naran Kaghan Experience
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    naran Kaghan Experience
    ap sub kabhi na kabhi naran kaghan to gaye hun ge. apna experience share karain mere sath.
    Mna b gae the and uff ufff mat pochain bohut scary experience tha. AIsa nai k kuch bura hua but that jeep ride. it is hell man. man kabhi dobara jana prefer na kru. man thori si height phobic b hun but this is really scary. itna bura rasta h na jeep ka k mat pochain ap log.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: naran Kaghan Experience

    Naran aur kaghan areas Pakistan key khobsorat areas me hota hay aur har kesi ki ye dili khowahish hoti hay key wo en areas ki tarfeeh kary, mera abi tak na to naran jany ka itefaq howa hay aur na hi kaghan jany ka es ley me behtar tareeqy se es bary me review nahi le sakta hon magar esy members jes ne naran aur kaghan areas ki sair aur tafreeh ki ho wo behtar tareeqy se ye bata sakty hey key ye areas keny khoobsorat aur dil kash hey,
    agar Pakistan key en areas ki sair ki jaye to ye hamari yaadgar tafreeh ban sakti hay es ki waja ye hay key en areas me jany ka experience to ho jata hay magar yaha par ponchny key ley jo safar ham karty hey wo kesi yaadgar se kam nahi hota en areas me ajny key ley jo road aur makaamat se guar kar ham jaty hey ye be bahot hi khobsorat hey, naran aur kaghan ka mosam aur temperature bahot hi cool hota hay Punjab se jany waly persons key ley yaha ka mosam be kesi tafreeh se kam nahi hota hay, naran aur kaghan me tafreeh key sath ham photography kar key en lamhat ko mazeed be behtar aur yaadgar bana sakty hey aur hamara ye safar bahot hi acha guzar sakta hay agar ham ne yaha par jany key ley aur yaha par koch din stay karny ka program aur es key ley intezam pehly se kia hota hay, jes jaga ka be visit kia jaye to pehly se planing zaror kia karen.
    • #3 Collapse

      Re: naran Kaghan Experience

      اصل پيغام ارسال کردہ از: amnas پيغام ديکھيے
      ap sub kabhi na kabhi naran kaghan to gaye hun ge. apna experience share karain mere sath.
      Mna b gae the and uff ufff mat pochain bohut scary experience tha. AIsa nai k kuch bura hua but that jeep ride. it is hell man. man kabhi dobara jana prefer na kru. man thori si height phobic b hun but this is really scary. itna bura rasta h na jeep ka k mat pochain ap log.
      haha mujhe to is tarha ki areas buhat pasand hai bilkul adventurous places hoti hai. aur is ke ilawa waha pe jo naturally khubsurat area hai un ki to kia bat hai, itna mushkil raste ke safar ke bad bilkul dil khush ho jata hai.
      • #4 Collapse

        Re: naran Kaghan Experience

        Har city apni kisi na kisi chez ya specialties ke waja sy famous hain but naran kagahn mein , mein ny jo mostly observe kia wo hy us ke naturally beauty. Qudrat ny wahan jaisy apna karishma dikhaya ho. Nature sy bharpoor sohaana mosam or lagy fruits nadi k kinaary paharon sy nikalty chashmy kia he baat hy .wahan ke kis kis chez ka tazkraa krein. Har chez apni misal ap hy
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: naran Kaghan Experience

          g dear Apne bilkul theek kaha h Pakistan dunia m most beautiful country m c count hoti hai Wsy to pakistan k bahut c Area h jo Tafreeh k liye hain meray khayal se Murree naran kaghaan r Azaad kashmir area m log ziyada jatay hain Jb k mansehra m b kch jaga aisi hai jo dekhne k qabil hain tafreeh k liye bht achi hain.
          Mehnat + Knowledge × experience = SUCCESS

          اب آن لائن

          Working...
          X