Yeh review BITCOIN per mubni hai
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yeh review BITCOIN per mubni hai
    Assalam o alaikum dear members and traders. Maira yeh review BITCOIN crypto currency pay mubni hai. Mai apany iss review mai aap ko iss ki ibtidaa kay barey mai bataunga jiss kay liye mai nay kaafi research bhi ki hai.

    Bitcoin kay barey mai sub say interesting baat iss ki ibtidaa hai. Aik unknown source jiss kay barey mai kisi ko kuch Pata nahi hai kay koi aadmi hai, aurat hai, Master computer hai ya koi group hai usay BITCOIN ka owner ya creator kaha Jata hai. Jiss nay apnay white paper mai apnay aap ko Satoshi Nakamoto ka naam Dia hai. Jo real name nahi hai aur iss kay barey mai kaha Jata hai kay yeh koi qalmi naam hai jisay nick name bhi kaha jaa sakta hai. 2009 mai achanak internet ki duniya mai aik WHITE PAPER saamnay Aya jiss mai yeh elaan kia gaya kay BITCOIN currency aur blockchain wallet introduce kerwa Dia Gaya hai. Uss paper mai Satoshi nakamoto kay signature use kiye gaey thay. Bitcoin create kernay ki wajah uss mai UK bank ki taraf say loan kay liye permanent address na honay pay loan rejection batao gai thi aur aik purely decentralized currency ka qayaam ammal mai laya Gaya Tha. BITCOIN aik purely digital currency hai jiss ko computers ki efficiency kay zariye banaya Jata hai aur yeh sirf aik software ya application say wajud mai anay wala result hai. Jiss ki iss waqt value 8000$ say up hai jo Pakistani currency mai taqreebun 13 lakh rupay hai. Last week BITCOIN kay aik trader ko 21 million dollars ka loss Hua hai jiss ki wajah uss ki sell mai aik single trade thi jabb kay bitcoin ki price buy mai 10000$ hit hui aur woh trader totally ghaib ho chuka hai. Uss ka Twitter, Instagram, Facebook aur whatsapp delete ker Dia Gaya hai.

    Advantages:-


    Bitcoin ko koi bhi apnay computer pay special hardwares install ker kay mine ker sakta hai. Bitcoin aik decentralized currency honay ki wajah say kisi kisam ki counting mai nahi aati. Bitcoin digital cryptographic result hai iss kay wallet mai say koi isay hack nahi ker sakta hai. Blockchain wallet ko duniya ka most safest and secure wallet kaha Jata hai.

    Disadvantages :-

    Bitcoin ka biggest disadvantage iss ka koi owner na hona hai jiss wajah say Agar wallet lost hojaey tou kisi bhi soorat mai recovery mumkin he nahi hai. Iss wajah say bhi world mai hazaaroo loogo kay hazaaroo bitcoins wapis system mai shamil ho jatey hain. Bitcoin ki price ziada honay ki wajah say aik he gahalat faisla millions ko zero mai badal daita hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yeh review BITCOIN per mubni hai

    Mere Pyare dost Bitcoin Ek digital currency hai jo Pakistan mein illegal Apne account mein net coin rakhte Hain To aapko FIR Utha sakta hai mere dost Kyunki yah illegal Hai Pakistan mein abhi tak yah legal Nahin Hui to main aap doston ko Yahi Kahana Chahta Hun Ki Pakistan mein aap bilkul bhi Bitcoin digital currency per kam na Karen Varna aap ke khilaf government of Pakistan action Le sakti hai aur aapko arrest Bhi Kiya Ja sakta hai aur aap par kese Kiya Ja sakta hai Kyunki yah legal Nahin Hai Kuchh wale kaise hain jismein yah digital currency legal Hai Pakistan mein bhi isko legal banane ke liye High Court mein application Gai Hui Hai Lekin jab tak case Ka Faisla Nahin Hota tab tak hi illegal hai aur aapko ismein Kam Nahin Karna chahie haan aap ismein trading kar sakte hain trading Karke aapko Apne paise dollars Mein Lene chahie bilkul bhi Bitcoin Mein Nahin leni chahie Ek digital currency hai jo aapke pass paison mein nahin aati balki just figure aapko aapke mobile per Najar Aate Hain Agar aapka valid ismein Nahin ho jata hai ya koi aur Shubh Ho Jata Hai To aapke Sare paise best bhi ho sakte hain isliye Aise avoid dijiye kindly
    • #3 Collapse

      Re: Yeh review BITCOIN per mubni hai

      assalamu Alaikum pyare doston jaisa ki aap jante ho Bitcoin a cryptocurrency hai aur Bitcoin mining ka aapko acchi tarah se maloom hona chahie Bitcoin mein investment ke liye aapke pass best opportunity maujud hai agar aap bitcoin ko purchase karna chahte ho to is kimat mein purchase kar sakte ho aapko maloom hai bitcoin cryptocurrency unka future bright hai Bitcoin ki selling and buying services Pakistan mein ban hai aur block hai cryptocurrency per aap karo bar nahin kar sakte ho Pakistan mein because digital currency allowed nahin jui hai officially puri duniya mein digital cryptocurrencies ko abhi tak banking system mein shamil nahin kiya gaya hai
      Faidye Advantages
      Cryptocurrency aik expensive currency hai is ki kafi safety hai iski physical koi shap nhi hai yeh digital electronic computerized currency hai is ki value ab 8000 usd sy bhi zeyada hqi
      Nuqsanat Disadvantages
      Cryptocurrency sy hard currency ko bahot risk hai aor is sy dunia ma ghareeb mumalik aor logo ko khatra hai
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Yeh review BITCOIN per mubni hai

        Review Bitcoin cryptocurrency ke mutaliq hai aur ham iski khubiyan aur ham discuss karenge.
        Advantages.
        Bitcoin cryptocurrency Ka King Mana jata hai aur iski sabse badi khubi yah hoti hai ke jitne bhi investor kisme invest karte Hain to unko bahut short time mein Bada profit milta Hai. Bitcoin bahut se country mein legal currency ke taur per trade Kiya ja raha hai aur aur future mein is fore bahut bright look milegi. Bitcoin Puri duniya ki currency mein sabse badi currency Mani jaati hai aur aap isko bike karke save rakh sakte hain.
        Disadvantages.
        iska sabse bada disadvantage hota hai ki iski price jis Ke sath increase hoti Hai usi ke ji ke sath bikri bhi hoti hai isliye a small capital wale log isko trade nahin kar sakte.

        اب آن لائن

        Working...
        X