ye review Akhowata idara per mabani hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ye review Akhowata idara per mabani hai
    me yaha per bat jo kar raha ho pakistan me aik idara hai jis ko hum akhowat ke naam se jante hai is me hum chote qarzy ( loan ) le sakte hai jis per hum koi apna qarobarkar sakte hai or is ka aik faida ya b hai ke is me hume interest nahi dena hota hai agr hum is me 20000 ka loan lete hai tu hum is ko bohat hi asani ke sath wapis karna hota hai hum is ko asan qiston per wapis dete hai is ki waja se hum is se bohat faida le sakte hai hume agr koi business karna hai or hamre pass paise nahi hai tu koibat nahi hai hume pershan nahi hona chahiye hum is idare se paise le sakte hai or apna kam kar sakte hai or jub profit ho tu hum apne profit se apna loan wapis de sakte hai is idare ki har city me offices hai hum bohat asani ke sath in ke sath rabta kar sakte hai or apna kam start karne ke liye in se help le sakte hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

    ye review Akhowat idaray par mubni hey .
    asslam.o.alaikum,
    tafseeli jaiza . Akhowat idara
    yeh idara 2001 main banya geya hai is ki madad sey byrozgar zarort mandoo ko baghir sood key loan diya jata hai .is ap mukhtalif type k loan hasil kar skty hain 20 hazar sey start hoty hai .is main ham akely hai to ham loan ley skty hain or ham is main group bana kar bhe loan ley skty hain jisa ham muasib smjhy .is sey loan leny k lia ap ki umer 18 sall sey 62 year tak honi chhi hai or jis adary main ap apply karo loan k lia wo ap k nazdeq treen hona chahi hai .yahan sey ap jo loan hasil karty hain os k pay karny k lia ap agar os loan ka koi business start karty hain chota mota to ap os k munfey (profit ki ) madad sey bhe loan pay kar skty hain .yeh ik islamic deportment hai is main kise kisam ka markup nahi hota hai .agar ap is bank sey loan lina chahty hain to ap in k kareeby idara sey rabta kar skty hai or informition hasil kar skty hain
    information for Beginners
    Complete Forex Knowledge
    • #3 Collapse

      Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

      Akhuwat Pakistan ka sab se largest Islamic (microfinance) organization hay jes ki bunyaad 2001 me raki gai, basically ye organization baghir sood key loan deti hay, ye loan ghar banany key ley apna business start karny key ley education hasil karny key ley be de sakti hay aur kesi kisam ka sood ye nahi leti hay, Akhuwat society me choty karzy hi de sakti hay jo key time par wapis leny ka complete plan banati hay es idary se karobar key ley agar karza leya jaye to 5 saal ya 10 saal me es ko wapis karna pardta hay aur agar ghar banany key ley karza leya jaye to es ka be koi sood nahi leti hay.
      • #4 Collapse

        Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

        Assalam o alaikum dosto me hu naveed Abbas sanwal or umeed hy k ap sb log khairiyat sy hu gy or stay home and stay safe waly rule ko follow kr rahy hu gy.
        Edara Akhuwat
        Hmary as pass city me ak edara Islamic qanoon k mutabiq kam ker raha hy jo garden or mustahiq logo ko asan iqsat pe qarza deta hy.

        Advantages:

        1: Islamic qanoon k mutabiq koi interest ni hy. Jitni raqam li utni hi wapis krni hy.
        2: her mah 1000 rupay jama kerwany hoty hyn.
        3: qabil e aitmad hy.
        4: khidmat e khalq ka kam kerta hy.
        5: Gareebo ki ass bnta hy.

        Disadvantages:

        1: verification ka amal zyada hy. Ghr ja k check krty hyn jis sy jin ko ni pta hota k yeh qarza leny lga hy unhin bi khabar ho jati hy
        2: raqam thdi milti hy .
        3: ager qist late ho jaye to qist leny waly ghr aa jaty hyn jis sy ezat e nafs majrooh hoti hy.
        4: ak akely shaks ko qarza ni milta wo 2 sathi or laye ga to hi usy qarza mily ga.

        Umeed hy itni info kafi jo gi. Shukria
        • #5 Collapse

          Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

          Akhuwat aik bahtreen idara hai. Pakistan mai 2001 mai yeh idara aik akelay dard nay qaaim kia tha aur aaj puray Pakistan mai iss idaray kay hazaaroo daftar hain aur laakhoo loogo ko iss idaray mai jobs mili hui hain aur uss kay saath saath Akhuwat kay idaray ki he wajah say laakhoo loogo ko rozgaar bhi mila hai. Akhuwat basically Bangladesh desh kay aik professor kay model say lia gaya model hai. Aur iss mai loogo ko chotay paimanay pay qarzay ki sahoolat di jaati hai. Bangladesh mai iss business model ki kaamyabi nay pooray world mai iss system ko popular ker diya tha. Aur ab tamaam international monetary idaray issi system pay micro aur macro financing ko promote kertay hain laikin commercialism ki wajah say idaray profits kay liye kaam kertay hain laikin Akhuwat Pakistan 2001 say he apnay aik he model pay kaam kerta araha hai.

