Assalamu alaikum my dear all Forex member aaj ka review train ke safar per hai Train ka safar bahot hi acha hota hay agar long distance ka be safar train me kia jaye to kam price me kia ja sakta hay by road safar kia jaye to es ka rent train key rent se bahot hi zeyada hota hay magar train service government ki hay es ley aawam ko sahulat deny ki waja se es key rates ko bahot hi kam raka gia hay, train ka safar long aur short distance dono hi behtareen hay, train me batny key sath sleeping ki bahot jaga hoti hay jes ki waja se ham bahot hi relax feel kar sakty hey es key sath koi be esa train nahi hay jes me bathroom ki service na ho, Peshawar se karachi tak ka be agar safar ham train me kia karen to ham kabi booreyat feel nahi kar sakty hey, har station par train stop karti hay jes ki waja se ham apni zarorat ki cheez be le sakty hey aur food be har station par available hota hay, train ka safar bahot mehfooz aur araam deh hota hay es ley hamy kesi kisam ki pareshani ka samna nahi hota ham bahot hi asani se apni manzil par train me safar kar key ponch sakty hey es key sath train me 1 sahulat ye be hoti hay key es me koch train esi hey jes me Wifi ki be facility be di jati hay aur har train me Police be khasht karti hay dear dusray tareekay say safar karnay main jub ham train main safar kartay hain to hamko us say aik to karai ka bhi kaafi fark parta hay aur jub hamko rest ki zarurat hay to hamko birt bhi mil sakta hay jis main ham aik lamhay k liye lait kar rest bhi kar saktay hain jub k aisi facilities kisi bhi aur tarha k safar kkarnay main nai hoty hain jub hamko kabhi washroom ki zarurat party hay to uski bhi facilities sirf train main he muyasar hoty hain kisi bhi aur tarha k safar main aisa kuch milna mumkin nai hota hay jub hamko kabhi bhookh lagty hay to ahmko wo bhi yahan say sab kuch mil sakta hay ya kisi bhi staion pay ruknay say ham aisa kuch hasil kar saktay hain qk jub train stop karty hay to uska stop karnay ka kuch limited time hota hay jis main ham kisi bhi station say hasil kar saktay hain is main safar karnay k liye ham iski tickets ko online bhi buy kar saktay hain ham har aik train k time uski speed aur wo kis wakt kahan pay hay aisa sab kuch ham internet say bhi check kar saktay hain dear train main safar karnay ka koi bhi khaas nuksan nai hay albatta kabhi kbhi kisi cross ki wajha say isay bahut ziada delay karna parr sakta hay jis main hamari train ki timing main kaafi late ho sakty hay