Yi Review Air force Kya Museum Karachi Per mubni hai(Edited By Rizwan Trader)
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yi Review Air force Kya Museum Karachi Per mubni hai(Edited By Rizwan Trader)
    Yi Review pakistan Air Force ka sub say baray museum jo kay Karachi may hy usky hawaly say hay
    Fayda (advantage)
    Yi karachi may karsaz pul kay qareeb main shahrah e Faisal py waqia hy
    Yi bohut he Zyada khubsurat hy esmay puranay door aur nayi door kay tamam fighter aircraft kay model nasaab kiye gayi hy
    Esmay air to air ground to air warhead show kiye gaye hy.
    Esmay different type kay Reidar be hay
    Esmay ek zabardast gallery hay jismay bohut he tareekhi cheezay aur Air force ki history kay baray may bohut kuch hay.
    Quaid e azam kay istemal ka jahaz b gellery ka hissa hy
    Sub say behtreen bat 27 feb kay waqia ka tabah shuda jahaz aur kuch yadgar cheezy gellery ka hissa hy
    Food point shops b hay
    Bucho kay liye playland be hy
    Baron kay liye be acha fun point hy

    Nuqsan (disadvantage)
    Yahan pur sirf family allowed hy
    Akayly gents ki entry banned hy
    Rat ko 10 bajy closing timing hy
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yi Review Air force museum Karachi pur mubnee hy

    Air force museum karachi
    Advantages:
    Air Force museum Karachi tafri ke liye bahut hi Achcha makam hai aur aapko bahut history sakti hai
    Vahan per air force ke jitne bhi fighter jets Hai vahan uski ki sari detail maujud hai aapko Kafi Jyada knowledge milega
    Aap public holidays per vahan per Jaenge to aapko Kafi Jyada Ras Milta Hai vaise bhi a 24 hour Nahin Hai isliye log Jyada Jaate Hain vahan per
    Agar aapko history mein dilchaspi hai to aap Jarur ismein jaaiye aur aur jakar apne general knowledge mein izafa Karen
    Disadvantages:
    Air Force museum Karachi ka nuksan hai ki vahan per sirf family allowed hain aur aap Akele vahan per Nahin Ja sakte hain
    Air Force museum Karachi ki timing 10 baje tak Raat Khula hota hai Iske bad aapko entry allowed Nahin Hai
    • #3 Collapse

      Re: Yi Review Air force museum Karachi pur mubnee hy

      Pakistan air force Pakistan ka aik bahtreen idara hai. Pichlay saal 27 febuarary ko Pakistan Air force nay India kay jahaz tabah kiye thay aur abhi nandan ko bhi griftar kia Tha phir usay wapis bhi bhaij Dia Tha. Pakistan Air force ka aik bohat bahtreen museum Karachi mai waqai hai. Agar Karachi jaey tou Pakistan Air force kay museum bhi zarur jain. Jab train pay Karachi jatey hain tou aik airport kay station kay baad paf museum ka nazara bhi left side pay nazar ata hai. Paf museum aik bohat acha picnic point hai. Paf museum mai Pakistan air force ko tareekh kay mutabiq banaya Gaya hai. Aur Pakistan bannay say lay kay aaj tak ki tamaam history waha mojud hai. Paf museum mai bacho kay liye aik bohat khoobsurat play land hai. Iss kay elawa paf museum mai aik indoor gaming land bhi hai. Paf museum mai aik bohat acha food court bhi hai. Paf museum mai Pakistan air force kay real aur original jahaaz bhi mojud hain. Jinn ko daikh kay Pakistan ki hifaazat kernay waalo ki haibat ka sahi tarah say pata chalta hai
      • #4 Collapse

        Re: Yi Review Air force museum Karachi pur mubnee hy

        Pak fazia ka Air force museum jo key karachi me hay ye Karsaz Flyover shahrah e faisal par hay jes me air craft raky hey hey es key main museum ka agar visit kia jaye to other fighter craft key sath esy fighter jets be raky gay hey jes ne 1965 me hisa leya ta, ye museum bahot hi ehemyat rakta hay aur esa aircraft be majod hay yaha par jo key (Muhammad Ali jinha) ne use kia ta, es museum me majood har aircraft ki apni hi history hay koch aircraft ne india key khlaf be use key gey tey aur koch esy aircraft be hey jes ne World war 1 aur 2nd me be hisa leya ta.
        • #5 Collapse

          Re: Yi Review Air force Kya Museum Karachi Per mubni hai(Edited By Rizwan Trader)

          ASLAM O ALIKUM DEAR,
          App sab ye to janty hi hein ke yeh review Air force kya Museumke bary mein hei.Gee to start kerty hei apny ajj ke topic ke bary mein ke iss ko PAF Museum to keha hi jatta hei lekin mazy ki batt ye hei ke yeh ik Park bhi hei our ik bohatt hi shandar Park hei .OUR ye Park hei nazdek Karsaz Flypver Shahrah e Faisal par our Karachi Sindh PAKISTAN mein . yehan par mosam her waqtt itna shandar rehtta hei ke agar ik bar insan yehan par ajjay ti dubara jany ka yehan sy dill nahein kerta , our yehan par jany kelyye app ko Address ki zaruratt ho gee .
          Address;PAF Museum Road Shahrah e Faisal Rd,Faisal contonment karachi Karachi city sindh.
          OPEN;Mon-Fri 8.00am-10.00pm.
          Sat-sun 8.00am -9.00pm.
          Yeh Museum bohtt ahmyatt ka hamill hei kiun ke iss ko hamary Leader yani ke Qaid e azam Muhammas Ali Jinah nyya use kiya thaa our iss museum ki khas batt yeh hei ke iss mein Air craft rakhy gay hei our is ke sath sath iss mein 1965 ki jang mein larny waly Fighter jets bhi rakhy gay hein .OUR iss Museum mein bohatt purany purany air craft bhi hei ke jinhon ny 1st world war mei hissa liya tha our 2nd world war mein bhi hissa liyya tha our yeh hamary lyye ik fakhar ki batt hei.
          • #6 Collapse