          Advantages

          Akhuwat Pakistan ki taraf say pehla loan 10000 ka milta hai jo intime return kernay pay agli baar double amount ki soorat mai milta hai. Aur per month pehlay 1000 phir 2000 dainay hotay hain. Akhuwat Pakistan kay loans ki wajah say khawateen kay liye rozgaar kay ghar baithay bohat say mowaqay paida huay hain. Akhuwat Pakistan nay iss waqt bhi Corona kay lock down mai chotay karobaari aur mazdoor tabqay kay liye bohat ziada kaam kia hai jo iss tarah kay idaray kay aik mazboot system kay baghair kabhi bhi mumkin he nahi tha.

          Disadvantages

          Akhuwat Pakistan kay disadvantages business model kay mutaliq nahi bulkay iss kay mulaazmin kay rawaiye kay he hain. Mulaazmin ka rawiya apnay clients kay saath bohat rude aur ghalat hota hai. Akhuwat ka rule kay jiss shopkeeper nay loan laina hai woh puray group mai he loan lay sakta hai khatam hona chaiye iss tarah zarorat mand ko time pay paisay nahi miltay hain. Akhuwat kay loan kay liye home address verification ka koi tukk nahi hai kiyu kay banks bhi laakhoo ka loan daitay hain aur laakhoo kay credit cards daitay hain laikin home address verification itni sakht nahi kertay jitna kay Akhuwat nay sakht banaya hua hai
          • #6 Collapse

            Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

            Dear aapane review ke liye Jo topic select Kiya Hai Main aapko appreciate karna chahta hun Kyunki aapane bahut hi perfect topic select kiya hai akhouat Pakistan mein ek Aisa institution hai jo aapko bahut hi perfect facility provide kar raha hai. Kyunki is institution ka purpose poor people ki help karna hai aur unke liye funding provide karna hai aur ismein aapke liye sabse Jyada advantage yah hai ki aapko ismein Koi interest pay nahin karna padta.

            Aap isase Jo amount lete hain vah aap easily installment Mein isko refund karte hain aur Jab Bhi bhi aap isko amount Wapas karte hain aapko Koi extra charges per nahin karna Hote aur ismein aapko Mein sabse interesting baat bata Dun ki Iske loan ki wapasi hundred percent yahkini hai.

            is Bank ke sarve Ke mutabik Aaj Tak is ko Har customer ne A Hundred Percent refund Wapas Kiya Hai is ke Kabhi Bhi Koi nuksan Nahin Hua Jis Tarah aap different banks Mein dekhte hain ki unke deposits ka nuksan ho jata hai aur kisi Jagah se unko recovery possible Nahin Hoti lekin is institution ke Hawale se aapko Kabhi Is Tarah ki koi baat nahin Milegi Kyunki ki is institution ka purpose bahut hi Achcha Hai Jiski vajah se a inke Sath Kabhi Bhi Is Tarah ka koi fraud Nahin hua.

            Jab aap is institution se first time loan apply karte hain to aapko Itni Jyada amount Nahin milati Jab first time aap isko ful payment refund kar dete Hain To Uske bad aapke liye bahut easy ho jata hai aur aap isase Jyada amount bhi receive kar sakte hain isliye is institution ko Hamesha acche purpose ke liye use karna hota hai Iske Kuchh specific rules and regulations hote hain jinko follow karke hi loan Le sakte hain
            • #7 Collapse

              Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

              Assalamu Alaikum doston Jaisa ki aap Sabko pata hai ki Ahmad Pakistan mein ek bahut bada Bada Hi Pyara Hai yah mortal kism ke project per kam karte hain Apne Dekha Hoga social media per Ke Aaj Kal wat ke ad chal rahe hote hain vah itne Ek bahut badi University Banai Hai jismein Garib Logon Ko Maaf talim Diya Jaega aur scholarship Aati Hai Jaenge 200 bahut Kaisa idhar aa raha hai jo aapko Karwar chalane ke liye ya Apne Jarur Yad pura karne ke liye aapko loan bhi Dete Hain Magar Chupke Chupke Ashish Har Bade aur Chhote cities mein maujood hai aap kahan jakar apni E berojgari ka ya Apne details dekar aap vahan se loan Le sakte hain Jo bad mein aapko installment Mein Diya Wapas karna padta hai aapko Aurat ke side se jo Logon Diya jata hai vah aap apne business Mein istemal kar sakte hain yah aapki apni Marji Agar Kisi Aur Ka Main Bhi istemal karen to aap kar sakte hain lekin aap ko Pukara Mulakat Mein bahut ko walone Wapas karna padta hai doston at a kaisa hai Dara Hai Jo Tari MPA abhi kam karta hai aur fallahi idhar aa hai aur ismein Yateem Garib aur besahara Logon Ka Sahara banaa hua hai yahan per logon ko support Kiya Jata Hai Wala taleem ke liye Logon mein agar hi di Jaati Hai Jiski vajah se vah university main Garib aur besahara log jo Jyada University fees vagaira phone nahin kar sakte Khushi university main entrance test Dena padta hai aur kabiliyat ke Taur per Aise muft taleem Diya jata hai.

              Faidy:
              Doston kotedar ka sabse bada fayda yah hai ki yah Garib Logon Ka Sahara banaa Hua Hai Uska fayda yah hai ki yah Garib Logon Ko Jo Apna talim kya Rajat afford nahin kar sakte to Bahut Der kis side se UN Logon Ko Thali Mein Raja Diye Jaate Hain aur bagair kisi demand ke on logon ka support Kiya Jata Hai Teesra fayda doston kotedar Ek aaya hai ki agar koi Chhota Sa business apne liye Ravana karna chahta ho to Chhota Ek Chhote amount ka karja bhi diya jata hai jisse vah sirf apne business ko thoda support kar sakta hai Jodha fayda hoti Tariq aaya hai ki yah Garib aur yah Chaman Ka Sahara banaa hua hai aur uske Munh Kala hi Marathi se jismein yah teenon ko bevco aur majduron ko Rakh ke Unka Khyal Rakha jata hai
              • #8 Collapse

                Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

                G han doston ap ny sahi suna hamary pakistan men har city men akhowat idara ka ek office bnaya gaya ha jis sy ham Choty Qarzy (loan) hasil kr skty hain bina kisi pareshani kay is Ka ek ye Faida ha ham asan iqsat men apna qarza (loan) utar skty hain isi wajha sy ham asani sy qarobar shuru kr skty hain or ye ek trusted idara ha jab ham paison sy apna karobar stable kr lyty hain to hamen profit sy apni raqam ada kr deni chaheya or ap is men visit kr skty hain or apni pareshani hal kr skty hain shukria.
                • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                • #9 Collapse

                  Re: ye review Akhowata idara per mabani hai

                  Asslam o Alaikum Dear friends jesa k ap dost janty hain humry mulk main aj kal logo ko fori tor pay Saholt k torr pay kesi bhi mushkil wqt main majborii ki wja say lone deny k lay buht say private banking ki branches ban gie hain jo logo ko qarza dety hain asii tra aj main ap dost ko aik asi branch k bary bta rha hn jo forii qarza bhi dety hain un ki facilities buht asan ir achi hain jen say moslry log fida utha rhy hain Akhowat ka idhra jo as wqt pakistan k har city main apni branches bina chuka hain jo logo ko forii tor pay bgr soad k or Islamic qanon k mutabik lone deta hain jass say hazro lakho logo ki mushkil asan ho jatii hain or log as say buht zyda fida utha rhy hain jass k kuch advantages or disadvantages main ap sub dosto k sth share kr rha hn......

                  ADVANTAGES....

                  Jesa k baki bank bhi lone dety hain lkn wo lone deny k sth soad bhi sth laty hain jo k 2no k lay bilkul haram hain Akhowat wala idhra aik asa idhra bania gia hain jha pay logo ko fill for lone mil jata hain bgr sod k bgr shafirsh k har greeb ameer ko Islamic qanon k mutabik yha pay ap ko qarza mil jata hain jass ki par mnth instalmant srf 1000 hotii hain agr qarza zyda hoga tu installment bhi zyda de y hogie mjbol logo or krobar krny k lay ya idhra kesi nemat say kam nii hain jo logo ko atna bhri faculty free main provide kar h hain.......

                  DISADVANTAGES....

                  Dosto aik bat yad rkna Akhowat wly behsk lone k uper qarza soad k tor pay wps ni laty lkn an ka process buht taff hain jo k ghr ja kr check karna kafi din process continues rkna phr zyda logo ka group hona asii tra agr kabi instalmant na deny ki surat main ghr a jana tang karna chahie passy ho ya na hn an ko har surat deny phrty hain....

                  اب آن لائن

                  Working...
                  X