yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.
    dear friends aj kal ky dor mein bohut ziada mehngai hogai aur ager ap 12 volt ki chezain use karen tu us se ap ko bohat achi bachat ho sakti hai jesy 12 volt ka coller hai jis ko ap bijli wali supply sy bhi chala sakte hein aur soller sy bhi chala sakte.

    Advantages:12 volt ki fan aur coler ky bohut sare fayde hein aik tu ap ki bijli ki bachat hogi aur dosra ap ka room thanda rahe aur shadeed garmi mein bhi ap ko skon mile aur is ka ziada bil bhi nahi ata hai jis ki vajah se ap ko koi masla nahi banta ha.

    disadvantages:jahn tak mein ny isko use kia hai tu aj tak mere samne is ka koi bhi nuksan ya disadvantages nahi aya hai but is ki awaz thori si ziada hoti hai jis ki vajah se ap ko ise door kar ky rakhna padta hai.

    friends mein ne is k zati toar par use kia hai aur ab bhi kar raha hun is se kafi had tak bijli ki bachat bhi ho rahi hai aur mujhe ac jesa mahole mil raha hai jis mein beth kar mein apna kam skon se kar sakta hun aur is garmi ki mosam mein apna online work kar laita hun is lie ap bhi ager is chez ko use karen gy toh ap ko zror fyada ho ga jis se ap ko bhi bijli ki bachat ho gee aor is se pakistan ko bhi fayda ho ga kyon ky jitni bijli pakistan mein kam use ho gi utni hi hamre lie zyada paida ho gi jis say bijli sasti hone ky chanses hein is lie meri ap ko yehi a dvice hai ky ghar mein ju bhi aam chalne wali chezain sab ko ap dc inverter aur 12 volt pe use kar ky bijli ki bacht karni chahye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

    dear ap nay aik bahut he achay review pay baat ki hay jis say hamko umeed ki ja sakty hay k bahut saray faiday bhi hongay aur jisk istemal say hamain bachat bhi hoge agar ham garmo k mousam main ac nai lahgwa saktay hain to hamko 12 volt dc cooller ka istemaal karnay say hamain do tarf k faiday ho saktay hain jin main agar ham usay soller plates k sath attach kartay hain to wo sara din free main chalta jayega aur agar ham aisa nai akrtay hain uska connections aik 12 volt ki power supply k sath electricity say kartay hain to uska hamko aur bhi ziada caha result milnay ki ham umeed kar skatay hain aisa karnay say ham kam say kam kharch k sath ziada say ziada apnay rooms main coling ka maza hasil kar saktay hain jis main hamko aam fans ki nisbat say kam load aur kam kharchay main ziada benfit hasil hos akta hay aur agar ham uska water pump use nai kartay hain to aik wakt main ham sirf aik fan ka use karnay say bhi cooling hasil kar saktay hain iski price aam fan say thori ziada hay magar iska hamko faida aam fan say ziada mil sakta hay jis main agar ham thanday water ka use kartay hain to mairay khayal main ham ac jitni iski cooling kar skatay hain is liye hamain garmo k mousam main bacchat aur safty k sath 12 volt k dc fan aur coolre ka use karna chaye jis main hamain ziada faida bhi hay aur isak sath sath garmi aur heat ko bhi yeh khatam karta hay.
    • #3 Collapse

      Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

      12volt DC Cooler aor Fan
      jesyky ao sub janty hain ky garmian aty he pakipakistan ma bijli ki loadshedding starstart ho jati hai aor ghanata ghanata lite nhi hoti jijis ki wajah sy hamen preshani ka samna krna orta hai kch log generator use krty hain aor kch log battery lga ky solar system kch ups system lgaty hain lkn us ky leay bahot sari efforts krna hoti hain .
      Apko asani ky keay DC aystem lgana chye ghar ma dc cooler garmio ka aik tohfa hai jahan ja ao logo ko ac ki facility nhi apky oas electric lote kam hai ye zeyada bill nhi pay kr skty to ap ko chye ky water cooler use kro aor sath ma dc fan bhi use kr lo.
      Advantages:
      Dc py chalny waly water cooler ky bahot faidy hain hain na hony ky ky bbar khata hai aor apko full cooling orovide krta hai.
      Apko yeh system bahot he sasta mil jata hai apko fan bhi dc ma he mil jata hai apoo bulb mean energy saver bhi dc ma mil jaty hain ap inko use kren to aoka monthly bill ady sy bhi kam ho jay ga aor apki binli ko preshnani bhi dor ho jay gi sardion ma to jist energy saver he use hoty hain han my bina guzara ho jata hai. Dcfan aor cooler solar system py bhi vhlaya ja skta hai apko aik 28volt jki battery sy kafi sary system chla skty ho kisi bhi preshani sy bach baty ho.d
      Disadvantages:
      Dc fan aor coller ka koi nuqsan nhi lkn wiring aoko alg sy rakhni parti hai aor in ki reliability bhi itni achi nhi hoti warranty waly fan aor cooler len le ky aoko kch arsa sakoon mil saky
      • #4 Collapse

        Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

        Hi friends umeed hay kay ap sab thak on gay or ya review 12 volt ky coller py mubni hay dosto 12 volt ka coller ko ap sollar plate py bi challa sakty hain or ya boot acha collar hota hay
        • #5 Collapse

          Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

          Yeah review 12 volt ke cooler aur fan per mabni hai...
          Doston assalamu alaikum aaj main aapko 12 volt cooler aur fan ke bare mein brief karne ja raha hun ek bahut hi chhoti electricity machine hai hai jo ki ek aisi winding motor ke sath aapko yah provide karti hai aur yah bahut hi kam consumption main aapko air provide karta Hy.
          Advantages...
          1) iske advantage hai ki mujhe kam conception mein aapko bahut zyada kam karke deta hai
          2)12 volt cooler aur fan ke sath aap 12 volt ki battery bhi sambhal kar sakte hain yah bhi ek advantage hai
          3) jab AC available nahin hogi to yah battery per kam kar sakta hai yah bhi ek advantage hai
          4) 12 volt cooler aur fan sirf ek hi bande ko facilitate kar sakta hai..

          Disadvantages....
          1)iska disadvantage hai ki jab aap iske sath battery install karte Hain to battery install karte waqt aap ko sh0k lag sakta hai
          2) iska disadvantage yeh hai electricity zyada consume karta hai
          3) 12 old fan and cooler aapke room mein jyada jagah gir sakta hai...
          • #6 Collapse

            Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

            Asslam Alaikum dear member kesy hn ap sb log! Umeed hy thek hon gy or achi trading kr rhy hon gy aj ka ye review 12 volt ky air cooler pr mabni h to me bhi apna review share krna chahun gi
            Ye ek bht hi acha , affordable or reliable cooler h is ky ap ko do faidy hn ek to ap is ko solar energy se bhi chla skty hn or bijli ka bill krm kr skty hn dusra ap supply ky zariye is ko bijli pr bhi chla skty hn us me ye ho ga k bill bht km aya dusry pnkho or air coolers ky muqably me bht km bill aye ga aj kl jesy k hm sb janty hn k bijli per unit bht zyada mehngi ho chuki hy or hr mhiny hzaron ka bill ada krna ek aan admi k liye asan kam nhi hy is k liye zruri hy k hm km voltage ki electronic devices use kren jitni km voltage ki ap ki device ho hi utna hi km bill aye ga jesy ap agr ye 12 volt ka air cooler khridty hn or usy istmal krty hn to yaqeenan ap ki bijli ki bht zyada bacht ho gi or ap pesy bcha paen gy
            • #7 Collapse

              Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

              INTRODUCTION OF 12 VOLT COOLER OR FAN:-
              Dear apko pata hoga k jab garmiyan ati hain tu hamary mulk pakistan mein bijlli ki loadsheding bahut zayada ho jati hai aur load zayada hony ki waja se voltage bhi poory mahi aty tu isi masly ko solve karny k liye main apko DC fan aur cooler ka introduction deta hon ap wo use kar k faida hasil kar sakty hain
              Dear ye 12 volt DC power par chalty hain aur ap isko battry ya direct solar plate par chala sakty hain aur agar aur sirf coolar aur fan he nahi aj kal DC power par chalny wali lights led bulb bhi hain aur water pupm bhi hain

              ADVANTAGES (faide)
              Dear DC cooler aur fan k bahu faidy hain main kuch ap ko batana zaroori samjhta hon
              1.ham Dc fan aur cooler use kar k bijli bacha sakty hain jis se hamar bill bahut kam aye ga
              2..Dc 12 volt cooler aur fan 220 waly fan se sasty hoty hain
              3.direct battry par chala saktt haunin
              4.aur direct solar plate par poora din chalty rahyn koi kharcah nahi hota
              5.in mein problem bahut kam aty hain
              6..weight mein halky hoty hain easy to carry hoty hain

              DISADVANTAGES(nuqsanat)
              Dear is k kuch zayada disadvantage tu nahi hain but jo main samjha hon wo ap se share karta hon kyun k main khud use kar raha hon mery pass 12 volt fan ,cooler ,solar plate available hai main use kar k bijli ka bill bacha raha hon but DC fan aur cooler ki hawa kam hoti hai
              • #8 Collapse

                Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

                INTRODUCTION ::~
                dear friends aik air cooler jese k naam se hi zahar hai k hawa ko thada karne k kam aata hai ye hawa ko thnfa krne ka mechanical trarika ha jis mai ham fan ko ek band diby main lgate hai our is band diby par jaliyo k zariye pani guzarte hai is traha jab fan on hota hai to wo hwa ko khenchta hai our hwa jaliyo main behne waly pani se guzar kar fan tak or fan se aap tak jati hai pani ki crossing se hwa thandi ho jati hai our aap ko garmi main b sukon milta ha air cooler wese to buhat zyada electrical kharch krte hai ku k in mai do motor lagi hoi hai lekin ajkal choty 12 volt cooler b mil jate hai

                12volt cooler::~

                dear friends wese bary coolers to zyada bilji par chalte hain lekin 12 volt k cooler aap ko mil jye ge in main 2no 12v use krne wali motoer lagi hoti hai jinko aap asaani se battery par bhi chala sakte hai in ka size chota or halky hote hai aap in ko apne sat kahi b le ja sakte hai or ye thni hwa dete hai

                ADVANTAGES ::~
                dear friends in k kuch advantages hai jo k mandrja zail hai

                ●> ye portable hote hai inko ham kahi b sat le ja sakte hai
                ●> ye 12v k hote hai is liye bijli k ilwa ye battery k sat b on ho sakte hai
                ●> sasty hoty ha or noon Ac car bus wgera me use hoty hai
                ●> bijli ki bachat ho jati hai
                ●> in ki repairing par kharch kam ata hai
                ●> asaani se bazaar se mil jate ha

                DISADVANTAGES ::~
                dear friends in kk kuch disadvantages bhibhi hai jo k mandrja zail hai

                ●> dear friends ye chote hote hai our in ki hawa b kam hoti hai
                ●> ye bar bar kharab ho jate hai
                ●> in ko ham zyada garmi mai use nahi kar sakte hai
                ●> in ki life mehdood hoti hai or koi verinty nhi hoti
                ●> in se sirf aik ya do insaan backwakt fida utha sakty ha
                Ayisha Cutey's Trading Journal
                https://investsocial.com/ur/showthread.php?266144-Ayisha-Cutey-s-Trading-Journal&amp;p=10350037#post10350037
                • #9 Collapse

