Yeh review MUSA KA MUSALLA top ki sair per mubni hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yeh review MUSA KA MUSALLA top ki sair per mubni hai
    Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap bohat achay hongay. Maira yeh review HAZARA DVISION ki aik khoobsurat jagah kay barey mai hai. Jisay maqaami loog MUSA KA MUSALLA kehtay hain. Jab mansehra say balakotbya kashmir road pay travel kertay hain tou kuch he safar kay baad aik town jo road pay he waqaey hai jiss ka name Qalandar Abad hai woh ata hai. Qalandar Abad say Agar right side pay road pay raha jaey tou balakot aur kaghan naran atey hain jo agay chall kay babu sar top takk chala Jata hai. Laikin Agar Qalandar Abad say batt garam batthal road pay seedha chala jaey tou aik tourist point shenkiyari ajata hai. Sheynkyari say Agar right road pay chala jaey tou agay jaa kay aik maqaam DADAR ajata hai. Uss kay baad KUND BANGLA ka point ata hai. Yeh sub small villages hain aur yeh yaad rahey kay yeh sub elaaqay bohat bulandi pay hain aur bulandi barhti jaati hai. KUND Bangla takk road ki halat behtar hai laikin uss say agay pakki sarak khatam ho jaati hai aur apni gariaa waghaira KUND Bangla he chorni hoti hain jaha paid parking private available hai. Yehi say camping ka samaan, khanay peenay ka samaan aur guide aur labor waghaira laini parti hai. KUND Bangla kay baad paidal track shuru hojata hai jo nadi Bangla takk Jata hai. Nadi angla say agay bohat ziada height aik Damm say shuru ho jaati hai aur woh paidal track seedha pahaari kay top pay Jata hai jisay MUSA KA MUSALLA kaha jata hai.

    Musa ka MUSALLA top pay pohanchnay ka aik rasta aur bhi hai jo jeep track hai aur KEWAI kay maqaam say Thora aagay PARAS village say ata hai woh jeep tarck intehai dushwaar hai aur seedha nadi Bangla takk he ata hai uss kay baad paidal track he MUSA KA MUSALLA tak Jata hai. MUSA KA MUSALLA top ki bulandi 13500 feet hai. Aur waha say Pakistan ki 3 heigh tops nazar aati hain jinn mai MAKRA TOP, MALKA PARBAT AUR NAANGA PARBAT shamil hain. Aur Agar mosam saaf hoto he nazar aati hain. Musa ka MUSALLA top ka land scape, mosam aur khoobsurti say aisa lagta hai jaisay yeh parioo ka dais ho.

    Note: inn elaaqoo mai agay barhnay ka Matlab bulandi ki taraf Jana hai kiyu kay aap aik he pahaar kay gird ghoomtay huay uss kay top pay pohanchtay hain aur neechay lay kay top takk 8000 say 9000 feet ki height cover kertay hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yeh review MUSA KA MUSALLA top ki sair per mubni hai

    Musa ka musala key bary me mujy etni zeyada information nahi ti magar jab mery friends (jes ne es place ki travelling ki hay) jab me ne es jaga key photograph deki to mujy fakhar mehsoos howa key Pakistan me etni khubsoorat places be hey jes ki khobsorat pori dunya me mashahoor hey, musa ka musala tak travelling 3 routs use kar key ki ja sakti hay,

    1. Shinkiari se Monda Gocha rout use kia ja sakta hay
    2. Balakot se Nadi Bangla aur Kund Bangla route key through be musa ka musala tak ham ponch kar sakty hey
    3. Paras se ho kar Sharran forest route.

    اب آن لائن

    Working...
    X