Yeh Review Breast Cancer Par Mabni Hy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Yeh Review Breast Cancer Par Mabni Hy
    Dear member aj ka review breast cancer par mabni hy.Yeh aik boht he moozi marz hy jo ky women mn boht kasrat sy pai
    jati hy,is ke barwaqt tashkhees na hony aur waqt par ilaz na hony ke waja sy boht c khawateen maut ky moonh mn chali jati
    hn. Is ke sab sy bari alamat yeh hoti hay ky khawateen ky right ya left breast mn aik choti c gilti ban jati hy jo ky shuru mn
    feel ni hoti hy lekin waqt ky sath sath yeh bari hoti jati hy aur phr breast mn pains hona shuru ho jati hain jo ky boht aziat
    naak hoti han.khawateen ko chahye ky wo waqtan fawaqtan apny breast khud check karti raha karen aur jb bhi gilti numa
    koe cheez feel ho to foran us ka check up karwaen aur agar gilti choti hy aur pain ni hoti to is ke zaruri test karwa ky
    foran is ka operation karwa dena chahye ta ky is moozi marz sy nijat mil saky. agar khuda nikhaasta yeh gilti bari ho jati hy
    aur pain shuru ho jati hain phr is ke foran kici cancer hospital sy biopsy(cancer ke tashkhees ka ibtadaaee test) karwa kr
    doctor jo bhi advice karen us ky mutabiq is ka elaj shuru kar dn.Breast cancer ka elaj bhi boht takleef deh amal hota hy
    pehly is ke caemotherapy hoti hay aur phr radiotherapy hoti hay. yeh dono marahal bary aziat naak hoty hain. Allah Pak
    tamam khawateen ko is moozi marz sy bachaaye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Yeh Review Breast Cancer Par Mabni Hy

    Dear friends ajkal cancer jesi mozi disease har dosaray insan ko lahak hay yeah ake esi bemari hay Kay Agar bar wakat iss ko diagnosed Kar lia jaye tou iss ki situation Kay mutabiq treatment start ho sakti hay.ajkal breast cancer bohat zayada ladies may dekhnay may a raha hay aor iss bemari ki waja say bohaut Sari ladies survive bhi Kar jaati hay Agar iss bemari ko start may hi diagnose kar lia jaye to treatment asan aur jaldi start ho sakti hay breast cancer awareness programs bhi bohut zayada television aur social media pay start ho gaye hay jiss ki waja say bohaut zayada awareness mil sakti hay ladies ko start may breast cancer ki symptoms ka pata nai chalta hay magar slowly slowly iss ki symptoms clear hona start ho jati hay breast cancer may left ya right breast pay kisi bhi jaga pay Koi choti si gilti ya tumor appear hota hay start may iss ki waja say koi pain ya takleef mehsoos nai hota hay magar ake dam say pain aur bukhar start ho jata hay aur test may hi breast cancer diagnosis hota hay.

    ADVANTAGES;
    Friends breast cancer ake mozi bemari hay aur kisi bhi bemari Kay advantages nai hotay hay.

    Disadvantegs:

    Cancer ake bohut dangerous disease hay jiss may patient ka immune system weak say weak hota jata hay Kyu Kay iss bemari ki waja say app bohaut zayada under pressure ho Jatay hey aur cancer Kay operation Kay bad bhi chemotherapy treatment start ho jati hay jo ake pain full chez hay iss ki waja say patient bilkul stress may ajatay hay aur chemotherapy treatment ki waja say patient Kay sar Kay hairs girr jatay hay.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Yeh Review Breast Cancer Par Mabni Hy

      Asslam Alaikum dear member ap ka aj ka ye topic bht hi acha or informative h is ki knowledge puri dunia ki tmam orton ko honi chahiye Pakistan me awareness ki bht zyada kmi h bht sari orton ko is bimari ka iski ilamat ka or isky ntaej ka bilkul bhi ilm nhi hota unhen koi breast related issue ho bhi to vo ghrelu totkon ko tarjih deti hn or jld kisi doctor ko nhi dikhati jb tk k vo msla shdeed noiyat ka na ho jae is liye zruri k bad me pachtany ki bjae waqt pr hi koi step liya jae doctor ko dikhaya jae doctor ko symptoms btaye jaen tests krwaye jaen ta k asl msly ka ilm ho sky yad rkhen bar waqt tashkhees se hi ilaj mumkin h tashkhees jitni late hogi ilaj k or recover hony k chances utny hi km hoty jaen gy Pakistan me national level pr campaign chlany ki zrurt h ta k hr ek ort is bimari , is ki ilamat or ilaj k bary me jan sken aj ki ehtiat kl k pachtavy se behtr h apny Pyaron ko dukh or tklif deny se behtr h k bar waqt ilaj shuru kia jae or ye tb hi mumkin h hb diagnose ho jae time....so all members take care...stay safe....and stay healthy....good luck👍👍👍

      اب آن لائن

      Working...
      X