            Re: Yi Review Air force Kya Museum Karachi Per mubni hai(Edited By Rizwan Trader)

            Hi friends umeed hay kay ap sab thak hon gay or ya review air force kye museum per mubni hay dosto ya to boot acha museum hay or ic main boot
            porani air carts rkhi gi hain or ic main jany say phaly ap ki ticket kay sath apni sanaket bi krani hoti hay ic main boot say old air craft raky gay hain or
            ic main 1965 ki lari main jo tank jo aeroplean lary thay wo bi in main raky how hain ic main in air carth bi raky how hain jinon nay fact war main lary thay
            • #7 Collapse

              Re: Yi Review Air force Kya Museum Karachi Per mubni hai(Edited By Rizwan Trader)

              Air Force museum Karachi may waqay hay aor main road shah ra e Faisal per waaqay hay. Loogo ko confusion hoti hay Kay shayad bilkul road pay he hay laykin aysa nai hay kiyu Kay ye road say under hay. Paf museum Karachi may ake bohut ahca picnic point bi hay jaha pay family Kay saath zaror ake baar jana chahiye. Aysi jaghoo pay jaa Kay Pakistan aor Pakistan ki forces Kay barey may bohut kuch pata chalta hay jic say information may bohut fayda hota hay.

              ADVANTAGEs

              PAF museum ki location bohat ideal hay. Kiyu kay waha jic month may bi Jaya jaay garmi ka ehsaas nai hota hay. Pak museum ki achi baat waha pay serf families ki entry hay. Museum may chotay baxhoo Kay liye ake bohut axha gamming zone hay jaha bachay bohut khush hotay hay . Uc kay elawa bi bohut zayada aor bohut axhay jhoolay mojud hay. Jaha pay family Kay saath bohut maza ata hay. Ici tarah museum may ake air craft simulator bi hay jic may baith kay aysay lagta hay Kay asli jahaz may baithay hay. Paf museum may quaid e Azam ka jahaz bi mojud hay. Uc kay elawa paf kay tamaam puranay aor new jahaaz aor uniform kay elawa bohut say radars bi hay. Museum may jahaaz Kay asal model bi lagay huay hay. Ake bohut axha food court aor ladies aor bachoo ki shopping Kay liye stalls bi mojud hay

              DISADVANTAGES

              Museum Kay under costly cheezay hay. Jaysay Kay jhooloo Kay tickets kaafi mehangay hay. Museum ki alag say entry fees bi li jaati hay. Food court may bi khanay mehangay hotay hay. Aor ladies aor bachoo Kay stalls pay bi kaafi high price hoti hay. Paf museum may apnay samaan hand bags aur mobile ki hifazat bi zarori hoti hay kiyu kay waha sirf males he nai females bi haath ki safai dikha kay samaan aor mobile chori ker layti hay aor pher rush may pata nai chalta hay
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Yi Review Air force Kya Museum Karachi Per mubni hai(Edited By Rizwan Trader)

                Assalamu alaikum dear friends App sab ye to janty hi hein ke yeh review Air force kya Museumke bary mein hei.Gee to start kerty hei apny ajj ke topic ke bary mein ke iss ko PAF Museum to keha hi jatta hei lekin mazy ki batt ye hei ke yeh ik Park bhi hei our ik bohatt hi shandar Park hei .OUR ye Park hei nazdek Karsaz Flypver Shahrah e Faisal par our Karachi Sindh PAKISTAN mein . yehan par mosam her waqtt itna shandar rehtta hei ke agar ik bar insan yehan par ajjay ti dubara jany ka yehan sy dill nahein kerta , our yehan par jany kelyye app ko Address ki zaruratt ho gee .
                Address;PAF Museum Road Shahrah e Faisal Rd,Faisal contonment karachi Karachi city sindh.
                OPEN;Mon-Fri 8.00am-10.00pm.
                Sat-sun 8.00am -9.00pm.
                Yeh Museum bohtt ahmyatt ka hamill hei kiun ke iss ko hamary Leader yani ke Qaid e azam Muhammas Ali Jinah nyya use kiya thaa our iss museum ki khas batt yeh hei ke iss mein Air craft rakhy gay hei our is ke sath sath iss mein 1965 ki jang mein larny waly Fighter jets bhi rakhy gay hein .OUR iss Museum mein bohatt purany purany air craft bhi hei ke jinhon ny 1st world war mei hissa liya tha our 2nd world war mein bhi hissa liyya tha our yeh hamary lyye ik fakhar ki batt hei.

                اب آن لائن

                Working...
                X