uss kay baad say 2020 tak iss mai updates aur upgrades musalsal ho rahi hain. Autocad say sirf gharoo kay naqshay he nahi ships, aeroplanes, fighter jets, submarines ya koi bhi aisi cheez jiss ko design kerna ho uss kay liye use kia Jata hai. Auto cad ki wajah say he her shobay mai jiddat I hai aur her cheez ki pehlay say 2d aur 3d tasveer daikh li jaati hai jiss say usay mazeed behtar kia jaa sakta hai
    NUQSAN
    Autocad kay disadvantages mai iss ki apni qeemat ka bohat ziada hona hai. Wesay tou iss kay pirated version market mai bohat sastay mill jatey hain laikin iss software kay upgraded aur registered versions ki price bohat ziada hai aur uss ki wajah iss ko use kernay waalo ki demand prices hain. Autocad ka dusra disadvantage iss kay liye bohat acha aur specific configurations wala system hona bohat zaruri hai jo khud bhi bohat costly Parr Jata hai

    اب آن لائن

    Working...
    X