Yeh review shograan aur Sri paya top ki sair gaah per mubni hai (Part 2)
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yeh review shograan aur Sri paya top ki sair gaah per mubni hai (Part 2)
    Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap bohat achay hongay. Previous part mai paya ki jheel ka aap ko bataya hai. Uss jheel kay paas bhi kuch tuck shops mojud hain laikin woh bohat costly hain kiyu kay waha pay sada paani bhi jaisay pohanchta hai mai nay khud daikha hai aur dusra wazni samaan pohanchana bohat mushkil hai. Paya say again hun apna safar mazeed height ki taraf start kertay hain tou taqreebun half hour kay baad hum Sri top pay pohanch jatay hain. Track bohat ruff aur tuff hain. Personal gaari shograan takk bohat mushkil say 4 wheels pay aa sakti hai laikin uss say Agay kisi soorat bhi mumkin nahi hai. Sri tak pohanchnay kay baad insaan hosh kho daita hai kiyu kay aik bohat he oonchay pahar pay uper he uper aatey huay aisa lagg raha hota hai kay Humm asmaan ki taraf jaa rahey hain laikin jab Sri top pay pohanch jatey hain tou pata chalta hai jaisay zameen ki chatt pay agaey hain laikin amazing baat yeh hai kay Sri top pay ghaas kay maidaan hai. Jaisay koi bohat Bara grassy football grounds ho aur unka aik kinara bhi hai jo neechay hazaaroo foot khaayioo ki soorat mai hain. Sri top pay nite stay kay liye hut, tea shops, tuck shops aim aik chota sa restaurant bhi mojud hain laikin yeh aisa he hai kay aik football ground ho bohat bara sa aur uss kay aik taraf aap kharay hain.

    Sri paya top say aap ko apnay bilkul saamnay Pakistan ki aik khoobsurat baraf say dhaki choti MAKRA Top nazar aati hai. Sri paya Sarah samundar say 9500 feet bukand hai aur MAKRA TOP 13500feet buland hai. Sri paya top pay aap baadloo kay darmiyaan mai hotay hain aur aap ko aisa lagta hai kay aap kay aas paas badal ghoom rahey hain. Aur jabb aap iss top say neechay daikhtay hain tou neechay bhi badal he badal nazar atey hain. Pakistan kay khoob surat elaaqoo mai say khoob surat tareen elaaqoo mai say aik shograan,Sri paya top hain. Mai aap ko Pakistan kay iss khoobsurat silsalay ki agla review MUSA KA MUSALLA top ka dunga woh bhi issi jagah pay he Dusri direction mai hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yeh review shograan aur Sri paya top ki sair gaah per mubni hai (Part 2)

    Sograan ka area bahot hi khubosrat hay jo key kaghaan key sath hi aur yaha key dilkash manazir logo ko apni taraf kenchti hey, worldwide se tourists yaha tak ka safar karty hey aur es en manazii ko apni zindagi key yaadgar lamhat bana lety hey, sri paya top jo key sograan se zeyada door nahi hay agar sograan ya kaghaan me stay kia jaye to tourist asani se sri paya top ka saffaar kar key es ka visit kar sakty hey, mery khayal me agar koi be sograan. kaghaan aur naraan ka saffar karta hay to us ko chaye key key wo sri paya top be jaye jo key bahot hi beautiful place hony key sath yaha par hotels ki facility be majood hay.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Yeh review shograan aur Sri paya top ki sair gaah per mubni hai (Part 2)

      Shogran sri payaa
      Aapane Jo second part Hamare Sath share kiya hai vah aapka experience bahut hi interest Najar a raha hai aur jo aapane interesting Le Ja yah story bataiye hai hi aapko main relay appreciate karta hun ki aapane bahut hi time lagakar aur bahut hi mehnat se aapane yah story Hamare Sath share Ki Hai so aapki is Lagan aur is Pahle Se Main Kafi Jyada mutasir Hua hun aur aur aapse yahi gujarish hai ki Aap Hamare Sath ISI Tarah yah stories share Karte Rahen aur yah stories jab tak Hamare Sath AAP share karte rahenge Humko iska fayda hota hai kya aur ham aapki Aisi kahaniyon se aur Aisi Safar ki experience a lot pados Hote Rahenge aur Hamara experience bhi is mamle Mein badhta Rahega Jo ke aage jakar Humko Kafi Jyada fayda dekh sakta

      اب آن لائن

      Working...
      X