                  Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

                  Assalamu alaikum dear friends aaj hamara ya review 12 volt ke cooler aur fan per mubny Hy aajkal is jadeed technology e ke daur mein 12 volt ki electronic device bahut jyada istemal hoti hain jinhen Ham solar plate per chalate Hain aaj Ham 12 volt ke cooler aur fan per apna knowledge aapke sath share karenge
                  Advantage
                  Doston aaj kal market mein 12 volt ki bahut si electronic device available hai lekin hamara aaj ka topic 12 volt ke fan aur cooler ke mutaliq hai isliye Ham aaj iske fayde janenge to doston 12 volt 1 current ki limit hai 12 volt current se insani jaan ko Koi nuksan nahin hota jab ke 220 volt current se insan ko khatra hota hai 12 volt ko bacche bhi hath laga Le to kuchh bhi nahin hota 12volt 1 current ki lo limit hai lekin is se hamari electronic device bahut acche tarike se chalti hai 12 volt ka fan jise ham solar sales per Chala lete Hain is se hamari bijali ki bhi bachat hoti hai kyunki solar fan Suraj ki roshani se chalte Hain is per Koi kharcha nahin aata garmiyon mein dhup jyada hone ki vajah se jyadatar log solar cells to a small karte Hain Jo ke 12 volt current paida karte hain aur in se log garmiyon mein thanda rahane ke liye 12 volt ke fan aur cooler ka istemal karte Hain
                  Disadvantage
                  doston aap jante Hain ki har chij ke fayde ke sath uska nuksan bhi jarur hota hai ISI tarah 12 volt ke fan aur cooler ke bich I nuksan hai jinse Ham aaj aga hn gy doston 12 volt ke cooler ja fan ki Hawa mein dur hoti hai ya back bakad do ya teen logon ko Hawa acche tarike se de paate hain aur doston 12 volt ki electronic devices jaldi hi kharab ho jaati hai ine ki koi guarantee nahin hoti aur 12 volt per chijen chalane ke liye hamen solar plate ki jarurat hoti hai jo kahe market main bahut hi jyada rate par available hai isliye ise kam log hi purchase kar sakte hain
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: yeh review 12 volt ky coller par aur fan par mubni hai.

                    Dear sisters and brothers aaj ka Mera review 12 volt ke colour aur fan per hi hi Gold ke cal ko istemal karne se aapke ghar ki bijali ki Kafi bachat Hoti Hai Iske istemal se main apne ghar mein online padhaai Karva sakti hun apnon kampur sukun tarike se kar sakti hun Itni Garmi Mein Bhi Mujhe pura Sakun Thandi Hawa AC Jaisi Maheshwar Hoti Hai 12 volt colour aur fan per uh aap ek behtarin Kisan ke Jindagi Gujar sakte hain is aap ghar mein Khubsurat tarike Se Laga sakte hain aur bijali ko bhi Kafi bachat milati hai aur ghar mein bijali ka Bil bhi bahut kam aata hai is ke istemal se aapko Garmi ki cricket kam mahsus hoti hai ISI Jaisa mahaul aapko provide Karta Hai yah main is fan se main is fans se Purush Kun ke sang Ki Main Soch sakta hun aur aap bhi is fan ke istemal se ko Sukoon ke sun ke main kar sakte hain koshish karen ke ghar mein 12 board colour fan per Jiska sim Karen discussion Karen is fan ke istemal se aapki bijali Mein Kafi had Tak Kamini Aaegi online aap bacchon ko sukun mahaul Mein padha sakte hain koi bhi aapane kam karna ho to aap aaram se is ki madad se kar sakte hain iska Koi nuksan Nahin ya aap Jaise Chahe use Karen yah phan aapko garmiyon Mein Garmi ki Sidharth mahsus Nahin hone deta aap apne bacchon ko bhi Aaram De Nind is Maine Suna sakte hain yah Ek bahut acchi chij hai meri aapse Yahi advice hai ki aap ghar mein 12 volt ke colour aur fan istemal Karen yeah energy saver Ki Tarah bijali Kaise Aata Hai hai ab Yakeen Mane iska bilkul bhi Bil Nahin aaega Ek Bar istemal Karenge to aapko Pata Lag jaega

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X